Islamic Quiz 250 In me se kounse mahine ko “Shahrullah” yaani Allah ka mahina kaha jaha hai? Options Are 👇 A. Muharram B. Rajab C. Shaban D. Ramzan GET ANSWER ka Sahih jawab hai : Option ( A ) ✅ Muharram Daleel : RasoolAllah (ﷺ) ne Muharram ko “Shahrullah” yaani Allah ka mahina kaha hai. 📕 Sahih Muslim-1123, 📕 Sunan Abu Dawud-2429
Islamic Quiz 249 Quran Majid ke mutabiq in me se kounsa mahina hurmat wala hai? Options Are 👇 A. Muharram B. Rabbi Ul Awwal C. Shaban D. Ramzan GET ANSWER ka Sahih jawab hai : Option ( A ) ✅ Muharram Daleel : Quran me Majid ki Surah Tauba 9:36 me 4 Mahinon ko Hurmat wala qaraar diya hai, inme se ek “Muharram” hai. Rasoolullah ﷺ ne farmaya: "Saal baarah mahine ka hota hai, us mein chaar hurmat ke mahine hote hain, teen to ek ke baad ek Zil Qada, Zil Hijja aur Muharram aate hain aur ek Rajab jo Jumadal Aakhir aur…
Islamic Quiz 252 Ramzan ke baad kis mahine ke Nafeel roze sabse afzal hai? Options Are 👇 A. Muharram B. Rabbi Ul Awwal C. Shaban D. Zil Qada GET ANSWER ka Sahih jawab hai : Option ( A ) ✅ Muharram RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya: “Muharram ke mahine me Nafeel Roze rakhna Ramzan ke mahine ke Rozon ke baad Afzal tareen Roze hain.” 📕 Sunan Abu Dawood 2429 Allah Rabbul izzat hume kehne sunne se jyada amal ki taufik de. Ameen.
Youm e Ashura ke Din Musa Alaihi Salam ki Qoum ko Aazadi Hadees of the Day Yaum-e-Aashura (10 Muharram) ki Fazeelat Allah ke Rasool (ﷺ) farmate hai: "Is Din Allah ne Hazrat Musa (Alaihissalam) ko Najaat di thi Aur Firaun aur Uski Qaum ko Gharq kiya tha." 📕 Sahih Bukhari: 3397 RELATED POST ABOUT ASHURA 10 Muharram / Ashura ke Roze ki FazilatMuharram bayan Mp3 Free Download by Ahle Sunnat UlemaMaah-e-Muharram ki Fazilat, Masnoon Amal aur BiddateinKya Muharram Gham ka Maheena hai?Jo Matam kare wo Musalmano me se nahi
Muharram bayan Mp3 Free Download by Ahle Sunnat Ulema Muharram ka bayan Audio by Ahle Sunnat Ulema ♫ Karbala ka Zimmehdaar kaun ♫ Ashura Ka Paighaam ~ Hafiz Javeed Usman Rabbani Related audio: Maah-e-Muharram ki Fazilat, Masnoon Amal aur BiddateinMuharram / Ashure Ka Roza aur Uski FazilatKarbala ka Waqia: Sunni Ulemao ki Roshni me (Battle of Karbala)Muharram Ki Haqeeqat by Adv. Faiz Syedताजियों का इस्लाम से नहीं कोई रिश्ता People also serch as: Tariq Masood bayan mp3 download, Mp3 bayan download, Maulana tariq jameel bayan mp3 free download all, Maulana tariq jameel latest bayan mp3 free download, Mufti tariq masood all bayan mp3 download, mufti tariq masood bayan 2019…
Download Ummat-e-Nabi Official Android App Assalamo Alaikum Wa Rehmtullhi Wa Barkatuhu ! kindly download our Ummate Nabi official Android app for huge islamic post collection in roman urdu, hindi & english. - ummat-e-nabi.com/home Team Features: › Islamic News › Islamic Quiz › Islamic Naat & Video Bayan › Daily Hadees & Quranic Verses Notification on Mobile. › Hadith Collection in Urdu & Hindi › Masail in the light of Qurano Sunnat Android App ♥ In'sha'Allah ! Upcoming Features: › Tafseer ibn Kaseer in Roman Urdu › Halal Job › Islamic Matrimonial
Sab Rozo me Afzal Ramzan ke Baad Muharram ke Roze ki Fazilat Hadees of the Day Muharram ke Roze ki Fazilat Abu Hurairah (R.A) se riwayat hai ki, RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya "Sab Rozo me Afzal Ramzan ke baad Muharram ke Roze hain, Jo Allah ka Mahina hai aur Baad Namaz-e-Farz ke Tahajjud ki Namaz hai." 📕 Sahih Muslim, Vol-3, 2755 Dekhe: Muharram / Ashure Ka Roza aur Uski Fazilat ۞ Ramzan ke baad sabse ziyada fazilat wale Roze Abu Hurairah (R.A) se riwayat hai ki, Ek Sahaabi RasoolAllah (ﷺ) ki khidmat me hazir hokar Arz karney laga ki:"Ramzan ke baad sabse ziyada fazilat kaun se rozo ki hai?" Tou Aap (ﷺ)…
Islamic Quiz 229 Allah Ta’ala ko Humaari Qurbaniyon ka kounsa hissa pahunchta hai? Options Are 👇 A. Khoon B. Gosht C. Taqwa D. Sahih Jawab ka Intezar GET ANSWER Download Reel ka Sahih jawab hai : Option ( C ) ✅ Taqwa Allah Ta’ala ko Humhari Qurbaniyon se Sirf Taqwa (Parhezgaari) Pohochta hai. Daleel : ۞ Allah rabbul izzat Qurane Kareem me farmata hai: “Allah Ta’ala ko Tumhari Qurbaniyon ka Gosht nahi pahunchta, Na un ke khoon balki usey to tumhaare dil ki parhezgaari (Taqwa) pahunchti hai.” 📕 Surah Al-Hajj; 22:37 Download Reel Coming Soon ...
Islamic Quiz 182 Wo Kaunsi Surah Hain Jiske Bagair Namaz Mukammal Nahi Hoti? A. Surah Ikhlas B. Surah Yasin C. Surah Fateha D. Surah Falaq GET ANSWER ka Sahih jawab hai : Option ( C ) ✅ Surah Fateha Daleel : Nabi-e-Kareem (ﷺ) ne farmaya: "Jis Shaqs ne Surah Fateha na padhi uski Namaz nahi hui." 📕 Sahih Bukhari 756
Islamic Quiz 172 Wo Kaunsi Do Namazein Hain Jo Munafiqo Par Zyada Bhaari Hain? A. Fajr aur Zohar B. Fajr aur Asr C. Fajr aur Maghrib D. Fajr aur Isha GET ANSWER ka Sahih jawab hai : Option ( D ) ✅ Fajr aur Isha Daleel : ۞ Hadees: Ubayy ibn Ka’b (R.A) se rivayat hai ki,RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya: “Ye do Namazein ( Fajar aur Isha ) munafiqon par bahut bhari hai, agar tum jaan lete ki in do Namazon ka kitna Sawab hai to tum ghutno ke bal chal kar bhi aatey.” 📕 Sunan Abu Dawud, Vol 1, #552-Hasan
Islamic Quiz 143 In me se Imaan aur Kufr ke Darmiyaan Farq karne waali Cheez kya hai ? A. Roza Chorrna B. Hajj Nahi Karna C. Sadqa Nahi Dena D. Namaz Ka Chorna GET ANSWER ka Sahih jawab hai : Option ( D ) ✅ Namaz Ka Chorna Daleel : Hadees: Allah ke Rasool (ﷺ) ne farmaya: "Iman aur Kufr ke Darmiyan farq karne waali cheez Namaz hai." 📕 Jami At-Tirmidhi: 2618
Islamic Quiz 206 Apne Walid ko Chod ke Kisi aur ko Walid Kehna kaisa hain? A. Bola Ja sakta hai B. Saghirah Gunah hai C. Sab se bada Bohtan hai D. Sahih Jawab Ka Intezaar GET ANSWER ka Sahih jawab hai : Option ( C ) ✅ Sab se bada Bohtan hai Daleel : Wasila bin asqa bayan karte hai ki,RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya: "Sab se bada Bohtan aur Jhut ye hai ki aadmi apne baap ke siwa kisi aur ko apna Baap kahe." 📕 Sahih Bukhari, Hadees 3509
Islamic Quiz 140 Qayamat ke Din Kaun Hain Jiski Zuban Aag ki Hogi? A. Sood Khor B. Rishwat Khor C. Dogla Insaan D. Walidain Ka Nafarman GET ANSWER ka Sahih jawab hai : Option ( C ) ✅ Dogla Insaan Daleel : Nabi e Kareem (ﷺ) ka farman hai: "Jo Shaqs Duniya mein Dogla hoga Roz-e-Qayamat Uski Zuban Aag ki Hogi." 📕 Mishkaat Ul Masabeeh 4846
Islamic Quiz 141 Aahadees ke mutabik "Jo Aurat Khushboo lagaye Wo koun hai?" A. Faasiq B. Munafiq C. Zaania D. Mushriq GET ANSWER ka Sahih jawab hai : Option ( C ) ✅ Zaniya Daleel : RasoolAllah (ﷺ) ne farmaye: ""Jo Aurat Khushbu lagaye aur phir logon ke saamne se guzre taaqi wo uski khusboo sunghe to woh aurat Zaniya hai." 📕 Sunan Nisai 5129-Hasan Aur bhi Dekhe: Aurat kis tarah ka Khushbu Laga sakti hai by Adv Faiz Sayed.