Hadees: Jo Shakhs zaroorat se jyada imarat banayega… Hadith: 22-April: Anas bin Malik (R.A.) se riwayat hai ke, Allah ke Rasool (Salallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya: ‟ Jo Shakhs zaroorat se jyada imarat banayega tou ye Qayamat ke din uske liye wabal hogi. 📕 Shoaib Ul Iman 10710
Jis Shakhs ke paas koi ilm mehfuz go aur wo usey… ✦ Hadith: Roman Urdu: Abu Hurairah (R.A) se riwayat hai ki, Rasool'Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) ne farmaya : "Jis Shakhs ke paas koi ilm mehfuz ho aur wo usey chupaye tou Qayamat ke din usey dozakh ki Aag ki lagaam daal kar laya jayega." 📕 Sunan Ibn Majah: Arabic 272, English 261 ✦ English Hadith: It was narrated from Abu Hurairah that: The Prophet (ﷺ) said: "There is no man who memorizes knowledge then conceals it, but he will be…
Zinaa, Chori, Sharaab Khori Momeen Ka Kaam Nahi : Hadees Zinaa, Chori, Sharaab Khori Momeen Ka Kaam Nahi Hadees: Abu Hurairah (R.A) se riwayat hai ki, RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya - "Zinaa karney wala Zinaa kartey waqt Momin nahi rehta, Sharaab peeney wala sharaab peetey waqt momin nahi rehta, Chori karney wala chori kartey waqt momin nahi rehta, Jab koi lootney wala loot'ta hai aur log usey dekhtey hain Uss waqt wo bhi momin nahi rahta." 📕 Sahih Bukhari, Hadees 6772
Jo Shakhs koi cheez cheen kar le Woh hum me se nahi Hadees of the Day Jo Shakhs koi cheez cheen kar le woh hum me se nahi RasoolAllah (ﷺ) farmate hai ke: "Jo Shakhs koi cheez cheen kar le woh hum (Imanwalo) me se nahi." 📕 Ibn Majah, Hadees 3927
Betiyan Qayamat ke din jahannam se uski aad… Hadees of the Day Betiyan Qayamat ke din jahannam se uski aad (protection) hongi Aisha (R.A) se riwayat hai ki, RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya: "jiski betiyan ho aur wo unke saath neki kare tou wo Qayamat ke din jahannam se uski aad (protection) hongi.." 📕 Sahih Muslim, Vol 6, 6693 Aisha (R.A) se riwayat hai ki,Ek miskeena (faqeer Aurat) mere paas Aayee apni 2 betiyon ko liye huye mainey usko 3 khajurain dee, usney har ek beti ko ek ek…
Allah apne Bando ki koi Fariyad Radd nahi karta: Hadees Allah apne Bando ki koi Fariyad Radd nahi karta Hadees: Nabi-e-Kareem (ﷺ) ne farmaya: "Tumhara Rab bahuth Ba'haya aur Kareem hai, jab uska banda uske Saamne apne dono haath Uthata hai tou Unhen khali Lautate huye Usey apne bande se haya Aati hai." 📕 Sunan Abu Dawud, Hadees 1488-Sahih WAJAHAT: Iss Aahadees me Haya se murad Allah Apne bando ki koi bhi fariyad (Dua) zaya nahi karta, jiske talluk se ek aur riwayat me aata hai ke - Hadees: Allah…
Allah ke Siwa koi ek Makkhi bhi Paida Nahi kar Sakta Allah ke Siwa koi ek Makkhi bhi Paida Nahi kar Sakta Allah Taala farmata hai: "Allah ke Alawa jin jin ko tum pukarte ho, Woh Hargiz ek Makkhi bhi paida nahi kar sakte, agarche wo sab is kaam ke liye ikhatte hi ho jaye." 📕 Quran 22:73
Hadees: Quran ki tilawat karo, yeh Qayamat ke din… Hadith: 19 -July: Abu Umama (R.A) se riwayat hai ke, Allah ke Rasool (ﷺ) ne farmaya: ❝Quran ki tilawat kiya karo, is liye ke yeh Qayamat ke din tilawat karne waalo ke haq me Sifarish karega.❞ 📕 Sahih Muslim 804
Qayamat ke Din uska Maal Zahreeley Ganje Saanp ki… ♥ Mafhoom-e-Hadees: Abu Hurairah (RaziAllahu Anhu) se riwayat hai ki RasoolAllah (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya ki: "Jisey Allah ne maal diya aur usney uski zakaat ada nahi ki to Qayamat ke din uska Maal nihayat zahreeley Ganjey Saanp ki Shakal ikhtriyar kar lega uski Aankhon ke pass do Siyah(black) Nuqtey honge jaise Saanp ke hote hain phir wo Saanp uskey dono Jabdo se usey pakad lega aur kahega ki main tera maal aur khazana hun." ? Sahih Bukhari ,…
Jummah ke Din Tamam Janwar Qayamat ke Darr se Hadees of the Day Jummah ke Din Tamam Janwar Qayamat ke Darr se Kaan Lagaye hue Allah ke Rasool (ﷺ) ne farmaya: "Jumuah ke Din Subah Hote hi Tamaam Jaanwar Qayaamat ke Dar se Kaan Lagaye Huye hote hain Yahan Tak ki Sooraj Tuloo ho jaye, Siwaye Jinnon Aur Insaano ke." 📕 Abu Dawood: 1046 (Sahih)
Hadees: Tum Qayamat ke din apne aur apne baap ke… Qayamat ke din apne aur apne baap ke naam se pukaare jaoge Abu Darda (R.A.) se riwayat hai ke, RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya: ‟Tum Qayamat ke din apne aur apne baap ke naam se pukaare jaoge, isiliye acche naam rakha karo." 📕 Abu Dawood, Hadees 4948
Jiski Buniyad Shariyat me Nahi Aisa Kaam Deen me… Roman Urduहिंदी Hazrate Ayishah (RaziAllahu Anha) se riwayat hain ki RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya: “Jisne Deen mein koyi aisa kaam kiya jiski buniyaad shari’at mein nahi wo kaam Mardood hai." - (Sunan Ibn Majah Hadees 14) ✦ Wajahat: Maslan wo tamam Aamaal jinhe hum Neki aur Sawab ki ummid se karte hai lekin jo Sunnat se sabit na ho wo Mardood hai. yaani Allah ke nazdik Radd kiya jayega Roze Qayamat. Kyunki aise Biddat wale aamal karne se hum Shariyat…
Aur yaqeenan jo koi Sabr se kaam le, aur darguzar… jo koi Sabr se kaam le, aur darguzar kar jaaye "Aur yaqeenan jo koi Sabr se kaam le, aur darguzar kar jaaye, tou yeh badi Himmat ki baat hai." 📕 Surah Shora 42:43