♥ Al-Quraan : Bismillah-Hirrahman-Nirrahim !!!
Allah Ta’ala Apne Bando Se Uske Rasool Ki Tazeem Me Nasihat Farmata Hai Ke –
“(Aye EmaanWalo!) Rasool’Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ko Bulaney Ko Aisa Khayal Na Karna Jaisa Ki Tum Aapas Me Ek Dusrey Ko Bulatey Ho. Beshaq Allah Ko Ye Malum Hai Jo Tum Me Se Aankh Bacha Kar Chal Detey Hai”..
Isi Ayat Me Allah Ta’ala Aagey Farmata Hai –
“Tou Jo Log Unke(RasoolAllah Ke) Hukm Ki Mukhalifat Karte Hai Unko Darna Chahiye Ki Unpar Koi Aafat Parh Jaye Ya Takleef Dene Wala Azab Nazil Ho”.
– [Surah(24) An-Noor: Aayat-63] – @[156344474474186:]
» Sabak: Afsos Ki Baat Hai Ke Aaj Humari Zindagi Ke Tamam Shobey Kitabo Sunnat Se Khaali Hai,
Aur Fir Hum Khud Ko Aashike Rasool Hone Ka Dawa Karte Hai, Khudko Jannat Ka Mustahik Samjhte Hai,
Unn Saari Biddato Ko Sunnat Samajhkar Karte Hai Jiski Na Shairiat Me Koi Asal Hai Aur Naa Hi RasoolAllah Ki Sunnat Se Saabit Ho, Aur Tou Aur Hum Unn Khurafato Ko Tou Badi Shouk Se Karte Hai Jisey RasoolAllah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Khuley Taur Se Shirk Aur Biddat Kaha…
Afsos Hai Humari La-ilmi Par, Afsos Hai Humari Jahalat Par …
Allah Ta’ala Hume Tamam Kism Ki Gumrahi Se Bachney Ki Taufiq Ata Farmaye..
Tamam Kism Ke Shirk Aur Biddato Se Humare Imaan Ki Salamti Ata Farmaye…
Jab Tak Hume Zinda Rakhey Islam Aur Imaan Par Zinda Rakhye…
Khatma Humara Imaan Par Ho …
!!! Wa Akhiru Dawana Anilhamdulillahe Rabbil A’lameen !!!
Firqa