Kisi Se Naram Baat Karna Ya Kisi Ko Darguzar Kar Dena .... ♥ Al-Quraan : Bismillah-Hirrahman-Nirrahim !!! "Kisi Se Naram(Bhali) Baat Karna Ya Kisi Ko Darguzar(Muaf) Kar Dena, Uss Sadqe Aur Khairaat Se Behtar Hai, Jise Dene Ke Baad Uske Lene Waale Ko Dukh Pohnchaya Jaaye. Aur Allah Badaa Beniyaz Hai". - (Surah Al-Baqrah: Aayat-263)
Mangne wale ko jhidka na karo (Agar ho tou do warna bhali… ♥ Bismillah-Hirrahman-Nirrahim ♥ ‟ Mangne wale ko jhidka na karo (Agar ho tou do warna bhali baat kaho). ‟ मांगने वाले को झिड़का न करो (अगर हो तो दे दो वरना भली बात कहो)। ‟ मांगण्याराला हाकळवु नका (होत असेल तर द्या अथवा चांगले शब्द बोला). ‟ And do not rebuke the beggar. - (Al-Quran; Surah Zuha 93:10)
Achchi Baaton Ka Hukm Do Magar Khud Bhi Amal Karo ♥ Mafhoom-e-Hadees: Usama Bin Zaid (RaziAllahu Anhu) Se Riwayat Hai Ki, Rasool'Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Farmaya "Qayamat Ke Din Ek Shakhs Laya Jayega Phir Wo Jahannum Me Dala Jayega Uske Pait Ki Aantein (Intestine) Bahar Nikal Aayegi, Wo Unko Liye Huye Gadhey Ki Tarah Jo Chakki Peesta Hai Chakkar Lagayega Aur Jahannum Waley Uskey Paas Ekaththey Hongey Uss Sey Puchengey 'Ki Aye Falah! Kya Tu Achchi Baat Ka Hukm Nahi Karta Tha Aur Buri Baat Se Manaa Nahi Karta Tha ?' Wo Kahega Mai Tou Aisa Karta Tha Lekin Dusron Ko Achchi Baat Ka Hukm Karta Tha Aur Khud…
Har acchi baat sikhana aur har buri baat se rokna Sadqa hai Hadees of the Day Har acchi baat sikhana aur har buri baat se rokna Sadqa hai Abu Dharr (R.A) se riwayat hai ki kuch (Gareeb) Sahabi Allah ke Rasool (ﷺ) ke paas aaye aur arz kiya: "Ya RasoolAllah (ﷺ) ! maal wale sara sawab kama kar le gaye! isliye ki wo Namaz padhte hai jaisa ki hum namaz padhte hai aur Roza rakhte hai jaisa ki hum roza rakhte hai aur apne zyada maalo se Sadqa bhi detey hai. Tou aap (ﷺ) ne farmaya: Tumhare liye bhi tou Allah Subhanahu Ta'ala ne sadqe ka samaan kar diya hai.∗ Har Tasbeeh…
Kyu Deen Me Masumiyat Ikhtiyar Ki Humne ? *Ek Android Cellphone Lena Hai Mujhe,.. *Kaha Se Lu ? *Mall Se Lu Ya Shop Se Lu ? *Waha Tou Itna Daam Hai Uska,.. *Tum Kitne Me Dogey ? *Battery Aur Storage Space Kaisi Hai Iski ? *Jaldi Kharab Tou Nahi Hoga? *Falah Aur Falah ,... Itni Saari Tehqeeq Kyu Karte Hai Hum Mujhe Bataye ? #Duniya Ke Muamlo Me Badi Baariki Se Tehkik Karte Hai ,.. Lekin Jab #Deen Ka Muamla Aata Hai Tou Usmey Khamoshi Ikhteyar Kar Lete Hai ... .. Ke Deen Ke Mu'amle Me Sawal Mat Karo.. Bus Jo #Akida Wirasat Me Milta Hai Wo Le…
Takabbur, Ghamand (Pride, Ego) Ka Behtareen Ilaaj .... ★1. Jab Apney Se Kum Umar Wale Ko Dekho Tab Bhi Usey Apne Se Behtar Jane, Kyunki Uske Gunaah Hum Se Kum Hai.!! ★2. Jab Apney Se Bari Umar Wale Ko Dekho Tab Bhi Usey Apne Se Behtar Jane, Kyunki Uski Nekiyan Hum Se Zyada Hogi.!! ★3. Jab Apney Se Kum Ilm Wale Ko Dekho Tab Bhi Usey Apney Se Behtar Jane, Kyunki Woh Kum Ilmi Ki Wajah Se Gunaah Kar Raha Hai Aur Hum Ilm Hotey Huwe Bhi.!! ★4. Jab Apney Se Zyada Ilm Wale Ko Dekho Tab Bhi Usey Apney Se Behtar Jane, Kyunki Woh Apney Ilm Ki…
Hadees: Haq baat na manna aur logon ko haqeer samjhna… Hadith: 5-May: Ibne Masood (R.A.) se riwayat hai ke, Allah ke Rasool (Salallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya: ‟Haq baat na manna aur logon ko haqeer samjhna Takabbur(ego) hai. -Muslim 275
Har Shakhs Se Assalaam-O-Alaykum Kare .... ♥ Mafhoom-e-Hadees: Abdullah-Bin-Umar (RaziAllahu Anhu) Se Riwayat Hai Ki, Ek Shakhs Ne Rasool'Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Se Poocha ke: "Kaun Sa Islam Behtar Hai ?" Aap (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Farmaya - "Yeh Ke Tu Bhukhe Aur Mehmaan Ko Khana Khilaye Aur Har Shakhs Se Assalaam-O-Alaykum(Salaam) Karey Chahe Tu Uss Ko Pehchanta Ho Ya Na Pehchanta Ho.." - (Sahih Muslim Shareef: Jild-1, Page-138'139, Hadees no.160) *Sabaq: Baab-Khazayil Islam Ki Fazeelat Aur Uss Baat Ka Bayaan Ke Islam Me Kaun Se Kaam Afzal Hai.
Sab se Behtar Banda koun? Dil mein Bughz rakhna kaisa hai Hadees Hadees-e-Nabwi ﷺ Abdullah bin ‘Amr (R.A) se riwayat hai ke, Allah ke Rasool (ﷺ) ne farmaya; "Logo me sab se Behtar wo hai jo Paak aur Saaf Dil wala ho aur Sacchi Zubaan wala ho, Paak-Saaf Dil wala woh Parhezgaar insan hai Jiske Dil me koi Gunaah, Zulm-o-Zyaadati, Jalan aur Hasad aur Nafrat na ho." 📕 Ibne Majah, Hadees 4216
Hadith: Aisi baatein na kaho jo dusro ko sunne me buri lage Hadith: 24-April: Aas bin Amr Tufaawi (R.A.) se riwayat hai ke, RasoolAllah (Salallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya: ‟Aisi baatein na kaho jo dusro ko sun'ne me buri lage. -Musnade Ahmed 16701
Insani Jism me 360 Joints ka Saboot ! 1400 saalo se hai… ✦ Hadith : Ummahatul Momineen Ayesha (R.A.) se riwayat hai ke, Rasool'Allah (ﷺ) ne farmaya: ❝Har Insan ki takhleeq me 360 Jod (Joints of Bones) banaye gaye hain, so jis ne Allahu Akbar kaha, Alhamdulillah kaha, La’ilaha Illa’llah kaha, SubhanAllah kaha, Astagfirullah kaha, Raaste se Patthar ya Kanta ya Haddi hata di, Acchi Baat ka Hukm diya yaa Buri Baat se roka tou ye Teen so Saath (360) jodon (Joints) ki ginti ke barabar (Shukr ada karne ki tarah) hai aur goya wo shakhs uss din apne aap ko Jahannum se aazad karwa kar chal phir raha hai.❞ (Sahih Muslim,…
Jannat ki adna see jagah Dunia se behtar Hadees of the Day Jannat ki adna see jagah Dunia se behtar Allah ke Rasool (ﷺ) ne farmaya: "Jannat mein Ek Kooda Rakhne Jitni Jagah Duniya aur is mein Jo kuch hai, Sab se Behtar hai." 📕 Sahih Bukhari: 6415
Aadam ki tamam ki tamam Aulad khatakar hai, Lekin Behtar… ♥ Hadis-e-Nabwi ﷺ : Anas (RaziAllahu Anhu) se riwayat hai ke, Allah Ke Rasool (Salallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya, " Aadam ki tamam ki tamam Aulad khatakar hai, Lekin Behtar Khatakar wo hai jo Tauba kar ley" - Sunan Ibn Maajah; Arabic reference, Hadith 4392 ♥ हदीस-ऐ-नबवी ﷺ : अनस (रज़ीअल्लाहु अन्हु) से रिवायत है के, अल्लाह के रसूल (सलाल्लाहू अलैहि वसल्लम) ने फ़रमाया, " आदम की तमाम की तमाम औलाद खताकार है, लेकिन बेहतर खताकार वो है जो तौबा कर ले " - सुनन इब्ने माजाह, हदीस 4392 ♥ Hadis-e-Nabwi ﷺ : It was narrated from Anas that the…
Allah Ta'ala ko Lagne waali Sabse Boori baat Hadith: Allah Ta'ala ko Lagne waali Sabse Boori baat Abdullah bin Masood (R.A.) se riwayat hai ki,RasoolAllah (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya: "Allah Subhanhu Ta'ala ko sabse Napasandeeda (Buri) baat ye lagti hai ki koi shakhs kisi se kahe ki Allah se Daro aur wo kahne lage ke Tu apni fikar kar." Al SilSila As Sahiha, 2809Al Baihiqi,601-Sahih हदीस : अल्लाह तआला को लगने वाली सबसे बुरी बात अब्दुल्लाह बिन मसूद (रजीअल्लाहु अन्हु) से रिवायत है के,रसूलअल्लाह (सलल्लाहू अलैहि वसल्लम) ने फ़रमाया: "अल्लाह सुभानहू तआला को सबसे नापसंदीदा (बुरी) बात ये लगती है की कोई शख्स किसी से कहे की…