Jaha Quraan me 6600 se Jyada Aayate hai Usmey se Kamobesh 1000 se jyada Aayate Uss Uloom (Subject) Ppar hai Jisko Hum Duniyawi Ilm bol kar Chorr detey hai.
*Jaise Zameeno-Aasmaan ki Paidaish, Humare Khud ki Paidaish, Chareend aur Parind Ke Taalluk se , Aasmaan se Paani Barasney Ke Talluk se , Allah Ta’ala ne Kaaynat ko kaise banaya?, Kis tarha se Kaynaat ka Nizam chalaya?.
Tamam tar Wo Tafseelat deti hai Jisko Humne Duniyawi Uloom Keh kar chorr diya, Jabki yeh bhi Deen ka hissa hai, aur Jo Shakhs Isko bhi Deeni Aitbaar se Khaalis Niyat se haasil karta hai Allah ke Nazdeeq yeh amal bhi uska Ibadat hai yaad rakhiye.
# Misaal Ke Taur Pe
Ek Aayat Pesh Karne Ki Koshish Karte hai, Allah Rabbul Izzat Ne Quraan Me Farmaya :
Beshaq! Zameen-O-Aasman Ki Paidaish me, aur Raat aur Din ke Aaney Jaaney me, aur Badey Badey Jahaaz Jo Paani par Chaltey hai aur Jo Insaniyat Ko Nafabakhsh Cheeze Detey Hai, Aur Aasman Se Baarish Barasney me, aur phir Murda Zameen Ke Zinda Hone Me, Uske Baad Tamam Kism Ke Jaanwar Usmey Allah Faila deta Hai, aur Inn Hawaao Ke Chalney Me, Jo Unchey-Unchey Pahaad, Unchey-Unchey Baadal Jo Aasmaano Ke Maanind Hotey Hai Aasmaan Aur Zameen Ke Bich Me Latke Hotey Hai Unko Lekar Chalti Hai Ye Hawa!
Aqlmand Qoum Ke Liye Inn Tamaam ke Andar Nishaniya Hai.
(Al Quran; Surah Baqra, 2:163-164)
*Subhan’Allah! Gour Karne Waali Baat Hai Ke Allah Rabbul Izzat Ne Iss Ayat Me Taarif Ki Hai Unn Logon Ki Jo Apne Aqal Ka Istemaal Karte Hai Apne Haqeeki Rab Ki Marfat Haasil Karne Ke Liye …
# Ab Mujhe Batayie Ke Kitne Uloom Ismey Hai Jisey Humne Duniyawi Kehkar Chorr Diya!
* Aasman Se Baarish Barasney Ka Ilm,
* Zameen-O-Aasman Ka Ilm! Jisko Hum Astronomy Kehte Hai,
* Ismey Geology, Botany, Physics, Biology, Isme Kya Kya Uloom Hai Jo Ek Ke Baad Ek Aa Rahe Hai …
• Ke kaise Hawaye Chalti hai ?
• Kaise Baadal Sarkatey hai?
• Kaise Paani Barasata hai?
• Yeh Jahaaz Dubtey Kyu nahi Paani me Itney Badey hone ke Bawajud ?
Isi Tarha Yeh Zameen Jo Murda Hoti Hai, Sukhi Hoti Hai ,.. Ek Baarish Barastey Hi Kaise Ismey Ped-Poudhey Ugtey Hai, Chidya Aa Jaati Hai, Kidey Makode Paida Ho Jatey Hai, Paani Aagaya Tou Machliya Ho Gayi, Aur Ek Puri Banjar Zameen 2-4 Baarish Me Behtareen Ek Ecological System Ki Tarha Ban Jata hai.
Ismey Jaanwar Hai, Chareend Hai, Pareend Hai, Aur Tamaam Cheeze Shuru Ho Jati Hai …
Ismey Farmaya Ke – “Unn Logon ke liye Nishaniya hai Jo Aqal Rakhti hai.”
Bewakufo Ke Liye Tou Kuch Bhi Nahi Ismey.
# Lihaja Yaha Ubhara Jaa Raha hai ke Haasil Karo Yeh Ilm Ta’aki Isko Dekh Kar Tum Apne Rabb Ki Marifat Haasil Karo, Uska Shukr Bajaa Lao Ke Humara Rab Hum Gunehgaaro Ke Liye Kaisi-Kaisi Sahulatey Paida Karta Hai ,…
To Be Continue …