Jo Log Yateemo Ka Maal Zaaya Karte Hai ♥ Al-Quraan: Bismillah-Hirrahman-Nirrahim !!! "Jo Log Yateemo Ka Maal NaaHaq Zaaya (Waste) Karte Hai, Woh Apne Pait Me Bus Angaare Bharte Hai Aur AnKarib Jahannum Me Wasil Honge.." - (Surah: An-Nisa, Ayat-10)
Aurato Se Mehaz Unke Husn Ke Sabab Nikah Na Karo ♥ Mafhoom-e-Hadees: Allah Ke Nabi (ﷺ) Ne Farmaya - "Aurato Se Unke Husn Ke Sabab Nikah Na Karo, Ho Sakta Hai Uska Husn Tumhe Tabah Kar De, Na Uske Maal Ki Wajah Se Nikah Karo, Ho Sakta Hai Ke Unka Maal Tumhe Gunaaho Me Mubtela Kar De, Balki Deendari Ki Wajah se Nikah Kiya Karo,. Kaali, Chapti, Badsurat Larki Agar Deendar Ho Tou Behtar Hai." - (Ibne Maja, 1926) ♥ मफहूम-ऐ-हदीस: अल्लाह के नबी (ﷺ) ने फ़रमाया - "औरतो से उनके हुस्न के सबब निकाह ना करो, हो सकता है उसका हुस्न तुम्हे तबाह कर दे, ना उसके माल की…
Murdo Se Ibrat Hasil Kiya Karo .... ♥ Mafhoom-e-Hadees: Nabi-e-Kareem (Sallallahu Alaihay Wasallam) Farmatey Hai - "Uss Zaat Ki Qasam Jis Ke Qabze Me Meri Jaan Hai! Agar Log Murde Ka Thikana Dekh Le Aur Uss Ka Qalaam (Baatein) Sun Le Tou Mayyat Ko Bhul Jayennge Aur Apni Jaano Par Rone Lagenge. - Jab Murde Ko Takht Par Rakha Jata Hai Tou Iss Ki Rooh Far-Farate Huwe Pukarti Hai Ke, Aye Mere Ahlo Ayaal! Duniya Tumhare Saath Iss Tarah Na Khele Jis Tarah Mere Saath Kheli, - Maine Halaal Aur Haraam Maal Jamaa Kiya Phir Woh Maal Dusro Ke Liye Chhod Aaya - Is Ka Nafaa Tumhare…
Jis Ne Apni Maal Ki Zakaat Ada Kar Dee .... ♥ Mafhoom-e-Hadees: Hazarte Zabir (RaziAllahu Anhu) Riwayat Karte Hain Ki Ek Aadami Ne Arz Kiya : 'Ya Rasool'Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) ! Uss Shakhs Ke Baare Me Aap Ka Kya Khayaal Hai Jisne Apne Maal Ki Zakaat Ada Kar Dee ?' Rasool'Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Farmaya: 'Jisne Apni Maal Ki Zakaat Ada Kar Dee, Uss Maal Ka Sharr (Buraayi) Uss Par Se Jaata Raha.' - [Ibn Khuzaymah As-Sahih, 04/13, Raqam-2258, Hakeem Al-Mustadrak, 01/547, Raqam-1439, Tabarani Al-Mu'jam-Ul-Awsat, 02/161, Raqam-1579, Mundhiri At-Targhib Wat-Tarhib, 01/301, Raqam-1111]
Aye imanwalo! apne Sadko ko Ahsan aur dukh dekar zaya na… ۞ Bismillah-Hirrahman-Nirrahim ۞ Allah Subhanhu taala Qurane Majid me farmata hai: ❛ Aye imanwalo! apne sadqo ko ahsan aur dukh dekar us Insan ki taraf zaya na karo jo logon ko dikhane ke liye apna maal kharch karta hai aur Allah aur Aakhirat ke din par iman bhi nahi rakhta. - Al Quran; Surah Baqrah 2:264
Maal bechte waqt Kasam khane ke nuksan Hadees of the Day Tijarat me Qasam ki Kasrat se Parhez kiya karo Abu Hurairah (R.A) se riwayat hai ki, RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya - "Tijarat me Qasam ki Kasrat se Parhez kiya karo, ki ye Agarchey Maal ko tou Bikwa deti hai, magar Barkat ko khatm kar deti hai." 📕 Sahih Bukhari, 2087 Note: Aksar dekha jata hai ke log koi saman bechte wakt qasam khate hai ke Allah ki qasam maal original quality ka hai, Allah ki qasam humne ye maal itne itne me kharida hai, bus hum itna hi kama paate hai. wagera wagera. wo aisa isliye…
