♥ Mafhoom-e-Hadees: Hazrate Abu Hurairah (RaziAllahu Anhu) Se Riwayat Hai Ki Rasool’Aallah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Farmaya –
“Agar Koi Shakhs Lakdiyon Ka Gatthha Apni Peeth Par (Bechne) Ke Liye Phire Tou Wo Uss Se Achcha Hai Ki Kisi Ke Samne Haath Failaye Aur Wo Usey Kuch De Ya Na De”.
– (Sahih Bukhari, Vol 3 , 2374)
» Sabak: Yaani Kisi Ke Samne Haath Failane Se Behtar Hai Ki Halaal Tarike Ki Mehnat Se Rozi Hasil Kiya Jaye Fir Chahe Lakdiyon Ka Gaththa Hi Apni Peeth Par Lekar Kyun Na Bechna Pade.