» Sawaal: Aisi Kaunsi Dawat Hai Jisme Rasool’Allah Ne Jaaney Se Manaa Farmaya Hai?
♥ Jawaab: Hadees-e-Nabwi Me Aata Hai Ke :
– Abu Dawood Ne Akrima Se Riwayat Ki, Aise 2 Shakhs Jo Muqabla Wa Tafakhra (Ghuroor Aur Naaz) Ke Taur Par Daawat Karey, Aap (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Unke Yaha Khaane Se Manaa Farmaya Hai.
– (Sunan Abi Dawood, Kitab, UtTaami, Baab, Jild 3, Page.483, Hadees-3754)
Related Posts:
Quraan-e-Kareem ..... ♥ Quraan-e-Kareem ♥ 22 Saal, 2 Maah, 22 Din Me Nazil Hua aur Isme Siparey → 30 Sajdey → 14 Manzil → 7 Surtein → 114 Makki → 86 Madni → 28 Ruku → 540 Aayat → 6236 Huroof → 323760 Zabar → 53243 Zer → 39582 Pesh → 8804 Madd → 1771 Tashadid → 1243 Nuqtey → 105681 1. Sawaal: Quraan Majid Me Waqfe Laazim ( ﻡ) Kitne Hain ? » Jawaab: Quraan Majid Me Kul 87 Waqfe Laazim Hai. Waqfe Laazim Ka Matlab Ye Hai Ki Quraan Shareef Ki Jis Aayat Me Memm (ﻡ) Ki Shakal Me Nishaani…
Sawaal Karna (Maangna) Kiske Liye Jayaz Hai ?... ♥ Mafhoom-e-Hadees: Qabisah Bin Mukhiriq Al-Hilali (RaziAllahu Anhu) Se Rivayat Hai Ki RasoolAllah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Farmaya - 'Teen Tarah Ke Logon Ke Alawa Kisi Ke Liye Sawaal Karna (Maangna) Jayaz Nahi' 1. Ek Wo Shakhs Jis Par Zamanat Ka Bojh Ho Aur Jab Tak Wo Zamanat Se Nijat Na Pa Le Iske Baad Usko Baaz Rahna Chahiye, 2. Dusra Wo Shakhs Jisko Aisee Musibat Pesh Aaye Jiski Wajah Se Uska Maal Tabah Ho Gaya Ho Tou Uske Liye Bhi Sawal Karna (Maangna) Durast Hai Yaha Tak Ki Wo Aisa Sarmaya Hasil Kar Le Jis Se Wo Guzar Basar…
Hazrate Ali (R.A) se Mushkil Sawalaat ke Khubsurat Jawaab 7 Mushkil Sawaal aur Hazrat Ali (R.A) ke Khubsurat Jawaab Tauraat ke ek Aalim Mujer ne ek martaba Hazrat Ali (R.A) se kuch sawaal puche jinke jawab Hazrat Ali ne diye. Mujer ne pucha: (1) Wo kaunsa mard hai jiska na baap hai na maan? (2) Wo kaunsi aurat hai jiska na baap hai na maan? (3) Wo kaunsa mard hai jiski maan hai lekin baap nahi? (4) Wo kaunsa patther hai jisne jaanwar paida kiya? (5) Wo kaunsi aurat hai jisne ek hi din mein 3 ghadiyaan mein baccha jan diya? (6) Wo kaunse dost hain jo aapas mein…
Kya Humare Badey Galat They ? ♥ Mafhoom-e-Hadees: Rasool’Allah (ﷺ) Ne Farmaya - Man Alaqtan Tammimatan Faqad Ashrak” Jisne “Taweez” Latkai Usne Shirk Kiya. – [Musnad Ahmad (4/156) No. 17458 and Mustadrak al-Haakim (4/243) No. 7513] # Tou kya humare badey Galat they jinhone Taweez ka Aqida ijad kiya ? - Ab Bolney mat Lagayiye ,.. ♥ Hadees Ka Mafhoom Hai ke - Rasool'Allah (ﷺ) Farmatey hai - "Jo Mar Gaye, Wo Apne Hisab Ko Pohoch Gaye, Unke Talluk Se Husne Guman Rakho. Jab Bhi Kaho Accha Kaho! Bura Mat Kaho ..” – (Sunan An-Nasai, Vol 3 , Hadith No,1938) * * * * * #…
Aurat Ka 3 Din Se Jyada Tanha Safar Karna Jayaz Nahi ♥ Mafhoom-e-Hadees: Nabi-e-Kareem (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Farmaya Ke - "Jo Aurat Allah Aur Qayamat Ke Din Par Emaan Rakhti Hai Uss Ke Liye Yeh Halaal Nahi Ke Wo Apne Baap, Bhai, Shohar, Bete, Ya Kisi Mehram Ke Bagair 3 Din Ya Iss Se Ziyada Ka Safar Kare" - (Sahih Muslim, Hadith no. 3270, Page#901) • Wajahat: Ulma-e-Karam Ne Iss Ki Hadd Kilometer Me 92km Bayan Farmaee Hai. Wallahu Aalam!
Kisi ko diyaa hua tohfa waapas na lo ✦ Hadith about Hadiya/Tohfa: 1). Hadith: Hazrate Ibn Abbas aur Ibn Umar (RaziAllahu Anhu) se riwayat hai ki, Rasool'Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) ne farmaya: ❝Kisi Shakhs ke liye ye jayaz nahi ki woh kisi ko diya hua tohfa waapas le siwaaye Baap ke jo apne bete ko diya hua tohfa waapas le sakta hai.❞ - Sunan Ibn Majah Hadith no. 2377 2). Hadith: Ek riwayat me Aap (Sallallahu Aalihi Wasallam) farmate hai: ❝Hadiya (Tohfa) de kar waapas lene wala uss kutte ki tarha hai jo qai (vomit) karke chaat keta hai.❞ - Sahih Muslim Book 012, Hadith 3957 ✦ Tohfa…
Kya Gaali-Galoch Karna Aalimo ke Liye Jayaz hai ? • Sawaal: Aksar Log Tassuf Me Apna Akida Sabit Karne ke Khatir Intehayi Ghatiya Nazm Ikhtiyar karne lag jatey hai, hatta ke Gaali-Galoch tak karne lag jatey hai, kya ek Sahibe Ilm ke liye aisi harkate jayaz hai ? » Jawaab: Sabse pahli baat - ke koi bhi Accha aur saccha Aalim yeh kaam nahi karega.. uske Aalimana shaan ke khilaf hai, aur Mafhoom-e-Hadees hai ke - "Ek Munafiq ki Alamat hai Gaali dena" – (Sahih Al-Bukhari, Hadith no.2459) ... Tou Fir Ummat ka ek Aalim Kaise Gaali Galoch bhara najm ikhtiyar kar sakta hai ? Lekin aisa hota hai,…
Kin Logo ki Gawaahi Jayaz Nahi ? ♥ Mafhoom-e-Hadees: RasoolAllah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Farmaya: "Kisi Khayanat Karne Waale Mard Aur Aurat, Zina Karne Waale Mard Aur aurat, Ya Apne Bhai Ke Bare Me Dushmani Aur Qina Rakhne Waale Ki Gawaahi Ja'iz Nahi" - (Sunan Abu Dawood, 3601) ♥ मफहूम-ऐ-हदीस ﷺ : रसूलअल्लाह (सलल्लाहू अलैहि वसल्लम) ने फ़रमाया: "किसी खयानत करने वाले मर्द और औरत, जीना करने वाले मर्द और औरत, या अपने भाई के बारे में दुश्मनी और किना रखने वाले की गवाही जायज नहीं" - (सुनन अबू दावुद, 3601) For more Islamic messages kindly download our Mobile App
Qayamat Kise Kahte Hai ? » Sawaal: Qayamat Kise Kahte Hai ? » Jawaab : Qiyaamat Ke Mayne Hai Dobara Uthaaya Jana, Duniya Ka Fanah Ho Jana. Allaah Ta’ala Apni Kitaab Quraan-e-Kareem Me Farmata Hai Ki, Ek Din Aesa Hoga, Jab Woh Tamaam Paida Kiye Huye Cheezo Ko Mita Dega, Ussi Din Ka Naam Qayamat Hai. » Sawaal: Qayamat Kab Nazil Hogi.? » Jawaab : Qayamat Kab Qayam Hogi Iss Ka Ilm Sirf Allah Ta’ala Ko Hi Hai. ♥ Al-Quraan : Bismillah-Hirrahman-Nirrahim !!! "(Aye Rasool) Tumse Log Qayamat Ke Bare Me Poocha Karte Hai Ki Kahi Uska Koi Waqt Bhi Tay Hai Tum Kehdo Ki,…
Hasad sirf 2 Baaton me Jayaz hai Hadees of the Day Hasad kaha Jayaz hai? Abdullah Bin Mas'ud (R.A) se riwayat hai ki,RasoolAllahu (ﷺ) ne farmaya - "Hasad Sirf Do Baato me Jayaz hai." Ek tou Uss Shakhs ke Baare me Jisey Allah Ta'ala ne Doulat di hoaur wo Uss Doulat ko Raahe Haq me Kharch kare aurDusra Uss Shakhs ke baare me Jise Allah Ta'ala ne Hikmat di hoaur Wo Uskey Jariye Faisley Karta ho aur Logo ko uski Taalim deta ho." 📕 Sahih Bukhari, Hadees#73
