Hadees: Allah jab kisi Qaum par Azab nazil karta hai… Unn Fitno se bacho jo khaas Zalimon par hi nahi ۞ Bismillah-Hirrahman-Nirrahim ۞ "Tum un fitno se bachte raho jo tum mein se khaas Zalimon par hi nahi padhega aur jaan lo ki beshaq ALLAH subhanhu sakht azab karne wala hai." 📕 Surah Al-Anfal 8:25 Allah jab kisi Qaum par Azab nazil karta hai to wo acche aur bure sab logon par aata hai Hadees: Abdullah bin Umar (R.A) se riwayat hai ki, RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya - "ALLAH jab kisi…
Apne Musalman Bhai se 3 Din se Zyada Naraz naa rahey 3 din se Zyada Narazgi Hadees in Roman Urdu | Hadees: "Kisi Musalman ke liye ye Jayez Nahi ki Apne Bhai se 3 Din se Zyada Narazgi ki Wazah se Baat Chit Karna Chhor de." [Sunan Abu Dawood, Hadith 1483]
Sirat-e-Mustaqeem par Shaitan jyada behkata hai Hadees : Sirat-e-Mustaqeem par Shaitan jyada behkata hai Ek Sahabi ka inteqal hota hai, Nabi-e-Kareem (ﷺ) uss Inteqal me jaate hai, aur abhi Qabr khud rahi thi ke RasoolAllah (ﷺ) uss mitty par baith jate hai, Aapke hath me ek tehni thi, aap uss tehni ke jarye Zameen par uss mitty par kuch banane lagey, Sahaba gour se dekhne lage ke RasoolAllah (ﷺ) kya kar rahe hai. Sahaba ne dekha ke Aap (ﷺ) ne ek sidhi lakeer banayi, aur daaye…
Shaitan aadmi ke andar khoon ki tarha gardish karta… Shaitan Aadmi me khoon ki tarha gardish karta rehta hai Hadees: Jabir (R.A) se riwayat hai ke,Allah Rasool (ﷺ) ne farmaya: "Aisi Auratoun ke paas naa jao jin ke Mahram unke saath naa ho kyun ke Shaitan aadmi ke andar khoon ki tarha gardish karta rehta hai." 📕 Jami` at-Tirmidhi, Hadees 1172
Agar Koi Bhul Gaya Aur Kuch Kha Pee Liya .... ♥ Mafhoom-e-Hadees: Roze Mein Bhool Kar Khana Peena 📖 Hadees (Roman Urdu) Abu Hurairah (R.A) se riwayat hai ke RasoolAllah ﷺ ne farmaya: “Agar koi bhool kar kuch kha pee le to usay apna roza purna karna chahiye, kyunki Allah ne usay khilaya aur pilaya hai.”(Sahih Bukhari, Vol. 3, Hadith 1933) 📖 हदीस हिंदी अबू हुरैरा (र.अ.) से रिवायत है कि रसूलअल्लाह ﷺ ने फ़रमाया: “अगर रोज़ेदार भूलवश कुछ खा-पी ले तो उसे अपना रोज़ा पूरा करना चाहिए, क्योंकि अल्लाह…
Al-Quran: Agar tum acche kaam karoge to apne hi… Quran: 04-July: ۞ Bismillah-Hirrahman-Nirrahim ۞ Allah Rabbul Izzat Qurane Majid me farmata hai: ‟Agar tum acche kaam karoge to apne hi fayde ke liye karoge aur bure kaam karoge to bhi wo tumhare liye hi bura hoga.' 📕 Surah Bani Israil 17:7
Al-Quran: Ek doosre ko Naa taana do aur Naa Bure… ۞ Bismillah-Hirrahman-Nirrahim ۞ Ek doosre ko Naa taana do aur Naa Bure naamo se pukaaro Allah Taala Quran me farmata hai: "Tum ek doosre ko taana naa diya karo aur naa ek doosre ko bure naamo se pukaaro." 📕 Surah Al-Hujurat 49:11
