Hamesha Apni Zuban se Khair ki baat kare

Hadees of the Day

Hamesha Apni Zuban se Khair ki baat kare

Abu Hurirah (R.A) se riwayat hai ki,
Nabi-e-Kareem (ﷺ) ne farmaya:

“Beshak Ek banda Allah ki Razamandi ke liye ek baat Zuban se nikalta hai usey woh koi Ahmiyat bhi nahi deta lekin iski wajah se Allah iskey darjaat buland kar deta hai.

is tarah ek dusra Banda ek Aisa kalma (baat) Zuban se nikalta hai jo Allah ki Narazgi ka sabab hota hai usey woh koi Ahmiyat nahi deta lekin uski wajah se woh Jahannam me chala jata hai.”

📕 Sahih Bukhari; Hadees 6478


WAJAHAT:

Is hadees ke mutabik hame apni zuban sirf se aise kalme ya bate nikalni hai jo allah ke yaha uski razaa mandi ka sabab ho aur har us baat ya kalam se bachne ki kosis karna chahiye jisse allah naraj ho jaye aur hamare jahannam me jane ka sabab ban jaye wo baat.

*Lihaza hamesha har wakt apni zuban se tol mol ke bolne me hi hamare liye khair hai. Aur bahut soch samajh kar hume hamesha Zuban se kalimaat ya bate nikalni chahiye*
Kyuki Allah ki Razamandi aur Narajgi ka Sabab Zuban se Nikalaa hua chota sa Kalima Bande ko Jannat aur Jahannam me le jane ke liye kaafi hai.

♥ In sha Allah Ul Azeez!

Allah Rabbul izzat hume kehne sun’ne se jyada amal ki taufik dey,
Hume deen ka sahi ilm hasil karne aiur uspey amal ki taufeeq dey,

Jab tak hume Zinda rakhey Islam aur imaan par zinda rakhey.
Khatma humara imaan par ho.

!!! Wa Akhiru Dawana Anilhamdulillahe Rabbil A’lameen !!!

Leave a Reply