Jung-e-Badr Ka Wakiya Hum Sab Hi Jantey Hai, Jung-e-Badr Me Allah Ke Rasool (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Haare Hue Kaidiyon Se Kaha Ke – “Jo Log Fidiya De Dengey, Unhey Chorra Jayega.. Aur Jo Fidiya Nahi De Saktey Wo Madina Ke 10-10 Baccho Ko Padhna-Likhana Sikha Kar Apni Riihayi Kara Ley”
# Humara Yeh Sawaal Hai Ke: “Unn Kafiro aur Mushriko Ne Madina Ke Baccho Ko Kya Sikhaya Hoga? Ilme Hadees? Ilme Quraan?.. Kya Sikhaya Hoga ? ,…
– Zaahir Si Baat Hai Unhone Ilme Hinsa (Mathematics) Sikhaya Hoga ,.. Isi Tarha Likhna Sikhaya Hoga ,.. Qirat(Padhna) Sikhaya Hoga ,.. Yahi Tou Sab Sikhaya Hoga Jisko Dunyawi Ilm Kehkar Hum Chortey Hai ,..
*Tou Goya Shariyat Duniyawi Ilm Ke Liye Bhi Ubharati Hai.. Padhna Likhna Sikhaney Ka Hukm Deti Hai ,..
✦ Ilm Ka Fayda: Marney Ke Baad Bhi Iska Sawaab:
Isi Tarha Naaf-e-Ilm Badi Faydemand Cheez Hoti hai Humesha, Aur Ilm Ka Fayda Yeh Hota Hai Ke Marney Ke Baad Bhi Iska Sawaab Milta Hai.. Rasool’Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ke Paas Ek Shakhs Aaya Aur Arz Kiya:
– Ke Insan Jab Marr Jata Hai Tou Kya Usko Milta Hai ? …
Tou Aap (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Farmaya Ke:
“Siwaye 3 Cheezo Ke Usko Kuch Bhi Nahi Milta..”
1. Jismey Pahla Farmaya: Sadqa-Tun-Jaariya, (Yaani Aisa koi Kaam Karke Jaaye Jis’se Insaniyat ko Nafa Ho)
2. Dusra Farmaya: Ilme Yanfahu (Yaani Aisa Koi Ilm Chorrkar Jaye Jis’se Insaniyat Ko Fayda Ho ..)
3. Nek Aulaad Jo Waliden Ke Liye Dua-e-Khair Karey..
– (Muslim, Abu Dawood)
– Tou Pata Chala Ke Agar Insan Koi Ilm Chorrkar Jata Hai Tou Duniya Me Chodey Ilm Se Agar Insaniyat Fayda Uthati Hai Tou Uss Ilm Ka Fayda Uss Marne Wale Ko Milta Hai ,..
*Subhan’Allah Kitni NAYAAB Cheez Hai ,.. Aur Ilm Me Koi Farq Nahi Hai ,..
– Aap Quraan Sikhaiye, Aahadees Sikhaiye, Ilme Hinsa(Mathematics) Sikhaiye, Urdu Sikhaiye Ya English, Hindi, Marathi Sikhaiye Kuch Bhi ,.. Ilm Agar Faydemand Hai Tou Khair Hi Khair Hai ,..
*Usi Tarha Logon Ki Sahuliyat Ka Ilm! Jaise Sadak Banane Ka Ilm, Bridge Banane Ka Ilm, Taamirat Ka Ilm, Acche Makaanat Ka Ilm, Sasti Cheeze Banane Ka Ilm ,.. Kuch Bhi Chorrkar Jayiye Jab Tak Insaniyat Ko Fayda Hoga Tab Tak Uss Banaaney Wale Ko Ajr Aur Sawaab Milega ,..
♥ Subhan’Allah.. Tou Maloom Hua Ke Ilm Ek Jabardast Esaal-e-Sawaab Bhi Hai Humaare Liye ..
✦ Ilm ki Fazilat Ke Taalkuk Se Ek Aur Riwayat Aati Hai Ke
♥ Mafhoom-e-Hadees: RasoolAllah (ﷺ) Farmatey Hai Ke –
Ibadat Karne Wale(Aabid) Par Aalim Ki Badhayi Aisi Hai Jaise Ki Meri Badhayi Tumhare Maamuli Aadmi Par ,..
Phir Rasool’Allah (ﷺ) ne farmaya ki –
“Logo Ko Bhalayi Sikhane Waley par Allah Taala Rehmat Naazil Farmata hai aur Uskey Farishte Aur Zameen Aur Aasmaan Me Rehne Wale Yaha Tak ki Chitiya(Ant) Apni Bilo Me Aur Machliya (Fish) Paani Me Uskey Liye Bhalayi Ki Dua Karti Hai.”
– (Tirmizi Sharif )
*Subhan’Allah!!! Andaza Lagaiye.. Iss Aahadees-e-Mubarak me Rasool’Allah Ne Aalim Ki Fazilat Ke Taaluk Se Kitni Naayab Baat Keh Di ,.. Ilm Walo Ki Taarif Ki Gayi Hai, Badhawa Diya Gaya Is Aahadees Me Bhi ..
To Be Continue …