Jab koi Khana khaye aur Niwala Gir jaaye ... Jab koi Khana khaye aur Niwala Gir jaaye Hadees: Allah ke Rasool (ﷺ) ne farmaya: "Jab Tum Mein se Koi Khana Khaye aur Niwaala Gir Jaye tou Us Mein se Jo na Pasand Samjhe Us Hisse ko hata de phir Woh Baaqi Niwala Khaa Le, Usey Shaitaan Ke Liye Na Chhode." 📕 Tirmizi, Hadees: 1802 Sahih
Apne Amaal ko Barbaad naa karo Apne Amaal ko Barbaad naa karo "Aye Imanwalo! Allah ki Ita'at karo aur Uske Rasool (ﷺ) ki Itaat karo, aur (Nafarmani kar ke) apne amaal ko barbaad na karo." 📕 Quran 47:33
Khana Kha ke Shukr ada karne waale ka darja Khana Kha ke Shukr ada karne waale ka darja Hadees: RasoolAllah (ﷺ) farmate hai: "Khana Kha ke Shukr Ada Karne Wale ka Darja, Sabr karne Wale Rozedar ke Barabar hota hai." 📕 Sunan Ibn Majah, Hadees 1837
Aisi Aurat ko Nikaah ka Paigaam Naa Bheje ... Aisi Aurat ko Nikaah ka Paigaam Naa Bheje Hadees: Ibn Umar (R.A) se riwayat hai ki, RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya – “Koi Shakhs kisi Aurat ke Paas Nikah ka Paighaam na bheje agar Uss Shakhs ka Bhai Uss hi Aurat ke Paas pehle se hi Shaadi ka Paighaam bhej chuka ho.” 📕 Sunan Ibn Majah: Hadith#1868-Sahih Takhreej: Agar ye Maaloom ho Jaaye ki Uss Aurat ne abhi tak pehla waala Paighaam Qubool nahi kiya hai aur Na hi wo Uss…
Jab Juma ke Din ki Namaz ke liye pukara jaye tou… Jab Juma ke Din ki Namaz ke liye pukara jaye tou Allah ki yaad ki taraf chal pado "Aye Imaan walo! Jab Juma ke Din ki Namaz ke liye pukara jaye tou Allah ki yaad ki taraf chal paro aur khareed-o-farokht chorh do, Yeh tumhare liye behtar hai agar tum jano. phir jab Namaz puri ho jaye tou zameen me fayl jao aur Allah ka fazal (rozi) talash karo aur Allah ko kasrat se yaad karo, taaki tum kamyabi pao." 📕 Surah Al-Jumu'ah 9-10…
Jis Shakhs ke paas koi ilm mehfuz go aur wo usey… ✦ Hadith: Roman Urdu: Abu Hurairah (R.A) se riwayat hai ki, Rasool'Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) ne farmaya : "Jis Shakhs ke paas koi ilm mehfuz ho aur wo usey chupaye tou Qayamat ke din usey dozakh ki Aag ki lagaam daal kar laya jayega." 📕 Sunan Ibn Majah: Arabic 272, English 261 ✦ English Hadith: It was narrated from Abu Hurairah that: The Prophet (ﷺ) said: "There is no man who memorizes knowledge then conceals it, but he will be…
Hadees: Jo Shakhs Jhoothi Qasam kha kar kisi ka maal le lega Hadees of the Day Jo Shakhs Jhoothi Qasam kha kar kisi ka maal le lega Ash'as bin Qais (R.A.) se riwayat hai ke, Allah ke Rasool (ﷺ) ne farmaya: "Jo Shakhs Jhoothi Qasam kha kar kisi ka maal le lega, wo Allah ke samne kodhi (leprosy) ho kar pesh hoga." 📕 Abu Dawood 3244