Ziyada Se Ziyada Sajdey Kiya Kare ۞ Hadees: Ubadah Bin Sabit (R.A) se riwayat hai ki, Rasool'Allah (ﷺ) ne farmaya - "Jo Banda Allah Ta'ala ko Ek Sajda bhi Karta hai, Tou Allah Ta'ala Uskey liye Ek Neki Likhega aur Ek Gunaah Muaf Farma Dega, aur Ek Darja Buland Farmayega Isliye Ziyada se Ziyada Sajdey Kiya Karo." [Sunan Ibn Majah, 1424-Sahih] *Jyaza se jyda Sajdo se muraad Farz aur Sunnat ke alawa jitna ho sakey jyada se jyada nawafil ka bhi ahtmam kiya kare ,.. ♥…
Har Gunaaho ki Magfirat Allah ki taraf se! bashartey… Hadees: Anas-bin-Malik (R.A.) se riwayat hai ke, RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya ke: Allah Subhanahu Wa’tala farmata hain:“Aye Aadam ke Bete! Jab tak tu mujhe pukarta rahega aur mujh hi se Ummiden wabasta rakhega Main tujhe Muaf karta rahunga chahe tere Aamal jaise bhi hon. aur Main (tujhe bakhshte hue) parwah tak naa karunga. Aye Aadam ke Bete! Agar tere Gunaah aasman ki bulandiyon tak bhi pahoch jayen aur tu Mujh se Muafi mange tou Main tujhe muaf kar dunga aur…
Hadees: Bhalayi ka Rasta batlaane wala neki… Hadith: 30-June: Abdullah bin Abbas (R.A.) se riwayat hai ke, RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya: ❝ Bhalayi ka Rasta batlaane wala Neki karnewale ki tarah hai. 📕 Tirmidhi 2670
Islamic Quiz 257 : Allah Taala ko apne bande ka… Allah Taala ko apne Bande ka Kaunsa Amal sabse Zyada pasand hai ? | Options are: A. Waqt par Namaz padhna, B. Waqt par Quran padhna, C. Wakt par Umrah Karna, D. Wat par Zakat dena
Al-Quran: Neki aur Buraai baraabar nahi hoti Quran: 29 - July: ۞ Bismillah-Hirrahman-Nirrahim ۞ ❝Aur Neki aur Buraai baraabar nahi hoti, is liye turn buraai ka jawaab aise tariqe se do jo behtareen ho. Nateeja yeh hoga ke tumh me aur jis me dushmani thi, woh dekhte hi dekhte (tumhaara) jigri dost ban jaayega.❞ 📕 Surah Fussilat 41:34
Sab se Behtar Banda koun? Dil mein Bughz rakhna kaisa hai Hadees Hadees-e-Nabwi ﷺ Abdullah bin ‘Amr (R.A) se riwayat hai ke, Allah ke Rasool (ﷺ) ne farmaya; "Logo me sab se Behtar wo hai jo Paak aur Saaf Dil wala ho aur Sacchi Zubaan wala ho, Paak-Saaf Dil wala woh Parhezgaar insan hai Jiske Dil me koi Gunaah, Zulm-o-Zyaadati, Jalan aur Hasad aur Nafrat na ho." 📕 Ibne Majah, Hadees 4216
Jo Zulm se Qatl kar diya jaye wo Shaheed hai ✦ Hadith : Roman Urdu: Abu Jafar (RaziAllahu Anhu) se riwayat hai ki, Mai Suwaid bin Muqarrin (RaziAllahu Anhu) ke paas baitha tha aur unhoney kaha ki, Rasool'Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) ne farmaya hai ki: "Jo Zulm se Qatl kar diya jaye wo Shaheed hai." - Sunan Nasaii, Vol 3, 398-Sahih ✦ English Hadith: The One Who Fights to Protect Himself Against Injustice It was narrated that Abu Ja'far said: "I was sitting with Suwaid bin Muqarrin, and he said:…
Sabke Liye Reham ki Dua Kiya Kare Hadees of the Day Sabke Liye Reham ki Dua Kiya Kare Hazrat Abu Hurairah (R.A) ne Bayan kiya ki,RasoolAllah (ﷺ) Ek Namaz ke liye Khade hue aur Hum bhi Aahajarat ﷺ ke saath khade hue ! Namaz Padhte Hi Ek Dehati ne kaha "Aye Allah ! Mujhpar Raham kar aur Muhammad ﷺ par, aur Hamare Sath kisi aur par Raham naa kar!" Jab Aap (Salallahu Alaihi Wasallam) ne Salam phera tou Dehati se Farmaya ki "Tumne Ek Wasi'a Chiz Ko…
Jab Quran Parha Jaye tou Gaur se Suna karo Allah Taala farmata hai: "Aur Jab Quran Parha Jaye tou Tawajjo se Suna karo aur Khamosh Raha karo Taaki Tum par Reham kiya jaaye." 📕 Quran, Surah Al Araf 7:204
Sabse Behtar Rozi Mehnat karke Khana Hai - Mehnat ki… Hadees: Mehnat ki Kamayi ki Ahmiyat Miqdam (R.A) se riwayat hai ki, RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya - "Kisi Insan ne Uss Shakhs se Behtar Rozi nahi Khayee Jo Khud Apne Haathon se Kamakar Khata hai, Allah ke Nabi Dawood (Alaihay Salam) bhi Apne Haatho se Kaam karke Rozi khaya karte they." 📕 Sahih al-Bukhari, Hadees 2072
Behtareen Amal: Sila Rehmi karo aur Muaf kiya karo Behtareen Amal: Sila Rehmi karo aur Muaf kiya karo Hadeese Nabwi ﷺ Aqbaa bin Aamir (R.A) Kehte hain Ki, Mai RasoolAllah (ﷺ) ki Baargaah me Hazir hua aur Aap ka Mubarak Haath Thamkar Arz kiya:"Ya RasoolAllah (ﷺ) ! Mujhe Behtareen Amaal Bataaiye." Aap (ﷺ) ne farmaaya: "Aqbaa!∗ 1. Qata-e-Taalluk Ke Karne Wale (Tumse Rishta Todne Wale) Se Sila Rahmi Karo,∗ 2. Jo Tumhe Mehroom Kare Usey Ataa Karo.∗ 3. Jo Tum Par Zulm Kare Usey Muaf Kar Do." 📕 Mukashifat-ul-Quloob,…
Neki aur Parhezgari ke kaamo me ek dusre ki madad kiya karo Neki aur Parhezgari me ek dusre ki madad karo Allah Taala Quran me farmata hai: "Neki aur Parhezgari ke kaamo me ek dusre ki madad kiya karo.Aur Gunaah wa Zulm par Madad naa karo!,Aur Allah se Daro, Beshaq Allah ka Azaab Sakht hai.” 📕 Surah Maida 5:2