Ramzan Rooh Ko Paak Karta Hai ♥ Qaul-e-Mubarak: Hazrate Allama Sufi (Rehmatullah Alayh) Farmate Hai - "Rajjab 'Beech Boney', Shabaan 'Kapashi Ka' Aur Ramzan 'Fasal Katnay Ka' Mahina Hai. Isliye Jo Rajjab Me Ibadat Ka Beej (Seeds) Nahi Dalta, Shabaan Me Aansuo Se Seraab Nahi Karta Tou Woh Ramzan Me Fasale-e-Rehmat Kaise Katega?. Rajjab Jism Ko, Shabaan Dil Ko Aur Ramzan Rooh Ko Paak Karta Hai". - (Nizla Tul Majalis J1 P155)
Download Ummat-e-Nabi Official Android App Assalamo Alaikum Wa Rehmtullhi Wa Barkatuhu ! kindly download our Ummate Nabi official Android app for huge islamic post collection in roman urdu, hindi & english. - ummat-e-nabi.com/home Team Features: › Islamic News › Islamic Quiz › Islamic Naat & Video Bayan › Daily Hadees & Quranic Verses Notification on Mobile. › Hadith Collection in Urdu & Hindi › Masail in the light of Qurano Sunnat Android App ♥ In'sha'Allah ! Upcoming Features: › Tafseer ibn Kaseer in Roman Urdu › Halal Job › Islamic Matrimonial
♫ Ramzan ki Fazilat - Ahmiyat aur Masaail ♫ Ramzan ki Fazilat - Ahmiyat aur Masaail Free Download Audio Bayan of Ramzan Ki Fazilat, Ahmiyat aur Masaail, Shabe Qadr ki Hakikat aur Fazail by Adv Faiz Sayed. ♪ Ramzan ki Fazilat – Part (I) ♪ Ramzan ki Fazilat - Part (II) ♪ Ramzan Ki Fazilat - Part (III) ♪ Shabe Qadr – (Ramzan Ki Fazilat) – Part (IV) ♪ Roze Chodney Se Bachey – (Ramzan Ki Fazilat) – Part (V)
Ramzan me Shaitaan aur Sarkash Jinon ko jakad diya jaata hai ♥ Mafhoom-e-Hadees: Nabi-e-Kareem (Salallahu Alaihi Wasallam) ne farmaaya: "Jab Ramzan ki pehli Raat aati hai toh Shaitaan aur Sarkash Jinon ko jakad diya jaata hai, Jahannum ke Darwaazey band kar diye jaate hai Unme se koi Darwaazah khula nahi rehta Aur Jannat ke Darwaazey khol diye jaate hai unme se koi Darwaazah band nahi rehta Aur ek Elaan karne waala (yaani farishta) munaadi (yane awaz) karta hai 'Aye neki ke talabgar aage badh aur aye buraayi ke talabgar ruk ja' *Aur Allah Ta'ala Jahannum se (baaz) logo ko Aazaad karta hai (Ramzaan me) har raat isi tarha hota hai." -…
Islamic Quiz 250 In me se kounse mahine ko “Shahrullah” yaani Allah ka mahina kaha jaha hai? Options Are 👇 A. Muharram B. Rajab C. Shaban D. Ramzan GET ANSWER ka Sahih jawab hai : Option ( A ) ✅ Muharram Daleel : RasoolAllah (ﷺ) ne Muharram ko “Shahrullah” yaani Allah ka mahina kaha hai. 📕 Sahih Muslim-1123, 📕 Sunan Abu Dawud-2429
Islamic Quiz 194 Kaunsa amal Ramzan me karna Nabi (ﷺ) ke sath Hajj karne ke barabar hai? A. Namaz parhna B. Roza rakhna C. Umrah karna D. Zakaat dena GET ANSWER ka Sahih jawab hai : Option ( C ) ✅ Umrah karna Daleel : ۞ Ibn Abbas (RaziAllahu Anhu) se riwayat hai ke: “Ramzan me Umrah karna RasoolAllah (ﷺ) ke sath Hajj karne ke barabar hai.” 📕 Sahih Bukhari 1863 https://www.youtube.com/shorts/PG1-OmkPpiQ
Islamic Quiz 270 Wo kaunsa kaam hai jisko karne se insan ki umar bhi lambi hoti hai aur rizq bhi badha diya jata hai? Options Are 👇 A. Yateem ki parwarish B. Tahajjud ki Namaz C. Ramzan ke Roze rakhna D. Rishtedaro se achcha suluk GET ANSWER ka Sahih jawab hai : Option ( D ) ✅ Rishtedaro se achcha suluk karna ۞ Bismillah-Hirrahman-Nirrahim ۞ Abu Hurairah R(.A) se riwayat hai ki, RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya: "Jo ye chahe ki uski Rozi badh jaye aur uski umar lambi ho jaye usko chahiye ki Sila Rahmi (Rishteydaron ke saath achcha Suluq) karey." 📕 Sahih…
Islamic Quiz 249 Quran Majid ke mutabiq in me se kounsa mahina hurmat wala hai? Options Are 👇 A. Muharram B. Rabbi Ul Awwal C. Shaban D. Ramzan GET ANSWER ka Sahih jawab hai : Option ( A ) ✅ Muharram Daleel : Quran me Majid ki Surah Tauba 9:36 me 4 Mahinon ko Hurmat wala qaraar diya hai, inme se ek “Muharram” hai. Rasoolullah ﷺ ne farmaya: "Saal baarah mahine ka hota hai, us mein chaar hurmat ke mahine hote hain, teen to ek ke baad ek Zil Qada, Zil Hijja aur Muharram aate hain aur ek Rajab jo Jumadal Aakhir aur…
