
Gheebat ki Hadees : Gheebat Nekiyo ko Jaya kar deti hai
Hadees: Ibne Abbas (R.A) se riwayat ki:
“2 Shakh ne Zohar ya Asar ki Namaz padhi aur wah dono Rozdar they, Jab Namaz padh chuke Nabi-e-Karim (ﷺ) ne farmaya ‘Tum Dono Wuzu karo aur Namaz ko dobara padho aur Roza pura karo aur dushre din is Roze ki Qaza karna.’
Unhone arz kiya ‘Ya RasoolAllah (ﷺ) ! Ye Hukm kis liye ?’
Aap (ﷺ) ne farmaya “Tumne falah Shakhs ki Gheebat ki hai.”
– Islami Akhlaq-O-Aadab, Page#191, Hadith 40
SABAQ: Iss Aahadees se Maloom hota hai ke Gheebat karna yaani kisi ke peeth piche uski burayi karna insan ke nek Amal ko jaya kar deti hai, Lihaza har haal me Gheebat jaise Haraam kaam se apne imaan ko salamat rakhne ki koshish kiya kare.
In sha Allah-Ul-Azeez! Allah Rabbul Izaat hume kehne Sun’ne se Jyada Amal ki taufiq dey.
Discover more from Ummate Nabi ﷺ Hinglish
Subscribe to get the latest posts sent to your email.