Hadees: Anas Bin Malik (R.A) se riwayat hai ki, RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya –
“Jis Daawat dene waale ne bhi Gumrahi ki Daawat diaur Uski Pairwi ki gayeetou Usko Pairwi karne Waalo ke Barabar Gunaah milegaaur Pairwi karne waalo ke Gunaah me koi kami nahi hogi.
Aur Jis Daawat dene Waalo ne Hidayat ki taraf Bulayaphir uski Pairwi ki gayi touUsko Pairwi karne Waalo ke Barabar Ajar (Sawab) milegaaur Pairwi karne Waalo ke Ajar me kuch Kami Nahi ki jayegi.”
Momeen Ko Munafiq Ke Zulm Se Bachane Ka Silaah Momeen Ko Munafiq Ke Zulm Se Bachane Ka Silaah Hadees: Abu Hurairah (R.A) se riwayat hai ki, RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya - "Jisne kisi Momeen ko Munafiq ke Sharr (Zulm) se bachaya tou Allah Subhanahu Ta'ala Qayamat ke din ek Farishta bhejega jo uskey Gosht ko jahanamma ki aag se bachayega aur jisney kisi Musalman par tohmat lagayee jis sey uska maqsad uss Musalman ki burayee ho tou Allah Ta'ala usey jahannum ke pool par rok dega yahan tak ki…
Sona (Gold) aur Resham Mardo par Haraam Sona (Gold) Aur Resham Mardo Par Haraam Hadees: Abu Musa (R.A) se riwayat hai ke,Allah ke Rasool (ﷺ) farmate hai - "Sona (Gold) aur Resham Meri Ummat ki Aurato par Halaalaur Mardon Par Haraam hai." 📕 Sunan an-Nasa'i #5148; Hadees 109
Takkabur kya hai aur takabbur karna kisko zeba deta hai ? Takkabur kise kehte hai ? Jawaab: khud ko Afzal aur dusron ko Haqeer samjhne ka naam Takabbur hai. ✦ Nabi-e-Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) farmatey hai ki "Takabbur haq ki Mukhalifat aur logon ko Haqeer jaan ne ka naam hai." [Sahih Muslim: Hadith 91] Allah Rabbul Izzat Takabbur ke talluk se Qurane Majid me farmata hai: 1). ❝ Aur yaad karo jab hum (Allah) ne farishton ko hukm diyaa ki Aadam ko sajda karo tou sab ne sajda kiya siwaaye iblis…
Al-Quran: Jo Shakhs Ziyaadati aur Zulm ke taur par… Quran: 24 - July: ۞ Bismillah-Hirrahman-Nirrahim ۞ ❝Jo shakhs Ziyaadati aur Zulm ke taur par aisa (Naahaq Maal khaayega aur Qatl wa Khoon) karega. tou Hum(Allah) usko aag (Jahannum) mein daakhil karenge aur yeh baat Allah ke liye bilkul aasaan hai.❞ 📕 Surah An-Nisa’ 4:30
Seerate Hazrat Abu Bakr Siddiq (R.A) ki Zindagi aur Martaba https://www.youtube.com/watch?v=lfLJw5wXrXY Hazrat Abu Bakr Siddique (R.A) ki Zindagi ✦ Laqab (Honorific Title): Siddeeqe Akbar, Gaare Yaare Nabi, Afzalun Naas Ba’adal Ambiya, Saani Isnain, Khalifatul-Rasool, Ateeq. ✦ Wiladat (Birth) : Aapki Wiladat 573 C.A. me Makka me hui. Waalid ka naam Usman Abu Quhafa ibn Amir aur Waalida ka naam Salma bint Sakhar (Ummul Khair) hai. Aap Quraish ke Banu Taym Kabeele se ta’aaluq rakhte hain. Aap ka Asal naam Abdullah hai. ✦ Deen ki Daawat: Aapki Daawat aur mashware se…
♫ Saher aur Iftar Ka Tariqa aur Kuch Galat Fahmiya Saher Aur Iftar ka Tariqa aur Kuch Ghalat Fahmiya Saher aur Iftar Kaise kare, uska mukammil Tariqa aur uske talluk se Kuch Galat Fahmiyo ka ijala janne ke liye is mukhtsar si audio clip ka jarur mutala kare. Aur bhi Dekhe: ♫ Roza na rakhne ki kisko Chhut hai? ♫ Roza koun log nahi rakh sakte aur Bewajah Roza Chorne ka Azab ♫ “Roza Lag raha” Bolna kaisa hai? ♫ Kin Cheezon ke karne se Roza toot jata hai? ♫…
Baaz log Allah ke barey me bagair ilmo hidayat ke… ♥ Bismillah-Hirrahman-Nirrahim ♥ "Baaz log Allah ke barey me bagair ilm ke aur bagair hidayat ke aur bagair Roshan Kitab ke Jhagartey hain. Jo apni pehloo Modney wala bann ker iss liye ke Allah ki raah se behka dey usse duniya mein bhi ruswaee hogi aur Qayamat ke din bhi hum usey jahannum mein jalney ka Azab chakhayenge" - (Quran 22:8-9) ♥ बिस्मिल्लाह अर्रहमान निर्रहीम ♥ "और लोगों मे कोई ऐसा है जो किसी ज्ञान, मार्गदर्शन और प्रकाशमान किताब के…