3 Tarah ke Log Jin Par Farishte ne Lanat ki aur Nabi (ﷺ) ne… ✦ Mafhum-e-Hadees: Ramzan ki Ahmiyat aur Fazilat ✦ Ek Roz Aap (Salallaho Alahi Wasallam) jab Mimber pe chadhe tou pahle kadam pe Aameen kaha, fir dusre Qadam pe bhi Aameen kaha aur teesre Qadam pe bhi Aameen kaha. Jab Sahaba (RaziAllahu Anhuma) ne iski wajah puchi Tou fir Aap (Salallaho Alahi Wasallam) ne irshad farmaya ki: 1. Pahle kadam pe Jibreel (Alaihi Salam) ne kaha ki: "lanat ho us shaks par jisne Ramzan ka mahina pa kar bhi Allah ki bakshish na pa saka." Phir Aap (Salallaho Alahi Wasallam) ne Aameen kaha. 2. Fir dusre kadam pe Jibreel (Alaihi Salam)…
Ramzan ki Fazilat: Part 2 Ramzan ki Fazilat kya hai ? Waise tou Ramzan ki fazilatey beshumar hai lekin tamam fazilatey iss Mukhtasar se Unwan me ginwana humare liye mushkil hai, lihaja chand aham fazilato ka hi zikr karne wale hai. 1. Ramzan ke Mahine ko Allah ne Farz Ibadat ke liye Muntakhib kiya: Tou sabse pehli ahmiyat iss Mahine Ramzan ki ye hai ke Allah Rabbul Izzat ne iss Mahine ko apni farz ibadat yaani "Roze" ke liye intekhab kiya. bus yahi samjhne ke liye kaafi hai ke iski fazilat kya hai ? ۞ Hadees: Hazrate Abdullah bin Umar (RaziAllahu Anhu) se riwayat hai…
Gunaho ko Mitaane wala Amal ۞ Hadees: Hazrat Abu Hurairah (RaziAllahu Anhu) se riwayat hai ke RasoolAllah (Sallallahu Alaihi Wasallam) farmaya karte thay - "Jab Insan Kabeerah (Badey) Gunahon se bach raha ho tou Paanch Namazen, ek Jumah se (doosre) Jumah tak aur ek Ramzan se Doosre Ramzan tak, ke beech mein hone wale Gunahon ko mitane ke sabab hai." 📕 Sahih Muslim; Hadees no. 552 ♥ In’sha’Allah ul Azeez!!! Allah Ta’ala hume kehne sun’ne se jyada amal ki taufik dey,..
Islamic Quiz 229 Allah Ta’ala ko Humaari Qurbaniyon ka kounsa hissa pahunchta hai? Options Are 👇 A. Khoon B. Gosht C. Taqwa D. Sahih Jawab ka Intezar GET ANSWER Download Reel ka Sahih jawab hai : Option ( C ) ✅ Taqwa Allah Ta’ala ko Humhari Qurbaniyon se Sirf Taqwa (Parhezgaari) Pohochta hai. Daleel : ۞ Allah rabbul izzat Qurane Kareem me farmata hai: “Allah Ta’ala ko Tumhari Qurbaniyon ka Gosht nahi pahunchta, Na un ke khoon balki usey to tumhaare dil ki parhezgaari (Taqwa) pahunchti hai.” 📕 Surah Al-Hajj; 22:37 Download Reel Coming Soon ...
Islamic Quiz 182 Wo Kaunsi Surah Hain Jiske Bagair Namaz Mukammal Nahi Hoti? A. Surah Ikhlas B. Surah Yasin C. Surah Fateha D. Surah Falaq GET ANSWER ka Sahih jawab hai : Option ( C ) ✅ Surah Fateha Daleel : Nabi-e-Kareem (ﷺ) ne farmaya: "Jis Shaqs ne Surah Fateha na padhi uski Namaz nahi hui." 📕 Sahih Bukhari 756
Islamic Quiz 172 Wo Kaunsi Do Namazein Hain Jo Munafiqo Par Zyada Bhaari Hain? A. Fajr aur Zohar B. Fajr aur Asr C. Fajr aur Maghrib D. Fajr aur Isha GET ANSWER ka Sahih jawab hai : Option ( D ) ✅ Fajr aur Isha Daleel : ۞ Hadees: Ubayy ibn Ka’b (R.A) se rivayat hai ki,RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya: “Ye do Namazein ( Fajar aur Isha ) munafiqon par bahut bhari hai, agar tum jaan lete ki in do Namazon ka kitna Sawab hai to tum ghutno ke bal chal kar bhi aatey.” 📕 Sunan Abu Dawud, Vol 1, #552-Hasan
Taraweeh Ki Ibadat Ko Ladayi Ka Mouju Na Banaiye ,... Ramzan Ke Mahine Me Taraweeh Ki Shakl Me Hum Tilawat-e-Quraan Sun Saktey Hai Ye Bhi Ek Acha Tareeka Hai ,.. .... Lekin Meharbaani Kar Ke Inn Taraweeh Ki Namazo Ko Humara Aur Tumhara ,.. Apna Aur Paraya , Wo Jamat Ka Aur Ye Jamat Ka Farq Karnewali Cheez Mat Banaiye ,. *Aakhir Kitna Bhi Kahey Tou Ye Ibadat "Nafeel Ya Sunnat Hai ,..." Farz Tou Nahi Hai Na,.. * Faraiz Ki Pabandi Ho Rahi Hai Mua’mla Bus Thik Hai,.. Acha Hai !! ... Ab Koi Shakhs 20 Rakat Padhta Hai , 8 Rakat Padhta Hai, 28 Rakat Padhta Hai ,…