Tangdast ko Muaf kar diya karo
Abu Hurairah (R.A) se riwayat hai ki,
Nabi-e-Kareem ((ﷺ) ne farmaya –
“Ek shakhs (zamane-e-guzistah me) logo ko Udhaar(Qarz) diya karta tha, woh apne ghulaam ko kaha karta kisi tangdast madiun(Karz lene wale) ke paas jana, usko muaf kar dena, uss ummid par ki Allah hum ko muaf kar de, jab uska inteqal ho gaya tou Allah Ta’ala ne usko muaf kar diya.”
Qarzdar ko mohlat do ya Qarz muaf kar do !
Rasool-e-Kareem (ﷺ) farmate hai –
“Jis Shakhs ko ye baat pasand ho ke Allah Ta’ala usey Qayamat ke din ghum aur ghutan se bachaye tou usey chahiye ke tangdast qarzdar ko mohlat de ya qarz ka bojh uske upar se utar de (yaani qarz muaf kar de ya uski taraf se ada kar de).”