Hamare Nasib Me Pehle Se Hi Sab .... ♥ Qaul-e-Mubarak: Imaam Jafar Sadiq (Rehmatulahi Alaihi) Se Kisi Ne Sawaal Kiya Ke - "Agar Hamare Nasib Me Pehle Se Hi Sab Kuch Likh Diya Gaya Hai Tou Phir Dua Kyon Kare ? Aap Ne Farmaya Ke, "Ho Sakta Hai Tere Parwardigar Ne Yehi Tumhare Naseeb Me Likh Diya Ho Ke Mango Ge Tou Milega Warna Nahi Denge". - (Mizan-Ul-Hikmat, Jild 2, Page 258)
Hidayat aur Gumraahi ki Dawat ka Silaah ... Hadees of the Day Hidayat aur Gumraahi ki Dawat ka Silaah Anas Bin Malik (R.A) se riwayat hai ki,RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya - "Jis Daawat dene waale ne bhi Gumrahi ki Daawat di aur Uski Pairwi ki gayee tou Usko Pairwi karne Waalo ke Barabar Gunaah milega aur Pairwi karne waalo ke Gunaah me koi kami nahi hogi. Aur Jis Daawat dene Waalo ne Hidayat ki taraf Bulaya phir uski Pairwi ki gayitou Usko Pairwi karne Waalo ke Barabar Ajar milega aur Pairwi karne Waalo ke Ajar me kuch Kami Nahi ki jayegi." 📕 Sunan Ibne Majah; Hadees: 205
Baccho Ke Jhuth Bolne ki Ibtteda Kaha se ? .... *Ye Baat Aap Aur Hum Sab Jaantey Hai Ke Baccho Ki Taalim-O-Tarbiyat Ka Sabse Pahla Marhala Uske Apne Ghar Aur Gharwalo Se Shuru Hota Hai ... - Lihaja Jin Halato Me Baccho Ki Tarbiyat Hoti Hai Baccha Waisa Hi Banta Hai ,. ** Afsos Ki Baat Hai - Aaj Muashre Me Sabse Badi Fitne Ki Vajah Hai Jhooth Bolna ,. Aur Aayiye Ye Baat Bhi Wajeh Kar Du Ke Iski Tarbiyat Aksar Baccho Ko Kaha Se Milti Hai ,... # Pehli Misaal - Aap Marketing Field Me Job Karte Hai , Aap Ghar Me Ho Aur Boss Ka Phone Aagaya…
Qayamat ke Roz Sabse Pehla Sawaal Hadeese Nabwi ﷺ Qayamat ke Roz Sabse Pehla Sawaal Tameem Dari (R.A.) se riwayat hai ki -RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya - "Bandey se Qayamat ke Roz sabse pahle Namaz ka hisaab hoga. Agar Uski Namazein poori hongi tou uske Nawafeel alag se likh diye jayenge aur agar Usne Namazein poori nahi ki hongi tou Allah Ta'ala apne Farishton se farmayega 'Dekho kya mere bande ke paas nawafeel hain ? ' Tou Unn Nawafil ke Zariye Jo Faraaiz Usney Zaaya kar diye Unki Takmeel kar do, phir baaqi Aamal ka hisaab bhi essi tarah hoga." 📕 Sunan Ibn Majah, Vol 1,…
Kisi Se Maangna Apne Mooh Par Zakhm Lagane Ke Barabar .... ♥ Mafhoom-e-Hadees: Hazrate Abdullah Ibn Masud (RaziAllahu Anhu) Se Riwayat Hai Ki Rasool'Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Farmaya- 'Jo Shakhs Maaldar Honey Ki Halat Me Bhi Sawaal Kare (Maange) Tou Wo Qayamat Ke Din Iss Tarah Aayega Ki Uska Mooh Kharocha Hua Ya Kata Ya Phata Hoga'. Sahaba-e-Kiram Ne Pucha - 'Insan Kitne Maal Se Maaldar Kehlata Hai?' Tou Aap (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Farmaya - '50 Dirham Ya Uski Qeemat Ka Sona (Rakhne Wala)'. - (Sunan Abu Dawud, Vol-1, 1613-Sahih : @[156344474474186:]) ♥ Mafhoom-e-Hadees: Hazrate Samurah Bin Jundub (RaziAllahu Anhu) Se Riwayat Hai Ki Rasool'Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne…