Beshaq Namaz Behayai aur Burey Kamo se Rokti hai Beshaq Namaz Behayai aur Burey Kamo se Rokti Allah Ta'ala farmata hai: "Aye Rasool ! Jo Kitaab Tumhare Paas Nazil ki Gayi hai Uski Tilawat karo aur Pabandi se Namaz Parho, Beshaq Namaz Behayai aur Burey Kaamo se Baaz(Rokti) Rakhti hai aur Allah ki yaad yakinan bada Martaba rakhti hai aur Tum Log jo kuch karte ho Allah Uss se wakif hai." 📕 Al-Ankabut 29:45
Islam kya hai, Eman aur Ehsan kya hai ? Islam kya hai, Eman aur Ehsan kya hai ? Hadees: Hazrat Umar Bin Khattab (R.A) Riwayat Karte Hain Ki, Ek Roz hum Huzoor Nabi-e-Akram (ﷺ) ki khidmat me haazir they. Achanak ek Shakhs humaari mehfil me aaya, uske kapde nihayat safed, baal gahre syaah they. us par safar ke kuch asraat numaya’n na they aur hum me se koi usey pahchaanta bhi nahin tha. Aakhirkaar woh shakhs Aap (ﷺ) ke saamne aake ghutne se ghutne mila kar baith gaya aur usne…
Hadees: Allah jab kisi Qaum par Azab nazil karta hai… Unn Fitno se bacho jo khaas Zalimon par hi nahi ۞ Bismillah-Hirrahman-Nirrahim ۞ "Tum un fitno se bachte raho jo tum mein se khaas Zalimon par hi nahi padhega aur jaan lo ki beshaq ALLAH subhanhu sakht azab karne wala hai." 📕 Surah Al-Anfal 8:25 Allah jab kisi Qaum par Azab nazil karta hai to wo acche aur bure sab logon par aata hai Hadees: Abdullah bin Umar (R.A) se riwayat hai ki, RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya - "ALLAH jab kisi…
Diwaliya aur Muflis Kaun? | Gaali Galaoch aur Geebat… Diwaliya aur Muflis Kaun?Gaali Galaoch aur Geebat karne ka Azab Hadees: Abu Hurairah (R.A) se riwayat hai ke, ek baar Nabi-e-Kareem (ﷺ) ne sahaba se farmaya 'Kya tum jante ho Diwaliya aur Muflis kaun hai? ' Sahaba ne arz kiya ki "Humare yahan tou Diwaliya usey maana jata hai jiske paas na ek Dirham ho aur na tou koi Saamaan!" Aap (ﷺ) ne farmaya: "Meri Ummat ka Muflis wo hai jo Qayamat ke din apne Roza, Namaz aur Zakat ko saath…
Khayaanat karne walo ke saath kya kare? Khayaanat karne walo ke saath kya kare ? Hadees: Abu Hurairah (R.A) se riwayat hai ke, Nabi-e-Kareem (ﷺ) ne farmaya: "Jo Shakhs Tumhare saath Khayanat (Dhoke ka muamla) kare, tou tum uss ke saath Khayaaat na karo." 📕 Sunan Abu Dawood, Hadees 3535
3 Batey Jise Haqeeqat aur Mazak me kehna bhi Haqeeqat hai ♥ Mafhoom-e-Hadees: Abu Hurairah (RaziAllahu Anhu) se riwayat hai ki, Rasool'Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) ne farmaya: "Teen Baatey Aisee hain jisko Haqeeqat me kehna bhi haqeeqat hai aur Mazak me kehna bhi Haqeeqat ho jata hai , (Wo teen Baatey hai) Nikah, Talaq aur Ruju (yaani Talaaq ke baad Biwi ko wapas apna lena)." - (Sunan Ibn Majah, JIld 2, 196-Sahih)
Qurbani kya hai ~ Qurbani Ek Baap aur Betey ki ... Hazrate Ibrahim aur Ismayeel Alaihay Salam ki Qurbaani ka Azeem Waqia Hazrate Ibrahim (Alaihay Salam) ne ek raat Khwab me Dekha ki koi Shakhs Gaib se aawaz deta hai aur kehta hai ki: "Aye Ibrahim...! Tumhe Allah ka huqm hai ki apne bete ko Allah ki raah me zibaah kar do." Nabi Ibrahim Alaihi Salam ke bare me tafseeli jankari ke liye is Hiqayat ke series ka mutala kare. Chunki, Nabiyon Ka Khwaab Saccha Aur "Wahih" ki Qism se hota…
