Abu Huraira (R.A) kehte hain ke, Allah ke Rasool (ﷺ) ne irshad farmaya –
“Ek Kutta Kuve ke Aas-Paas Ghum raha tha aur pyaas ki wajah se marney ke qareeb tha ke,Bani-Israeel ki Ek Zaniya Aurat (prostitutes) ne ess ko dekh kar apna Juta (Shoe) utaar kar kuve se paani khich karuss ko pila diya,Allah Taala ne essi wajah se ess Aurat ki Magfirat kar di.”
Ramadan Day 11 | Khajur se Iftar kare aur Khajur na… Ramadan Quotes: 11th Ramzan ✦ Roman Urdu Hadees: Salman-Bin-Amr (R.A.) se riwayat hai ki, Rasool'Allah (ﷺ) ne farmaya:"Jab Tum me se koi Roza Iftar karne lage tou Khajur se Iftar kare aur agar Khajur na miley tou Paani se kare, Kyunki Paani Paak karne waala hai." [Sunan Ibn Majah 1699-Sahih]
Kisi Musalman ke Aib Chupaane ka Sawaab: Hadees ۞ Hadees: Allah ke Rasool (ﷺ) Irshad farmatey hai ki, "Jo Aadmi kisi Musalman ke Aib ko Dekh le aur phir Usey Chhupaye tou isey Allah Ta’ala Itna Ziyada Sawaab ata karega jaise Zinda dafnayi bacchi ko Qabr se Nikal kar uski Parwarish kare aur uski Zindagi ka Saamaan kar dey." 📕 Mishkat 2-424
Ramadan Day 8 : Rozedar ko Iftar karane ki Fazilat… Hadees: RasoolAllah (Sallallahu Alaih Wasallam) ne farmaya " Jo koi kisi Rozedaar ko iftar kara de tou uss ko Rozedaar ke Barabar Sawab Milega, aur Rozedaar ke sawab mein se koi kami nahi hogi ." [Sunan ibn e Maja, 1746]
Safar aur Bimaari me Roz-Marra ki Ibadaton ka Sawaab Hadees: Ibrahim Abu Isma'il As-Saksaki (R.A) se riwayat hai ki,RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya ki: "Jab Banda Bimaar hota hai ya Safar karta hai tou uskey liye unn tamam Ibadaton ka Sawaab likha jata hai jinhe Sehat ke Waqt kiya karta tha." 📕 Sahih Bukhari; Hadees 2996
Hadith: Jab tum me se koi paani piye tou bartan me… Hadith: 29-March: Abu Qatadah (R.A) se riwayat hai ke, Allah ke Rasool (Salallahu Alaihi Wasalam) ne farmaya: ‟Jab tum me se koi paani piye to usey chahiye ke bartan me saans na le. -Bukhari 154
Aap (ﷺ) Ka Mubarak Mojza: Ungliyo se Paani Ka Chasma Nikalna ♥ Mafhoom-e-Hadees: Jabeer (R.A.) ne kaha ki Suleh Hudaibiya ke moqe par logo ko pyaas lagi thi, Aap (Sallallahu Alaihay Wasallam) ke samne paani ka ek chhota sa matka (bartan) rakha hua tha Aapne logo se farmaya kya baat hai ? logo ne kaha ki jo paani aapke samne hai us paani ke siwa na tou hamare paas wazu ke liye koi dusra paani hai aur na peene ke liye, Aap (ﷺ) ne apna haath jaise hi us paani ke…
Paani Gataghat na piyo warna falah beemari hoti hai Paani Gataghat na piyo warna falah beemari hoti hai Hadees: Ibne Abi Husain (R.A.) se riwayat hai ke,Allah ke Rasool (ﷺ) ne farmaya: ❝ Tum Paani Choos kar piyo aur gataaghat naa piyo, is (gataaghat peene) ki wajah se jigar ki beemari hoti hai. 📕 Sunan Kubra Baihaqi, Hadees 15055
Hadees: Jab Aadmi apni Biwi ko paani pilaata hai tou… Hadees: Irbaz bin Saariyah (R.A.) se riwayat hai ke, Allah ke Rasool (ﷺ) ne farmaya: "Jab Aadmi apni Biwi ko paani pilaata hai tou uspar bhi Sawaab diya jata hai." 📕 Musnade Ahmed, Hadees 17155
Gharwalo par Kharch Karna bhi Sadqa Karne ke barabar Sawaab Gharwalo par Kharch Karna bhi Sadqa Hadees: Abu Masud Al-Ansari (R.A) se Riwayat hai ki, RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya - "Jab Musalman Apney Gharwalon par Allah ka Hukm Ada Karney ki Niyat se Kharch Karey tou Usmein bhi Usey Sadqey ka Sawaab Milta Hai." 📕 Sahih Bukhari, Hadees 5351
Sadqa Gunahon ko Khatm kar deta hai Jis tarah Paani… Sadqa Gunahon ko Khatm kar deta hai Jis tarah Paani Aag ko bujha deti hai ۞ Hadees: Ka'b bin Ujrah (R.A.) se riwayat hai ke, Rasool'Allah (ﷺ) ne farmaya: "Sadqa Gunaahon ko iss tarha khatam kar deta hai jis tarah paani Aag ko bujha deti hai." 📕 Jami` at-Tirmidhi 614; Grade: Hasan
Har Jaandaar ke Saath Neki karne ka Sawaab Milta hai Har Jaandaar ke Saath Neki karne ka Sawaab Milta hai Hadees: Hazrate Abu Huraira (R.A) se riwayat hai ki, RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya: "1 Shakhs raste mein chal raha tha ke usey Shiddat ki pyaas lagi usey Ek Kunwa(Well) mila aur usne isme utar kar paani piya. jab bahar nikla tou wahan Ek Kutta dekha jo haanp raha tha aur Pyaas ki wajah se tari ko chat raha tha. is Shakhs ne kaha ke yeh Kutta bhi itna hi Ziyada…
Samundar ka paani paak hai aur usme Mar jaane wale… Samundar ka Paani aur Wuzu Hadees: Abu Hurairah (R.A.) se riwayat hai ki ek shakhs ne RasoolAllah (ﷺ) se puchha ki: "Hum log Samundari safar karte hain aur apne saath thoda bahut paani le jaate hain. agar hum us paani se wuzu kar le tou pyaase reh jayenge, tou kya hum samundari paani se wuzu kar kiya karein ? Aap (Sallallahu Alaihay Wasallam) ne farmaya "Samundar ka paani Paak karne wala hai aur usme mar jaane waale jaanwar halaal hain.” - Sunan an-Nasa'i 59- Sahih (Darussalam)