Diwaliya aur Muflis Kaun?
Gaali Galaoch aur Geebat karne ka Azab
Hadees: Abu Hurairah (R.A) se riwayat hai ke, ek baar Nabi-e-Kareem (ﷺ) ne sahaba se farmaya ‘Kya tum jante ho Diwaliya aur Muflis kaun hai? ‘
Sahaba ne arz kiya ki “Humare yahan tou Diwaliya usey maana jata hai jiske paas na ek Dirham ho aur na tou koi Saamaan!”
Aap (ﷺ) ne farmaya:
“Meri Ummat ka Muflis wo hai jo Qayamat ke din apne Roza, Namaz aur Zakat ko saath lekar hazir hoga, magar uske sath wo log bhi hazir honge, jin me se kisi ko usney duniya me Gaali di hogi, kisi par jhoota ilzaam lagaya hoga, kisi ka Maal maar khaya hoga, kisi ka khoon kar dia hoga, kisi ko Naahaq mara-peeta hoga!.
Tou unn tamaam mazloomo me uss aadmi ki nekiyan baanti jaane lagengi, aur agar baant’te-baant’te Nekiyan khatm ho jaayengi magar usney jin logo pe Zulm ki hai abhi unkey Haq baaki reh gaye honge,
Tou unn Sataaye huye logo ke Gunaah iss aadmi ke hisaab khatey me daal diye jaayenge aur phir isey jahannam me phenk dia jayega.”
📕 Muslim: kitab-32, Hadees 6251
Sabaq:
Is Aahadeese Mubarak se maloom hua ke Allah ke bando ke Haq maarne wala aur unpar Nahaq Zulm karne wala Roze Qayamat sabse badd’tar Shakhs hoga. uss Din na uska Roza usey Fayda dilane wala aur Naa hi uski Namaz aur naa hi uski Zakaat. jab tak ke wo Shakhs khud apne kiye par nadeem hokar unn sabse muafi mang na le tab tak wo Allah ke nazdik bakhshish ke layaq na hoga.
Allah Ta’ala hume har kism ke zulm se bachney aur bachaaney ki taufiq ata farmaye. Ameen
Discover more from Ummate Nabi ﷺ Hinglish
Subscribe to get the latest posts sent to your email.