Har acchi baat sikhana aur har buri baat se rokna Sadqa hai Hadees: Abu Dharr (R.A) se riwayat hai ki kuch (Gareeb) Sahabi Allah ke Rasool (ﷺ) ke paas aaye aur arz kiya: "Ya RasoolAllah (ﷺ) ! maal wale sara sawab kama kar le gaye! isliye ki wo Namaz padhte hai jaisa ki hum namaz padhte hai aur Roza rakhte hai jaisa ki hum roza rakhte hai aur apne zyada maalo se Sadqa bhi detey hai. Tou aap (ﷺ) ne farmaya: Tumhare liye bhi tou Allah Subhanahu Ta'ala ne sadqe ka samaan…
Samundar ka paani paak hai aur usme Mar jaane wale… Samundar ka Paani aur Wuzu Hadees: Abu Hurairah (R.A.) se riwayat hai ki ek shakhs ne RasoolAllah (ﷺ) se puchha ki: "Hum log Samundari safar karte hain aur apne saath thoda bahut paani le jaate hain. agar hum us paani se wuzu kar le tou pyaase reh jayenge, tou kya hum samundari paani se wuzu kar kiya karein ? Aap (Sallallahu Alaihay Wasallam) ne farmaya "Samundar ka paani Paak karne wala hai aur usme mar jaane waale jaanwar halaal hain.” - Sunan an-Nasa'i 59- Sahih (Darussalam)
Allah Rehman hai aur uska Azab bhi Dardnak hai Allah Rehman hai aur uska Azab bhi Dardnak hai Allah Taala farmata hai: "Mere Bando ko Khabar de do Ki Main bohot bakhshne wala aur bada hi Meharbaan hoon. Aur Saath hi Mera Azab bhi Dardnak hai." 📕 Quran 15:49-50
Jab 3 Shakhs saath baithey ho tou 2 shakhs Kaanafusi na kare Jab 3 Shakhs saath baithey ho tou Abdullah (R.A) se riwayat hai ke Allah ke Rasool (ﷺ) ne farmaya: "jab Teen shaksh saath ho to teesre Shakhs ko chor kar Do log aapas me Kaanafusi (chupke se baat) na karey." 📕 Sahih al-Bukhari, Hadees 6288
Gareebo se Muhabbat karo aur un ke saath Gareebo se Muhabbat karo aur un ke saath baitho Hadees: Abu Hurairah (R.A.) se riwayat hai ke, RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya: "Gareebo se Muhabbat karo aur un ke saath baitha karo." 📕 Mustadrak, Hadees 7947
Allah ke Paas Kitni Rehmat aur Kitna Azaab Hai ? Allah ke Paas Kitni Rehmat aur Kitna Azaab Hai ? Hadees: Abu Hurraia (R.A) ka bayan hain ke,Maine RasoolAllah (ﷺ) Ko Farmatey Huwe Suna - "Jis Roz Allah ne Rehmat ko Paida kiya tou Uskey 100 Hissay kiyeaur 99 hissay Apne Paas rakh kar Ek (1) hissa Apni Saari Makhlooq ke liye Bhej Diya. Pas Agar Kafir bhi Yeh Jaan le ke Allah ke Paas kitni Rehmat hai touWoh bhi Jannat se Mayoos na ho aur agar Momin yeh Jaan…
Allah se daro aur saccho ke saath ho jao Allah se daro aur saccho ke saath ho jao Allah Ta'ala farmata hai: "Aye Imanwalo! Allah se Daro aur Saccho ke Sath ho jao." 📕 Quran 9:119
Apni Biwiyon ke Saath Bhaley Andaaz se raho Apni Biwiyon ke Saath Bhaley Andaaz se raho "Aur Un Aurto (Apni Biwiyoun) ke Sath bhale andaaz me Zindagi basar karo." 📕 Surah An-Nisa 4:19