Hadith: Maaldari Maal-o-Daulat ki qasrat kaa naam nahih hai,… Hadith: 23-March: Allah ke Rasool (Salallahu Alaihi Wasalam) ne farmaya: ❝ Maaldari Maal-o-Daulat ki qasrat kaa naam nahih hai, balke asal maaldari tou dil ki maaldari hai. ? Ibn Majah; Hadees 4137
Al-Quran: Jo Shakhs Ziyaadati aur Zulm ke taur par Naahaq… Quran: 24 - July: ۞ Bismillah-Hirrahman-Nirrahim ۞ ❝Jo shakhs Ziyaadati aur Zulm ke taur par aisa (Naahaq Maal khaayega aur Qatl wa Khoon) karega. tou Hum(Allah) usko aag (Jahannum) mein daakhil karenge aur yeh baat Allah ke liye bilkul aasaan hai.❞ 📕 Surah An-Nisa’ 4:30
Rashk Kin Insano Par Hona Chahiye ? .... ♥ Mafhoom-e-Hadees: Nabi-e-Kareem (Sallallahu Alaihay Wasallam) Farmatey Hai - Rashk Do Hi Insano Par Hona Chahiye - ∗ (1). Jise Allah Ne Quraan Ka Ilm Diya Aur Wo Iss Ke Sath Raat Ki Gehrayion Me Khada Ho Kar Namaz Parhta Raha. ∗ (2). Jise Allah Ne Maal Diya Aur Wo Mohtajon Par Din Raat Khairat Karta Raha. - (Bukhari : Hadees-5025, Kitab-Fazaile Quran : Bab-Quran Parhne Wale Par Rashk Karna Jayaz Hai) • Note : Koi Neymat Dekh Kar Ye Khayal Paida Ho Ke Ye Neymat Uss Ke Paas Bhi Rahe Magar Mujhe Bhi Mil Jaaye! Isey Rashk Kehte Hai.…
Kaun sa Maal Rakhe ? ♥ Mafhoom-e-Hadees: Ek Sahabi-e-Rasool se Riwayat hai ke, Jab Sone aur Chandi ke bare me Aayat Nazil hui tou log (Sahaba) kehne lagey ke ab Kaun sa Maal hum apne liye rakhe ? Umer (RaziAllahu anhu) ne kaha: "Main isey tumare liye malum karke aata hu,.." aur Aapne Uoont (Camel) par sawar Hokar isey tez daudaya , aur Allah ke Rasool (Sallallahu Alaihi Wasallam) Ke paas pahunche, Main bhi aap ke piche tha, Unhone arz kiya: "Allah ke Rasool (Sallallahu Alaihi Wasallam) hum kaun sa Maal rakhe ? ,." Aap (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne Farmaya: "Tum me har koi Shukr karne…
Maal kaha se kamaya aur kaha kharch kiya? Hadees of the Day Maal kaha se kamaya aur kaha kharch kiya? Abu Barza (R.A) se riwayat hai ki, Rasool’Allah (ﷺ) ne irshaad farmaya – ‟Qayamat ke Din insan ke dono qadam uss waqt tak (Hisaab ki Jagah se) nahi hatt sakte, jab tak uss se in paanch cheezon ke baarey me na puch liya jaaye." (1) Apni Umr kis kaam me Kharch ki ?,(2) Apne Ilm par kya amal kiya ?,(3) Maal kaha se kamaya ?,(4) aur Kahan kharch kiya ?,(5) Apni Jismani Quwwat kis kaam me lagayi ? 📕 Jami at-Tirmidhi 2417
Agar Tum Sabr karo aur Allah se darte raho tou [ Al-Quran;… ۞ Bismillah-Hirrahman-Nirrahim ۞ Allah Ta'ala Quran-e-Kareem me farmata hai: "Agar Tum Sabr karo aur Allah se Darte raho tou Inn (Mushriko, Dushmanan-e-Deen) ka Makkar Tum ko Zara sa bhi Nuqsaan nahi pohnchaa sakta." [ Al-Quran; 3:120 ]