Hidayat aur Gumraahi ki Dawat ka Silaah
Hadees: Anas Bin Malik (R.A) se riwayat hai ki,
RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya –
“Jis Daawat dene waale ne bhi Gumrahi ki Daawat di aur Uski Pairwi ki gayee tou Usko Pairwi karne Waalo ke Barabar Gunaah milega aur Pairwi karne waalo ke Gunaah me koi kami nahi hogi.
Aur Jis Daawat dene Waalo ne Hidayat ki taraf Bulaya phir uski Pairwi ki gayi tou Usko Pairwi karne Waalo ke Barabar Ajar (Sawab) milega aur Pairwi karne Waalo ke Ajar me kuch Kami Nahi ki jayegi.”