Allah ke Nazdeek Sabse Pyari aur Boori Jagah: Hadees Hadees: Allah Ke Rasool (ﷺ) farmate hai: "Allah ke Nazdeek Saari Aabadiyo me Sabse Pyari Jagah Uski Masjide hai aur Sabse Boori Jagah Bazar hai." 📕 Sahih Muslim; Hadees: 671 Beshaq Allah ko aisi Masjide Pasand hai Jaha Khalis Allah ki Ibadat ho, aur Jaha Kitabo Sunnat par Dars ho. Warna Surah Taubah me Allah Ta'ala ne Apne Nabi ko Ek aisi Masjid bhi Todney ka Hukm diya Jo Munafiqo ne Mehaz is liye Tamir Ki thi ke Ummat Me…
Mehman ki Izzat aur Padosi ka khayal rakhe Hadees Padosi ka khayal rakhe: Hadees: Abu Hurairah (R.A) se riwayat hai ki RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya - "Aur Jo koi Allah aur Aakhirat ke Din par Imaan rakhta hai Wo Apne Padosi (Neighbour) ko takleef Na pahunchaye. Aur Jo koi Allah aur Aakhirat ke Din par Yakeen Rakhta ho Wo Apney Mehmaan ki Izzat karey. Jo Koi Allah Aur Aakhirat ke Din par Imaan rakhta hai Usey chahiye Ki Acchi Baat kahey warna Khamosh rahey." 📕 Bukhari; Hadees 6018 Maloom…
Emanwale ki Pareshani Door Karne ka Silaah Emanwale ki Pareshani Door karne ka Silaah Hadees: Abu Hurayrah (R.A.) riwayat karte hai ki,Nabi-e-Kareem (ﷺ) ne farmaya ki - "Jo Koi Shakhs kisi Imanwale ki Pareshani ko Door karta hai, Allah Qayamat ke Roz Uss Shakhs ki Ghabrahat ko Door farmayega. Aur Jo koi bhi Shakhs kisi Dusre ki Musibat hal karta hai, Allah Uss Shakhs ke liye Duniya aur Aakhirat ki Mushkeele'n Aasaan bana deta hai. Aur Allah Apne Bande ki Madad karta Rahta hai Jab tak Wo…
Makkhi ke Parr me Bimaari aur Shifa: Islam aur Science ∗ Sawaal: Piney aur Khane ki Cheez me Makhhi Gir Jaye Tou Kya Karna Chahiye ? » Jawaab: Abu Dawood Ne Hazrate Abu Huraira (RaziAllahu Anhu) Se Riwayat Ki Hai Ki,Rasool'Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) ne farmaya:"Jab Khaane Me Makhkhi Gir Jaye Tou Uss Ko Gota (Dubana) Do- Kyun Ki Uss Ke Ek Parr(wings) Me Bimaari Hai Aur Doosre Me Shifa Hai.- Aur Usi Parr Se Apne Ko Bachati Hai Jis Me Bimaari Hai (Wahi Par Khane Me Pehle Dalti Hai…
Aur yaqeenan jo koi Sabr se kaam le, aur darguzar… jo koi Sabr se kaam le, aur darguzar kar jaaye "Aur yaqeenan jo koi Sabr se kaam le, aur darguzar kar jaaye, tou yeh badi Himmat ki baat hai." 📕 Surah Shora 42:43
Allah ke Paas Kitni Rehmat aur Kitna Azaab Hai ? Allah ke Paas Kitni Rehmat aur Kitna Azaab Hai ? Hadees: Abu Hurraia (R.A) ka bayan hain ke,Maine RasoolAllah (ﷺ) Ko Farmatey Huwe Suna - "Jis Roz Allah ne Rehmat ko Paida kiya tou Uskey 100 Hissay kiyeaur 99 hissay Apne Paas rakh kar Ek (1) hissa Apni Saari Makhlooq ke liye Bhej Diya. Pas Agar Kafir bhi Yeh Jaan le ke Allah ke Paas kitni Rehmat hai touWoh bhi Jannat se Mayoos na ho aur agar Momin yeh Jaan…
Beshaq Namaz Behayai aur Burey Kamo se Rokti hai Beshaq Namaz Behayai aur Burey Kamo se Rokti Allah Ta'ala farmata hai: "Aye Rasool ! Jo Kitaab Tumhare Paas Nazil ki Gayi hai Uski Tilawat karo aur Pabandi se Namaz Parho, Beshaq Namaz Behayai aur Burey Kaamo se Baaz(Rokti) Rakhti hai aur Allah ki yaad yakinan bada Martaba rakhti hai aur Tum Log jo kuch karte ho Allah Uss se wakif hai." 📕 Al-Ankabut 29:45
Allah ki Hidayat ko Chupane Wale par Lanat Allah ki Hidayat ko Chupane Wale par Lanat Hadees: Usman (R.A) ne Wuzu kiya tou Ek Shakhs se farmaya, "Main Tumko Ek Hadees Sunata hu agar Quraan Paak ki Ek Aayat (Nazil) na hoti tou Main ye Hadees Tumko na sunata ke, RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya - "Jab bhi koi Achchi tarah Wuzu karta hai aur Namaz parhta hai tou Uskey Ek Namaz se Dusri Namaz ke parhney tak ke Gunnah muaf kar diye Jaatey hain." 📕 Sahih Bukhari, Hadees:…