Pabandi se Namaz ada karne ki Fazilat aur Ahmiyat RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya - "Jo Shakhs Namaz Pabandi se ada karega tou Yeh Uss ke liye Qayamat ke din Noor hogi, (Iskey Imaan aur Allah se iski wafadari ki) daleel hogi, aur (Jahannum se) Nijaat ka sabab ban jayegi." "Aur Jo Shakhs Namaz ki Pabandi nahi karega tou Namaz Uss ke liye Roshni, Daleel aur Nijaat ka sabab nahi banegi aur woh Qayamat ke din Qaroon, Hamaan aur Obai bin Khalaf ke saath hoga." 📕 Ahmed: Hadees 6576
Ilm Ki Ahmiyat: Part-2 Ba'Qoul Qurane Majid: "Iqra' Bi'asmi Rabbika Al-Ladhi Khalaqa." - Bus Fir Musalmano Ki Aaneywali Naslo Ne Apne Rabb Ka Naam Lekar Aisa Ilm Haasil Kiya Jo Rehti Duniya Tak Logon Ke Liye Faydemand Sabit hua. Phir Chahey Wo Shariyat Ka Ilm Ho Ya Fir Duniyawi Ilm, (Religious Knowledge or Universal Knowledge) Bina Tafrik Aur Fark Kiye Rab Ka Naam Letey Aur Har Uloom Ko Padh Letey. Aur Naa Sirf Padhtey Balki Har Uloom me Maharat Haasil Kar Li, Balke Inhone…
Jabtak Banda apne bhai ki madad me laga rehta hai Jabtak Banda apne bhai ki madad me laga rehta hai Allah ke Rasool (ﷺ) ne farmaya: “Allah Ta'la us waqt tak Bande ki madad mein laga rehta hai jab tak Banda apne Bhai ki madad mein laga rehta hai.” 📕 Sahih Muslim, Hadees: 6853 (2699) Allah Ta’ala us ki Jarurat Poori Karega Abdullah ibn Umar (R.A) se riwayat hai ke,Allah ke Rasool (ﷺ) ne Farmaya: "Jo apne Bhai ki Jarurat Poori karega, Allah Ta’ala us ki Jarurat Poori Karega" 📕…
♫ Ramzan ki Fazilat - Ahmiyat aur Masaail ♫ Ramzan ki Fazilat - Ahmiyat aur Masaail Free Download Audio Bayan of Ramzan Ki Fazilat, Ahmiyat aur Masaail, Shabe Qadr ki Hakikat aur Fazail by Adv Faiz Sayed. ♪ Ramzan ki Fazilat – Part (I) ♪ Ramzan ki Fazilat - Part (II) ♪ Ramzan ki Fazilat - Part (III) ♪ Shabe Qadr – (Ramzan Ki Fazilat) – Part (IV) ♪ Roze Chodney Se Bachey – (Ramzan Ki Fazilat) – Part (V)
Jo Kisi Musalman ke Aib Chupayega ♥ Mafhoom-e-Hadees: Abu Hurairah (RaziAllahu Anhu) Se Riwayat Hai Ki, Rasool'Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Farmaya - *Jo Kisi Musalman Ki Parda-Poshi Karega (Aib Chupayega) Allah Ta'ala Duniya Aur Aakhirat Me Uski Parda-Poshi Farmayega. *Allah Subhanahu Ta'ala Uss Bandey Ki Madad Me Rahta Hai Jab Tak Banda Apney Bhai Ki Madad Me Hota Hai. *Aur Jo Koi Ilm Ki Talab Me Koi Raasta Chaley Tou Allah Subhanahu Ta'ala Uskey Liye Jannat Ka Raasta Aasan Farma Deta Hai. *Aur Jab Koi…
Budhapa Musalman ka Noor hai ✦ Hadees: Budhapa Musalman ka Noor Hai Nabi-e-Kareem (Sallallahu Alaihay Wasallam) ne "Safaid Baalo ko Nikaalney se Manaa farmaya hai,Aur farmaya "Ye Budhapa Musalman ka Noor hai." [ Tirmizi; Hadees. 2821 ]
Peeth Piche Apne Bhai ke liye Duwa karne ka Faida Peeth Piche Apne Bhai ke liye Dua karne ka Faida RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya: "Jis Shakhs ne Apne Bhai ke liye Uski Peeth piche Dua ki tou jo Farishta uske Sath Muqarrar hai, Woh kehta hai: "Aameen! Tumhein bhi Uske Jaisa miley." 📕 Sahih Muslim, Hadees: 2732 (6928)
