Walidain ki Nafarmani Bahut hi bada Gunah hai
Mugeerah (R.A) se riwayat hai ke,
Nabi-e-Kareem (ﷺ) Ne Farmaya:
“Allah Ta’ala ne tum par Maa ki Nafarmani Haraam Qarar di hai aur (walidain ke haqooq) na dena aur na-haq un se mutalibaat karna bhi haraam Qarar diya hai, aur Ladkiyon ko Zindah dafan karna (bhi haraam qarar diya hai) aur Kil wa qail (fuzool batein) kasrat se Sawal (Unnecessary Demand) aur maal ki barbadi ko bhi napasand kya hai.”
RasoolAllah (ﷺ) ne Farmaya:
“Kya Mai Tumhe Sabse Bada Gunah Na Batau ?”
Humne Arz kiya “Jarur Bataiye Ya RasoolAllah ﷺ !”
Aap ﷺ ne farmaya ki: “Allah Ke Sath Shirq Karna aur Walidain ki Nafarmani karna !”
Aap ﷺ Us Samay Tek lagaye hue they ab Aap ﷺ Sidhe baith gaye aur farmaya:
“Aagaah ho jao Jhuthi baat bhi aur Jhuthi Gawahi bhi (Sabse bade Gunah hai), Aagaah ho jao jhuthi Baat bhi aur Jhuthi Gawahi bhi !”
Aap ﷺ Usey Musalsal Dohrate rahe aur maine socha ki Aa’hajarat ﷺ khamosh nahi honge.