“Jab ek Aurat paanch (5) Waqt Namaz ada kare,Ramzan ke Roze rakhe, Sharmgaah ki hifazat kare (Zinaa se bache),Apne Shohar ki baat maane,tou Roz-e-Mehshar aesi Aurat ko kaha jayega ke Jannat ke is Darwaze se chaho dakhil ho jao.”
Musalman Wo Hai Jis ke Haath aur Zubaan se Mehfooz ... Musalman ke Haath aur Zubaan se Mehfooz Hadees: Allah ke Rasool (ﷺ) ne farmaya : “Musalman Wo hai Jis ki Zubaan aur Haath se Dusre Musalman Mahfooz Rahe.” 📕 Sahih Bukhari, Hadees: 6484 » Wajahat: Aaj kitney Musalmaan hai jo ye Gawahi de ke Mai dusre Musalman ke Sharr se Mehfuz hu. Illa-Masha'Allah bohot kum Musalman honge jinke Khush-Akhlakhi Ki Gawahi hum Dey Payenge. Baaki Hazraat ki tou kya baat. Allah Reham karey !Aaj humari hi BaddAkhlakhiyo ki wajah hai…
Qarz ke Ada Kiye Bagair Momin Jannat me Dakhil Na hoga ✦ Hadees: Qarz ke Ada Kiye Bagair Momin Jannat me Dakhil Na hoga ♥ Mafhoom-e-Hadees: Muhammad bin jahsh (R.A.) farmate hain ki hum Rasool'Allah ﷺ ke paas baithey hue they, Aap ne apna Sir Aasman ki taraf uthaya, phir haath apni peshani par rakha, phir farmaya: "Subhan Allah! kitni sakhti nazil hui hai? " hum log khamosh rahe aur dar gaye, jab dusra din huwa to maine Aap se poocha: "Allah ke Rasool! woh kya sakhti hai jo nazil hui…
Al-Quran: Jo log Imaan laaye aur Nek amal kiye woh… ۞ Bismillah-Hirrahman-Nirrahim ۞ Imaan aur Nek Amal Wale: Makhlooq Mein Sabse Behtar Allah Taala Quran me famata hai: "Jo log Imaan laaye hain aur unhon ne Nek amal kiye hain, woh beshaq saari makhlooq me sab se behtar hain." 📕 Al-Baiyinah 98:7
Haiz aur Nifas Wali Aurat ke liye Roze ka Kya Hukm… Kya Girls period ke samay roja ho sakta hai, agar roze me period aaye to kya kare ? https://www.youtube.com/watch?v=Wzli16mW_5o Agar Roze me period aaye to kya kare? Agar roze me period aaye to kya kare, does water fasting affect menstrual cycle?, intermittent fasting and menstruation, does intermittent fasting affect periods, can fasting cause early period, fasting while on your period christian, ramadan period rules, effects of fasting during menstruation.
Dour-e-Jahalat Ke Nek Amal Ka Bhi Badla Milega ♥ Mafhoom-e-Hadees: Hakeem Bin Hizaam (RaziAllahu Anhu) Se Riwayat Hai Ki, Unhone Bayan Kiya Ki Maine Nabi-e-Kareem (Sallallahu Alaihay Wasallam) Se Puchha: *Aye Allah Ke Rasool (Sallallahu Alaihay Wasallam) ! Unn Nek Kaamon Ke Baarey Me Kya Hoga Jinhe Maine Kufr Ki Haalat Me(Imaan Laaney Se Pehle) Kiya Tha ? Jaise Ki: Maine Sadqa-Khairaat Kiya Hai, Gulaam Bhi Aazaad Kiya Hai, Logon Ke Saath Nek Bartaao Bhi Kiya Hai,.. Tou Kya Kufr Ki Haalat Mein Kiye Huye In Nek Kaamon…
Apne Bhai ki Madad karo, Chahe woh Zaalim ho ya Mazloom Apne Bhai ki Madad karo, Chahe woh Zaalim ho ya Mazloom Allah Ke Rasool (ﷺ) ne farmaya: "Tu apne Bhai ki Madad kar! chahe woh Zaalim ho ya Mazloom." Tou ek shakhs ne pucha "Aye Allah ke Rasool (ﷺ) ! Mazloom hone ki Soorat me tou hum uski madad karenge, lekin Zaalim hone ki soorat me uski Madad kaise kare?" Tou Aap (ﷺ) ne farmaya ke "Tum Usey Zulm karne se rok do, yahi uski Madad karna hai." 📕 Sahih…
Momeen Ko Munafiq Ke Zulm Se Bachane Ka Silaah Momeen Ko Munafiq Ke Zulm Se Bachane Ka Silaah Hadees: Abu Hurairah (R.A) se riwayat hai ki, RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya - "Jisne kisi Momeen ko Munafiq ke Sharr (Zulm) se bachaya tou Allah Subhanahu Ta'ala Qayamat ke din ek Farishta bhejega jo uskey Gosht ko jahanamma ki aag se bachayega aur jisney kisi Musalman par tohmat lagayee jis sey uska maqsad uss Musalman ki burayee ho tou Allah Ta'ala usey jahannum ke pool par rok dega yahan tak ki…
Rehmat ke Farihste Dakhil nahi hote jaha Ghunghroo… Rehmat ke Farihste dakhil nahi hote jaha Ghunghroo Ya Ghanti ho Abu Hurairah (R.A) se riwayat hai ki, Rasool'Allah (ﷺ) ne farmaya: “Ghanti Shaitan ka Baaja hai.” Ek aur riwayat me Biwi Hazrate Umme Salamah (R.A) riwayat karti hai ke: Maine Rasool'Allah (ﷺ) ko ye farmate huye suna ki, "Farishte (Rehmat ke) Un Gharon me nahi daakhil hote Jinme Ghunghroo ya Ghanti ho,aur farishtey (Rehmat ke) Un Kaafilon ke saath nahi jaate jinme Ghanti ho” 📕 Sahih Muslim, Hadees 5548📕…
Nek Bando ke liye Jannat ki Nematen Hadees: Allah ke Rasool (ﷺ) ne farmaya ke: Allah Taala farmata hai: "Maine Apne Nek Bandon ke Liye (Jannat mein) Woh Cheezein Tayyar kar Rakhi hain Jinhein kisi Aankh ne dekha na kisi Kaan ne Suna aur na kisi ke Gumaan mein Woh aayi hain." 📕 Sahih Bukhari, Hadees: 4779
Agar kisi se milne jao tou andar dakhil hone se pehle Agar kisi se milne jao tou andar dakhil hone se pehle ijajat ۞ Hadees: Abu Musa (R.A.) se riwayat hai ke, Rasool'Allah (ﷺ) ne farmaya: ‟Agar kisi se milne jao tou andar dakhil hone se pehle 3 martaba ijazat maang lo, agar ijaazat mil jaye tou thik hai, warna wapas laut jao 📕 Muslim, Hadees : 5753
Aye Imanwalo! Ek Ho Jao ! Nek Ho Jao ... Allah Rabbul Izzat Apney Mukkadas Qalaam Quraan Me Farmata Hai – ♥ Al-Quraan: Beshaq Jo Log Apne Deen Ke Tukde Tukde Kar Chukey Hai Aur Firqo Firqo Me Taqsim Ho Chukey Hai Unn Logon Ke Sath (Aye Nabi Sallallahu Alaihi Wa Sallam) Aapka Koi Ta’alluq Nahi, Unka Mu’amla Tou Sirf Allah Ke Hawale Hai, Fir Jo Kuch Bhi Wo Duniya Me Kiya Karte They Allah Unhey Bata Dega. – [Surah(6) Al-Aan’aam: Ayat-159] Iss Aayte Mubarak Ki Tafseer Allah Ke Rasool…
Sadqa wa Khairat Museebat ke Sattar (70) darwaze… ♥ Mafhoom-e-Hadees: Nabi-e-Kareem (Salallahu Alaihi Wasallam) farmate hai ke, “Sadqa wa Khairat Museebat ke sattar (70) darwaze band kar deta hai” – (Tabrani Kabir, 6724) ♥ मफहूम-ऐ-हदीस: नबी-ऐ-करीम (सलाल्लाहू अलैहि वसल्लम) फरमाते है के, “सदका व खैरात मुसीबत के सत्तर (70) दरवाज़े बंद कर देता है” – (तबरानी कबीर, ६७२४) For more Islamic messages kindly download our Mobile App
Jis Shakhs ke paas koi ilm mehfuz go aur wo usey… ✦ Hadith: Roman Urdu: Abu Hurairah (R.A) se riwayat hai ki, Rasool'Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) ne farmaya : "Jis Shakhs ke paas koi ilm mehfuz ho aur wo usey chupaye tou Qayamat ke din usey dozakh ki Aag ki lagaam daal kar laya jayega." 📕 Sunan Ibn Majah: Arabic 272, English 261 ✦ English Hadith: It was narrated from Abu Hurairah that: The Prophet (ﷺ) said: "There is no man who memorizes knowledge then conceals it, but he will be…
Agar Puri Duniya Bhi Tumhe Nafa Pohchana Chahe to ... Agar Puri Duniya Bhi Tumhe Nafa Pohchana Chahe to Nahi Pohcha sakta Abdullah Ibn Aabbas (R.A) farmatey hai ke (Mere Bachpan me) Mai ek Martaba Aap (ﷺ) ke Sath Unth ke pichey Baitha tha, Tab Aap (ﷺ) ne Mujhe kuch Naseehate ki aur farmaya : "Aye Abdullah! Tum Allah ke Ahqaam ki hifazat karna,Woh tumhari hifazat karega,Tum Allah ke Ahqaam ki Hifazat karo tou tum usey apne samne paoge,Jab Tum koi Sawal Karna (Mangna) tou Sirf Allah se karna. Hatta…