Padosi ko Takleef denewala Musalman Jannat me Nahi Jayega ♥ Mafhoom-e-Hadees: Abu Hurairah (RaziAllahu Anhu) se Rivayat hai ke, RasoolAllah (Sallallahu Alaihay Wasallam) ne farmaya, Wo shaksh jannat mein nahi jayega jiska humsaya (Padosi) uske makar-o-fasad (yani Zulm-Sitam se) se mehfooz na ho (Chahe uska padosi kafir bhi kyu na ho ).." - (Sahih Muslim, Hadith No. 79)
Ilm ki Ahmiyat aur Fazilat: Quran aur Ahadith ki Roshni mein Ilm ki Ahmiyat aur Fazilat: Quran aur Ahadith ki Roshni mein Quran ki Roshni mein Al-Quran: ♥ Allah Ta’ala Yakinan Unn Logon Ko Jo Tum Me Se Imaan Laaye, Aur Jinhone Ilm Haasil Kiya Unkey Darjaat Buland Kar Ke Rahega. – Surat Al-Mujadila 58:11 Ahadith Ki Roshni Mein RasoolAllah (ﷺ) farmate hai: ♥ Ilm Haasil Karna har Musalmaan par Farz hai.– (Miskat P:24) ♥ Ilm Hasil Karna Har Ek Musalmam (Mard Aur Aurat) par Farz Hai.– (Sunan ibn Majah, Vol-1,…
Apne Bhai ko Uskey Gunaaho par Sharminda na Karey ... Hadees: Rasool-e-Kareem (ﷺ) ne farmaaya - “Jis Shakhs ne Apne Bhai ko kisi Aise Gunaah par Sharminda kiya Jis se Woh Taubah kar Chuka tha, Tou Woh Uss Waqt tak na Marega Jab tak ke Woh Uss Gunaah ko na kar lega.” 📕 Sunan Tirmizi, Hadees 2505, 📕 Shobul Imaan, Hadees 6271
Log Chahte hai ke Musalman Jaahil Rahe Hadees: Abdullah-Bin-Umro-Bin-Aas (RaziAllahu Anhu) Farmate Hai Ke,Rasool’Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Hajjatul Wida Ke Din Khutba Diya Aur Farmaya – Pohcha Do Logon Tak ! Agar Ek Aayat Bhi Maloom Ho Tou”📚 SAHIH BUKHARI, JAMI` AT-TIRMIDHI 2669 Subhan’Allah!! Jaahir si baat hai ke Pohchaane ki baat kahi jaa rahi hai tou jab Maloom hoga ya maloom karenge tabhi tou Pohchaya jayega. lekin jab Maloom hi na ho tou kya pohchayenge hum ?. Aur Aaj Hum Dekhtey hai ke log Chahtey hai…
Jab koi Musalman dua karta hai to Allah 3 me se ek… Hadith: Jab koi Musalman dua karta hai to Allah 3 me se ek ataa karta hain ✦ RasoolAllah (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya : "Jab koi Musalman aisee dua karta hain jis mein gunah aur Qata rehami na ho to Allah Subhanahu us wajah se teen cheezon mein se koi ek usko ata farma deta hain. Ya to uski dua fauran Qubul farma deta hai, ya uske liye akhirat mein zakheera kar leta hai, ya phir uski koi taklif us…
Namaz-e-Asar ki Ahmiyat: Jiski Namaz Asar Qaza Ho Gayee Uska Jiski Namaz Asar Qaza Ho Gayee Uska Hadees: Abdullah Bin Umar (R.A) se riwayat hai ki - RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya - "Jiski Namaz-e-Asar Qaza ho Gayee (Yaani nahi padi Uski Misaal aisi hai ke) Uska Ghar aur Maal Sab Loot gaya." 📕 Sahih Bukhari, Namaz Ke Waqton Ka Bayan: Hadees 553
Jamat se namaz padhne ki Ahmiyat Hadees of the Day Jamat se namaz padhne ki Ahmiyat TRANSLITERATION Abu Darda (R.A) se riwayat hai ki,RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya - "Teen Aadmee kisi Basti ya Jangal me ho aur phir bhi wo Jamaat se Namaz na parhe tou Unn par Shaitan musallat ho jata hai, Isliye Tum Jamaat ko laazim kar lo. Kyunki Bhediya Ussi Bakri ko khata hai jo Galle se alag ho Jaye." 📕 Sunan Abu Dawud, Hadees 542