Aye Logon Tum Par Hajj Farz kiya Gaya : Hadees Aye Logon Tum Par Hajj Farz kiya Gaya : Hadees Hadees: Hazrat-e-Abdullah Ibne Abbas(R.A) se riwayat hai,RasoolAllah (ﷺ) Irshad farmate hai - Jab Hazrate Ibrahim (Alaihay Salam) Khaana-e-Kaaba Ki Tameer Muqammal kar liye tou Allah Ta'ala ki Bargaah me Marooza kiye - 'Ilaahi Maine Tameer Muqammal Kar Li Hai!' Tabhi Allah Ta'ala ne hukm farmaya 'Logon me Hajj ka Ailaan karo" Unhone Arz Ki Ilaahi Meri Aawaz Kaise Pahuchegi.? Allah Ta'ala ne irshad farmaya - 'Aawaz Dena Tumhara Kaam hai…
Al-Quran: Yateemo ko unke maal de diya karo aur… ۞ Bismillah-Hirrahman-Nirrahim ۞ "Yateemo ko unke maal de diya karo aur kharab maal ko acche maal se tabdeel na kiya karo." 📕 Quran; Surah Nisa 4:2
Koi Momin Shohar apni Biwi se Nafrat Na kare Koi Momin Shohar apni Biwi se Nafrat Na kare Allah ke Rasool (ﷺ) ne farmaya ke: "Koi momin Shohar apni kisi Momina Biwi se Nafrat na kare. Agar Usey Biwi ki Ek Baat Napasand hogi tou Dusri Zaroor Pasand Aayegi." 📕 Sahih Muslim, Hadees: 3645
Takabbur aur Dikhawe Wale Aamal se Bacha karo ۞ Hadees: Abu Darda (RaziAllahu Anhu) se marwi hain, Unohne Huzoor (Sallallahu Alaihay Wasallam) se Arz kiya "Mujhe Wasiyat Farmayiye"! *Aap (Sallallahu Alaihay Wasallam) ne farmaya : "Pakeeza Hunar Ikhtiyar kar, Nek Amal kar, Allah Ta'ala se Har Din ki Rozi Talab Karta Reh aur Apne Aapko Murdon me Shumaar kar! aur Har Insan ke liye Zaruri Hain ki Wo Apne Nek Aamaal par naa itrayen, Kyonki Yeh Aamaal ke Liye Ek Azeem Halaqat Hain! Aisa Aadmi Amal Karke Allah…
Maal ko Kharch karo aur Gin Gin kar Na rakho: Hadees Maal ko Kharch karo aur Gin Gin kar Na rakho ۞ Hadees: Asma (R.A.) se riwayat hai ke, Allah ke Rasool (ﷺ) ne farmaya: "Maal ko (Jayaz) Kharch kar, gin gin kar na rakh, warna Allah Ta'ala tujhe bhi gin gin kar dega (phir Rozi se Barqat khatm ho jayegi) aur Maal ko rok kar na rakh, Warna Allah Taala tujhse Rizq ko rok lega." 📕 Bukhari, Hadees 2591
Hadees: Koi Padosan apni padosan ke tohfe ko mamuli… Hadees: Koi padosan apni padosan ke tohfe ko mamuli na samjhe Nabi-e-Kareem (ﷺ) ne farmaya: "Aye Musalman Aurto ! koi padosan apni padosan ke hadiye (tohfe) ko mamuli na samjhe, agarche Bakri ka khur hi ho." 📕 Bukhari, Hadees 6017
Allah Subhanahu farmata hai 'agar tumne Shirk nahi… Allah Subhanahu farmata hai 'agar tumne Shirk nahi kiya to Main Zameen bhar Magfirat lekar tumse miluga' ۞ Hadees-e-Qudsi: Abu Dhar (R.A.) se riwayat hai ki, RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya ki: 'Allah Subhanahu farmata hai - "Neki (ka ajar) 10 guna hai ya main ziyada bhi kar sakta hu, aur Gunah ek hi hai ya mein usko bhi bakhash dun, agar tum Zameen bhar ke Gunah lekar Mujh se is haal mein milo ke tumne Shirk nahi kiya ho tou…
Apni har hajatein apne Rab se hi mange ۞ Hadees: Thabit (R.A.) se riwayat hai ki RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya , "Tum me se har Shakhs ko chahiye ki wo Apni tamam hajatein apne Rab se hi mange, Yanha tak ki Namak bhi usi se mange aur agar jute ka tasma (less) bhi tut jaye tou Wo bhi uss (Allah) se mange." 📕 Jamiat Tirmidhi, Jild 2, 1536-Hasan
Al-Quran: Jo Pakeeza Rizq humne tumhe ata kiya hai… Jo Pakeeza Rizq humne tumhe ata kiya hai usme se khao, aur us me hadd se aage na badho, jis ke nateeje me tum par mera gazab nazil ho jaye. [Quran 20:81]
Al-Quran: Naapo to pura naapo aur tolne ke liye sahi… Naapo to pura naapo aur tolne ke liye sahi tarazu istemal karo ۞ Bismillah-Hirrahman-Nirrahim ۞ Allah Rabbul Izzat Quran me farmata hai: ‟Jab kisi ko koi cheez naap kar do tou pura naapo aur tolne ke liye saheeh tarazu istemaal karo." 📕 Surah Bani Israil 17:35
Maal kaha se kamaya aur kaha kharch kiya? Maal kaha se kamaya aur kaha kharch kiya? Hadees: Abu Barza (R.A) se riwayat hai ki, Rasool’Allah (ﷺ) ne irshaad farmaya – ‟Qayamat ke Din insan ke dono qadam uss waqt tak (Hisaab ki Jagah se) nahi hatt sakte, jab tak uss se in paanch cheezon ke baarey me na puch liya jaaye." (1) Apni Umr kis kaam me Kharch ki ?, (2) Apne Ilm par kya amal kiya ?, (3) Maal kaha se kamaya ?, (4) aur Kahan kharch…
Allah ka Naam Lekar Darwaze Band kiya karo Kyunki ... Allah ka Naam Lekar Darwaze Band kiya karo Allah ke Rasool (ﷺ) ne farmaya: “Allah ka Naam Le Kar Darwaze Band kiya karo, Kyunki Shaitan Aise band Darwaze ko Nahi khol Sakta.” 📕 Sahih Bukhari, Hadees: 3304
Al-Quran: Allah ne Tijarat ko Halal kiya aur Sood ko Haram Allah ne Tijarat ko Halal kiya aur Sood ko Haram Allah Taala Quran me farmata hai: "Allah Taala ne Tijarat (Business) ko Halal kiya hai aur Sood ko Haram karar diya hai." 📕 Surah Baqraah 2:275
Neki aur Parhezgari ke kaamo me ek dusre ki madad kiya karo Neki aur Parhezgari me ek dusre ki madad karo Allah Taala Quran me farmata hai: "Neki aur Parhezgari ke kaamo me ek dusre ki madad kiya karo.Aur Gunaah wa Zulm par Madad naa karo!,Aur Allah se Daro, Beshaq Allah ka Azaab Sakht hai.” 📕 Surah Maida 5:2
Tum hargiz Bhalai ko na pohochoge jab tak apni pyari… Tum hargiz Bhalai ko na pohochoge jab tak "Tum hargiz Bhalai ko na pohochoge jab tak apni pyari cheez Allah ki raah me kharch na karoge. aur tum jo kuch kharch karoge Allah Ta'ala bakhoobi janta hai." 📕 Al-Quran; Surah Aal-e-Imran 3:92