Ilm Ki Ahmiyat aur Fazilat ke Taalluk se Youn Tou Alllah Rabbul Izzat ne Quraan Me Kayi Ayate Nazil Ki Hi, Insha’Allah Kuch Ka Tazkira Hum Iss Post Me Karne Ki Koshish Karenge:
✦ 1. Ilm Me Barkat Ke Liye Behtareen Dua:
“ Wa Qul Rabbi Zidni Ilmaah”
(Aye Nabi Dua Kijiye Apney Rabb Se Ke) Aye Allah Mere Ilm Me Ijafa Kar. (Al Quran, Surah Tahaa 20:114)
Ye Hukmi Aayat Hai aur Andaja Lagayiye Ke Nabi-e-Kareem (ﷺ) Ko Hukm Aa Raha Hai Ke Aap Apne Rab Se Ilm Ki Barkat Ke Khatir Dua Kijiye.. Jab Uss Zaat Ko Hukm Aa Raha Hai Jisey Allah Apney Gaib Ka Ilm Ata Karta Hai Tou Badarje Uloola Humare Se Yeh Aayat Jyada Khitaab Kar Rahi Hai Ke Tum Tou Jyada Hasil Karo,.
* Tou Goya Allah Ki Zaat Sirchashma Hai Ilm Ka, Allah Ki Zaat Source of Knowledge Hai…
Lihaja Allah Rabbul Izzat Ne Apne Bando Ko Dua Sikhlayi Ke Maango Apney Rab Se Ke Wo Tumhare Ilm Me Ijafa Kar Dey,..
✦ 2. Kya Ahle Ilm Aur Jaahil Baraabar Ho Saktey Hai ?
– Is Talluk Se Allah Rabbul Izzat Quraan Me Ek Jagah Farmata Hai:
“Hal Yastawil Lazeena Ya lamoona Wallazeena Laa Ya lamoon “
(Aye Nabi (Sallallahu Alaihay Wasallam) ! Wo Log Jo Ilm Rakhtey Hai Aur Jo Log Ilm Nahi Rakhtey Kya Dono Barabar Ho Saktey Hai ?) (Al Quran: Surah Zumar 39:9)
* Iss Ayat Me Allah Rabbul Izzat Ilm Walo Ki Fazilat Bayan Kar Raha Hai Ke – Kya Ahle Ilm Aur Jaahil Dono Barabar Ho Saktey? Nahi ! , Lihaja Ilmwalo Ke Darjaat Hai Allah Ke Paas, Tou Ilm Haasil Karne Se Insan Ko Fazilat Hasil Hoti Hai, Uske Darjaat Buland Hotey Hai.
* Aur Kyu Naa Ho ? Dunia Me Hum Ek Dusre Ki Izzat Kyu Kartey Hai? Chaahe Deeni Halko Me Ho Ya Duniyawi.
Duniyawi Halko Me : Teacher Hai,.. Principle Hai,.. Doctor Hai, Vakeel Hai.
Aur Deeni Halko Me : Ustaad Hai, Mufti Hai, Aalim Hai, Hafiz Hai, Qaari Hai.
Yakinan Yeh Ilm Hi Tou Hai Jiski Buniyaad Par Insan Ko Izzat Aur Rutba Milta Hai Duniya Me ,..
Tou Maalum Hua Ke Ilm Koi Bhi Ho Wo Izzat Aur Martba Lata Hai.
Aur Agar Duniyawi Ilm Sharayi (Deeni) Ilm Ke Saath Mil Jaye Tou Sone Par Suhaga Ho Jata Ha.
✦ 3. Ilm Insan Ke Darjaat Ko Buland Karta Hai
Allah Rabbul Izzat Quraan Me Ek Jagah Farmata Hai:
“ Yarfa Allāhu Al-Ladhīna Amanu Minkum Wa Al-Ladhīna Utu Al-Ilma Darajatin “
(Allah Yakinan Unn Logon Ko Jo Tum’me Se Imaan Laye aur Jinhone Ilm Haasil Kiya Unke Darjaat Buland Karke Rahega) (Al Quran, Surah Mujadila: 58:11)
* Tou Iss Ayat Me Bhi Pata Chala Ke Jo Log Imaan Laye Aur Fir Ilm Haasil Kiya Yeh Dono Cheeze Vajah Banti Hai Insan Ke Darjaat Buland Hone Ki ,..
* Aur Wo Sahaba Jo Imaan Laye, Jo Rasool’Allah Ke Saath Rehkar Ilm-e-Deen Sikha Aaj Unka Muqaam, Unka Ahtraam, Unki Izzat Digar Sahaba Ke Muqable Me Mumtaaz Hai, Unchi Hai, Aur Wo Jyada Naam Liye Jaatey Hai ,…
Tou Iss Aayat Se Bhi Pata Chala Ke Yeh Ilm Hi Hai Jo Insan Ke Darjaat Ko Buland Karta Hai ,…
✦ 4. Ilm Haasil Karna Kis Par Farz Hai ?
♥ Mafhoom-e-Hadees Hai Ke Rasool’Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Farmaya:
“ Talib Ul Ilm Farizatn Ala Kulli Muslimin ”
(Ilm Ka Haasil Karna Tamaam Musalman Mard Aur Aurat Par Farz Hai) (Mishkat Page:24)
Gaur Karne Waali Baat Hai Ke Yaha Lafz Dekhiye Talab Hai Jiska Mana Hota Hai Kisi Cheez Ko Haasil Karne Ki Koshish Karna Goya Aap Usey Haasil Na Kar Paye, Fir Chahe Wo Aapko Zindagi ke 90th Saal Ko Bhi Mill Jaye Aap Uss (Ilm Ki Justaju) Me Jarur Lage Rahenge.
– Yaani Ilm Haasil Karne Ki Koi Limit Nahi Hai. Phir Chahe Aap Jab BHi Apni Jimmedariyon Se Farig Ho Jao,, Ilm Ke Liye Apne Jehan Humesha Khule Rakhe …
♥ In’sha’Allah-Ul-Azeez !!!
Allah Ta’ala Hume Kehne Sun’ne Se Jyada Amal Ki Taufiq Dey ,..
To Be Continue …