Allah Rabbul Izzat ne Quraan mein baar baar musalmano ko ubhara hai duniyawi ilm hasil karne ke liye, sharayi ilm toh yakinan hasil karna hai, yeh toh bunyadi hai iski… lekin uske saath-saath duniyawi ilm bhi hasil karna hai, jo bohot se logon ne isko tark kar diya.
Momin ki sifat ke woh zikr karte hain Allah ka.
Allah Rabbul Izzat iske talluk se Quraan mein ek jagah farmata hai:
“Yakinan zameen-o-aasman ki paidaish mein, aur raat aur din ke aane aur jaane mein aqalmand logon ke liye nishaniya hai, ke yeh aqalmand log Allah ka zikr karte hain khade se, baithe se aur apni karwaton par. Aur ye log fiqr karte hain zameen-o-aasman ki paidaish mein. Aur jab fiqr karte hain aasmaan aur zameen ki paidaish mein tou kahte hain ke – ‘Aye Allah! Tuney beja nahi paida kiya inn tamaam cheezo ko! Teri zaat paak hai. Mujhe aag ke azaab se bacha.'” (Al Quran; Aale Imran: 3:189-190)
Tou yaha Allah Ta’ala ne momino ki sifat batayi hai ke Allah ka zikr aur kaaynat ke andar fiqr karte hain momin. Ab afsos ki baat hai ke jaha zikr hona tha waha fiqr shuru kar diya humne aur jaha fiqr hona tha waha zikr karte reh gaye.
Zikr karna hai deen ka!
Ismein fiqr nahi karna… Haa! Gaur karna alag baat hai… Aisa kyu aur waisa kyu? Aur falah falah… Bas yeh kehna ke – “Aye Allah mujhe samajh nahi aa raha, tu mujhe deen ko samjhne ki taufiq de.” Lekin ismein fiqr nahi karna hai. Kyunki shariyat toh bani-banayi de di gayi sabse behtareen. Aur ab ismein koi naye aqaid ijad nahi karna.
Fiqr toh karna hai zameen-o-aasman mein, kaaynat mein. Tou goya agar musalmaan duniya ke andar ijadad karte hain, discoveries karte hain, inventions karte hain, inkashafat karte hain tou iski ijazat hai.
Lekin musalmaano ne duniya mein tou ijadad chhod diye… Deen ke andar ijadad kiye naye-naye aqaid… Subhan’Allah.
Duniya mein sirf zikr hi kar rahe hain hum –
“Ke dekho! Kitne acche-acche mobile bana rahi hai wo companies”, shaur nahi aa raha ke hum kyu nahi bana sakte aisi cheeze? Humare mumalik kyu nahi bana sakte?
Itni acchi-acchi goliya aur kitne acche-acche equipments ijad karein jisse insaniyat ko nafa pohchey, yeh sab hum kyu nahi bana sakte tamaam cheeze?
Aur jaha zikr tha waha fiqr shuru kar di –
“Mai sochta hu yeh hadees aise nahi hoti tou kitna acha hota? Mai sochta hu Quraan ko padhne se accha galey mein latkaya jaye tou jyada sawaab!! Subhan’Allah…”
Tou kya shariyat humari manmani tareeke se chalne waali hai?… Nahi!! Bilkul nahi!
Lihaza Allah ke liye hume inn baaton par gaur karna chahiye ke humara Rab humse kya chahta hai? Aur yeh baat siwaye ilm ke hume maloom hona namumkin hai. Aur ismein dono ilm shaamil hai.
Tou Allah Rabbul Izzat ne momino ki sifat mein bayan kar diya ke yeh zikr karte hain Allah ka aur fiqr karte hain duniyawi uloom ka…
To Be Continue …