Betiyan Qayamat ke din jahannam se uski aad (protection) hongi

Betiyan Qayamat ke din jahannam se uski aad (protection) hongi Hadees

Hadees of the Day

Betiyan Qayamat ke din jahannam se uski aad (protection) hongi

Aisha (R.A) se riwayat hai ki, RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya:

“jiski betiyan ho aur wo unke saath neki kare tou wo Qayamat ke din jahannam se uski aad (protection) hongi..”

📕 Sahih Muslim, Vol 6, 6693


Aisha (R.A) se riwayat hai ki,
Ek miskeena (faqeer Aurat) mere paas Aayee apni 2 betiyon ko liye huye mainey usko 3 khajurain dee,
usney har ek beti ko ek ek khajur dee aur teesri khajur khaney ke liye munh se lagayee itney mein uski betiyon ne wo khajur bhi mangi usney us khajur ke isey khud khana chahti thi 2 tukdey kiye,.
mujhe ye haal dekhkar taajjub hua mainey jo usney kiya tha Rasool’Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) se bayan kiya Aap (ﷺ) ne farmaya:

“Allah Subhanahu ne is wajah se uskey liye jannat wajib kar di ya jahanam se aazad kar diya.”

📕 Sahih Muslim, 6694


Malik (R.A) se riwayat hai ki, RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya:

“jo Do betiyon ko paale unke jawan hone tak, Qayamat ke din wo aur main is tarah se aayenge aur Aap (ﷺ) ne apni unglion ko mila kar bataya”

📕 Sahih Muslim, Jild 6, 6695

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *