Jo Banda Chipakar Sadqa Karta Hai Wo Qayamat Ke Din Allah Ke Saye me Hoga
HADITH
Rasool Allah (ﷺ) ne farmaya:
“Jo shaks itne khufiya taur par sadqa karta hai ke us ke ulte haath ko bhi pata nahi chalta ke us ke seedhe haath ne kya diya hai (to wo Qayamat ke din Allah Ta’ala ke saye me hoga).”
[ Sahih Bukhari 1423 ]
AL-QURAN
Allah Ta’ala Qur’an me farmata hain:
“Agar tum Sadqe Khairaat ko Zahir karo to wo bhi accha hai aur agar tum usey poshida (chupa kar) miskino ko de do to ye tumhare haqq me behtar hai..”
Raste se Taqleef ki cheeze Door karna bhi Sadqa hai Raste se Taqleef ki cheeze Door karna bhi Sadqa hai Hadees: Abu Zar (R.A.) se riwayat hai ke, RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya: "Patthar Kanta aur Haddi (wagairah) ka Raste se hata dena Sadqa (Sawab ka Kaam) hai." 📕 Tirmidhi, Hadees 1956
Sabse afzal Sadqa woh hai jo aise rishtedaar par kiya jaaye Sabse Afzal Sadqa woh hai jo aise Rishtedaar par kiya jaaye Hadees: Umme Kulsoom (R.A.) se riwayat hai ke, RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya: "Sabse Afzal Sadqa woh hai jo aise rishtedaar par kiya jaaye jis ne dil me dushmani chupa rakhi ho." 📕 Shoaib Ul Iman, Hadees 3427
Shawwal ke 6 Rozo ki Fazilat Hadees of the Day Shawwal ke 6 Rozo Ki Fazilat Abu-Ayyub-Ansari (R.A) se riwayat hai ke, Rasool'Allah (ﷺ) ne farmaya : "Jo Roze Rakhe Ramzan ke aur iske sath lagaye 6 Roze Shawwal ke tou isko humesha ke Rozon ka Sawaab milega." 📕 Sahih-Muslim, Hadees#2758📕 Sunan-Ibn-Majah, Hadees#1716 Ek aur Riwayat me aata hai ke - Rasol'Allah (ﷺ) ke Aazad karda Ghulaam Hazrate Sobaan (R.A) se riwayat hai ke, Rasool'Allah (ﷺ) ne farmaya - "Jo Eid-Ul-Fitr ke Baad 6 Din ka…
Sadqa wa Khairat Museebat ke Sattar (70) darwaze… ♥ Mafhoom-e-Hadees: Nabi-e-Kareem (Salallahu Alaihi Wasallam) farmate hai ke, “Sadqa wa Khairat Museebat ke sattar (70) darwaze band kar deta hai” – (Tabrani Kabir, 6724) ♥ मफहूम-ऐ-हदीस: नबी-ऐ-करीम (सलाल्लाहू अलैहि वसल्लम) फरमाते है के, “सदका व खैरात मुसीबत के सत्तर (70) दरवाज़े बंद कर देता है” – (तबरानी कबीर, ६७२४) For more Islamic messages kindly download our Mobile App
Ramadan Day 26 | Rozdaro ko Lagu aur Behuda Baaton… Ramadan Hadees: Day 26 Rozdaro ko Lagu aur Behuda Baaton se Paak karne ke liye Sadqa e Fitr ۞ Bismillah-Hirrahman-Nirrahim ۞ Ibne Abbas (R.A) se riwayat hai ke, "RasoolAllah (ﷺ) ne Rozdaro ko Lagu aur Behuda Baaton se Paak karne ke liyeaur Miskeen ko khilane ke liye Sadqa-e-Fitr mukarrar farmaya." 📕 Sunan Ibn Majah 1827-Hasan
Sadqa Karo! Ek Aisa Zamana bhi Aayega jab koi Sadqa… Ek Aisa Zamana bhi Aayega jab koi Sadqa nahi lega Hadees: Haritha Bin Wahab (R.A) se riwayat hai ki, RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya ki - "Sadqa Karo! Ek aisa Zamana bhi Tum par aane wala hai, Jab Ek Shakhs apne Maal ka Sadqa le kar Niklega aur koi Usey Qubool karney wala nahi payega. Jiskey paas Sadqa le kar jayega Wo ye Jawaab dega kiAgar Tum Kal Usey laye hotey tou Mai Qubool kar leta Aaj tou Mujhe uski Jaroorat…
Allah ki Makhlook ko rahat Pohuchana sabse Afzal Sadqa Allah ki Makhlook ko rahat Pohuchana sabse Afzal Sadqa Hadees: Sa'd Bin Ubadah (R.A) se riwayat hai, Maine Nab-e-Kareem (ﷺ) se poochha "Kaunsa Sadaqah Afzal hai?" Aap (ﷺ) ne farmaya "Paani Pilana" 📕 Sunan Ibn e Maja, Hadith 3684 # Wajahat: Jahan par logo ko Paani ki Haajat ho waha "Sabeel rakhna" Ya Kuwa Ya Hauz bana dena. Isi tarah Jahan jis cheez ki Musalmano ko Zarurat ho aur takleef ho rahi ho , waha usi ka Sadqa Afzal Hoga. Aur Hasil…
