۞ Hadees: RasoolAllah (SallAllahu Alaihi Wasallam) ne farmaya :
❝ Sila rehmi se ziyada jaldi sawab dilane wala jis mein Allah ki itaat ki jaye koi amal nahi aur Sarkashi (Zulm) aur qata rahmi se zyada jaldi saza dilane wala koi amal nahi, aur Jhooti Qasam gharo ko veeran (barbad) karke chorhti hai. ❞
Logo ke Darmiyan Sulah Karna Hadees Logo ke Darmiyan Sulah Karna Hadees Hadees: RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya ki: "Kya Mai Tumhe Aise Amal Par Aagah Na Karoon Jiska Darja Roze Namaz Aur Sadqe Se Afzal Hai." Farmaya! 'Do Logo ke Darmiyan sulah kara dena.' Saath Hee me yeh bhi farmaya ke "Do Logo ke Darmiyan Fasaad karana Emaan ko Moondhkar(Barbaad kar) rakh deta hai." 📕 Sunan Abu Dawud, Hadees 4919
Hadees: Bure Akhlaaq amal ko is tarah kharab kar… Bure Akhlaaq amal ko is tarah kharab kar dete hai jis tarah Hadees: Abdullah bin Abbas (R.A.) se riwayat hai ke, RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya: "Bure Akhlaaq amal ko is tarah kharab kar dete hai jis tarah sirka Shahad ko kharab kar deta hai." 📕 Tibrani Kabeer, Hadees 10777
Hadees: Har Accha kaam Sadqah hai ۞ Bismillah-Hirrahman-Nirrahim ۞ ✦ Hadees: Allah ke Rasool (ﷺ) ne farmaya: "Har Accha kaam Sadqah hai." 📚 Sahih Muslim; Hadees: 1005 Ek aur Riwayat me Aap (ﷺ) ne faramaya: "Har Neki Sadqa Hai !Tum Apne Musalman Bhai se Pyar se Galey milo, yeh bhi Neki hai." 📚 Musnade Ahmad Jild:5 Safa:111: 14715
Devar / Jeth toh Mout ki tarah hai: Hadees Devar / Jeth to Mout ki tarah hai: Hadees Uqba (R.A) se riwayat hai ke, Allah ke Rasool (ﷺ) ne farmaya: "Tum log ajnabi aurto ke paas jaane se bacho! Ek Ansari Sahabi ne sawal kiya ke Aye Allah ke Rasool ! Dewar ke baare me Aap ka kya khayal hai?" Tou RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya: "Dewar to mout hai (is liye aurto ko unse parda karna zaruri hai)." 📕 Bukhari, Hadees 5232 NASIHAT : Ulmao ka kahna hai ki…
Bhai ke samne Muskura dena bhi Sadqa hai : Hadees Bhai ke samne Muskura dena bhi Sadqa hai Hadees: Abu’zar (R.A.) ne kaha ke,Rasool’Allah (ﷺ) ne Irshad farmaya ke - Apne Kisi (Musalman) Bhai ke Samney (Khushi se) tumhara Muskura dena ye bhi Sadqa hai. Aur kisi ko Acchi Baat ka Hukm Dena aur boori baat se rokna ye bhi Sadqa hai, SABAQ: Bhai ke Samne Muskura dene se Muraad Apne Momin Bhai ko Dekh Khush'hali ka Izhaar karna hai Jo Allah ke Nazdik Ek Sadqa hai, thik Usey bhalayi…
Hadees: Jo Shakhs Jhoothi Qasam kha kar kisi ka maal le lega Hadees of the Day Jo Shakhs Jhoothi Qasam kha kar kisi ka maal le lega Ash'as bin Qais (R.A.) se riwayat hai ke, Allah ke Rasool (ﷺ) ne farmaya: "Jo Shakhs Jhoothi Qasam kha kar kisi ka maal le lega, wo Allah ke samne kodhi (leprosy) ho kar pesh hoga." 📕 Abu Dawood 3244
Hadees: Jo shakhs khud ko bada samjhta hai Allah us… Jo shakhs khud ko bada samjhta hai Allah us se Naraz hoga Hadees: Abdullah bin Umar (R.A.) se riwayat hai ke, RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya: ‟Jo shakhs apne aap ko bada samjhta hai ya Takabbur ke saath akad kar chalta hai, Qayamat ke din woh Allah Taala se is haal me milega ke Allah Taala us se Naraz hoga." 📕 Al-Adab al-Mufrad, Hadees 549
Dilo ko bhi Jang(Rust) lag jata hai : Hadees Hadees: Abdullah ibn Umar (R.A) se riwayat ki, RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya - "Inn Dilo me bhi Jang (Rust) lag jaati hai, Jis tarah lohe me paani lagne se jang lagti hai". Arz Kiya "Ya RasoolAllah! Uski jila kis cheez se hogi? yaani dilo ka jung kaise door hota hai". Aap ﷺ ne farmaya "Qasrat se Mout ko yaad karne aur Quraan-e-Kareem ki tilawat se." - Shu’abul Iman, Hadees: 1859- Musnad Shihab, Hadees: 1179
Hadees: Jis Qoum me Sood aam ho jata hai, us me… Hadith: 10-April: Abdullah bin Masood (RaziAllahu Anhu) se riwayat hai ke, RasoolAllah (Salallahu Alaihi Wasalam) ne farmaya: ‟Jis Qoum me Sood (interest/usury) aam ho jata hai, us me Pagal pan ki bimari phail jati hai. 📕 Al Kabair Liz Zahabi: 1/61
Jis me Fahash ho, woh us ko Aibdaar bana deti hai: Hadees Jis me Fahash ho, woh us ko Aibdaar bana deti hai Hadees: Anas (R.A.) se riwayat hai ke, Allah ke Nabi (ﷺ) ne farmaya: "Jis me Fahash (behoodah baate ya sakht kalaami) ho, woh us ko Aibdaar bana deti hai aur jis me Hayaa ho, woh us ko Khoobsoorat bana deti hai." 📕 Tirmizi, Hadees 1974
Hadees: Qarz ki adaaigi par qudrat ke bawajood taal… Hadith: 18-April: Abu Hurairah (R.A.) se riwayat hai ke, RasoolAllah (Salallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya: ‟Qarz ki adaaigi par qudrat ke bawajood taal matol karna Zulm hai. 📕 Muslim 4085
Hadees: Haq baat na manna aur logon ko haqeer… Hadith: 5-May: Ibne Masood (R.A.) se riwayat hai ke, Allah ke Rasool (Salallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya: ‟Haq baat na manna aur logon ko haqeer samjhna Takabbur(ego) hai. -Muslim 275
Ilm-e-Hadees aur Hadees ki Kisme ۞ Bismillah-Hirrahman-Nirrahim ۞ • Hadees ka ilm sahih aur khalis niyyat ke sath sirf Allah Ta'ala ki raza ke liye haasil kare. • Hadees ka ilm naam kamaane aur duniya ke maqsado ke liye hargiz haasil naa kare warna kuch faydah na hoga. • Allah Ta'ala se dua karte rahe ki iss mubarak ilm ke haasil hone me Allah Ta'ala ki taufeeq haasil rahe, halaat durust rahe, koi rukaawat aur mushkil pesh na aaye aur Allah Rabbul Izzat hadees ke…
Hadees: Jhooth se bacho, jhooth Gunah tak le jata hai Jhooth se bacho, jhooth Gunah tak le jata hai Hadees: Abdullah bin Masood (R.A) se riwayat hai ke,RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya: ‟Jhooth se bacho, isliye ke jhooth Gunah tak le jata hai aur Gunah Jahannum tak le jata hai." 📕 Muslim, Hadees 6805
Hadees: Jab Aadmi apni Biwi ko paani pilaata hai tou… Hadees: Irbaz bin Saariyah (R.A.) se riwayat hai ke, Allah ke Rasool (ﷺ) ne farmaya: "Jab Aadmi apni Biwi ko paani pilaata hai tou uspar bhi Sawaab diya jata hai." 📕 Musnade Ahmed, Hadees 17155