Ghusse ko Qabu me Karne ka Nabvi Tarika (Gusse ko… ✦ Hadees: Gusse ko Qabu karne ki Dua ✦ Sulaiman bin Sard (R.A.) ne bayan kiya ki Main RasoolAllah (ﷺ) ki khidmat mein baitha hua tha aur qareeb hi do aadmi aapas mein Gaali Galoch kar rahe they ki ek shakhs ka munh surkh (laal) ho gaya aur gardan ki ragein phool gayeen. RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya ki mujhe ek aisa kalima maloom hai ki agar ye (koi bhi) Shakhs usko padh le to is ka gussa jata rahe ga.…
Insaan ke Badan ke har Jod par har Din ka Sadqa Waajib Insaan ke Badan ke Har Jod par har Din ka Sadqa Waajib Allah ke Rasool (ﷺ) farmate hain : "Insaan ke Badan ke har Jod par har us Din ka Sadqa Waajib hai Jismein Sooraj Tuloo hota hai. aur Logo ke Darmiyaan Insaaf karna bhi Ek Sadqa hai." 📕 Sahih Bukhari, Hadees : 2707
Fitra / Sadqa-e-Fitr / Zakaat al Fitr Kya hai aur… ۞ Bismillah-Hirrahman-Nirrahim ۞ 1. SADQA-e-FITR / ZAKAT AL-FITR Kya Hai? Sadqa-e-Fitr ya Zakat al-Fitr, jise hum aam taur par ‘Fitra’ ke naam se jaante hai, yeh ek aisa Sadqa hai jo aap ke tamaam Rozo ko Paak karta hai. yeh ek khane pine ki cheez ki Shakal me di jaati hai un logo ko jo Faqeer ya Misqeen (Zaroorat mand) hai. 2. KYU DENA HAI? ✦ Hadees: Ibn Abbas (R.A.) Farmate hai ke: “RasoolAllah (Sallallaahu Alayhi Wasallam) ne Rozdaro ko…
Pabandi se Namaz ada karne ki Fazilat aur Ahmiyat RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya - "Jo Shakhs Namaz Pabandi se ada karega tou Yeh Uss ke liye Qayamat ke din Noor hogi, (Iskey Imaan aur Allah se iski wafadari ki) daleel hogi, aur (Jahannum se) Nijaat ka sabab ban jayegi." "Aur Jo Shakhs Namaz ki Pabandi nahi karega tou Namaz Uss ke liye Roshni, Daleel aur Nijaat ka sabab nahi banegi aur woh Qayamat ke din Qaroon, Hamaan aur Obai bin Khalaf ke saath hoga." 📕 Ahmed: Hadees 6576
Momino ki Misaal ek dusrey par Reham karne, Dosti… Hadees of the Day Momino ki Misaal ek dusrey par Reham wali hoti hai No’man bin Bashir (R.A) riwayat karte hai ki,Huzoor Nabi-e-Akram (ﷺ) ne farmaya: "Momineen ki Misaal ek dusrey par Reham karne, Dosti rakhne aur Shafqat ka mujahira karne me ek Jism ki tarah hai, chunanche jab Jism ke kisi bhi hisse ko takleef pahunchti hai tou saara jism bekhwaabi wa bukhaar me us ka shareeq hota hai." Muttafaque Alayh – Bukhari As-Sahih, 05/2238, Raqam-5665, Muslim As-Sahih, 04/1999, Raqam-2586 Ahmad Bin Hanbal Al-Musnad, 04/270…
Bewaon (Widow) aur Miskeeno (Poor) ke kaam aane wale… Bewaon aur Miskeeno ke kaam aane wale ki Fazilat Allah ke Rasool (ﷺ) ne farmaya "Bewaon (Widow) aur Miskeenon (Gareeb) ke kaam aane wala Allah ki Raah me Jihaad karne wale ke barabar hai, ya Raat bhar Ibadat aur Din bhar Roza rakhne wale ke barabar hai." 📕 Sahih al-Bukhari, Hadees 6006
Reham karne ki Fazilat Reham karne ki Fazilat Reham Karne Walo Par Allah ki Rehmat Abdullah Ibn Amr Ibn Al-As (R.A) se riwayat hai ki,RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya – “Reham Karne Walo par Rehmaan bhi Reham farmata hai, Tum Zameen Walo par Reham Karo, Tum Par Wo (Allah) Reham karega Jo Aasmaan me hai." 📕 Sunan Abu Dawud, Hadees 1504 Jo Reham nahi karega, Allah uspar Reham nahi karega Abu Hurairah (R.A) se riwayat hai ki,Al-Aqra-bin-Habis (R.A) ne dekha ki, RasoolAllah (ﷺ) Hazrate Hasan…
Har Nek Kaam me Sadqa hai ... Hadees Of The Day Hadees: Har Nek Kaam me Sadqa hai … Abu’zar (R.A.) ne kaha ke,Rasool’Allah (ﷺ) ne Irshad farmaya ke - Apne Kisi (Musalman) Bhai ke Samney (Khushi se) tumhara Muskura dena ye bhi Sadqa hai.Aur kisi ko Acchi Baat ka Hukm Dena aur boori baat se rokna ye bhi Sadqa hai, Aur kisi Bhatke hue ko Rasta bata dena ye bhi Sadqa hai.Aur kisi Andhe ki Madad kar Dena ye bhi Sadqa hai, Aur Raste se Patthar…