Hadees: Allah Ta’ala ko Lagne waali Sabse Boori baat
Hadees: Abdullah bin Masood (R.A.) se riwayat hai ki, RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya:
“Allah Subhanhu Ta’ala ko sabse Napasandeeda (Buri) baat ye lagti hai kikoi shakhs kisi se kahe ki Allah se Daro aur wo kahne lage ke Tu apni fikar kar.“
Binaa kisi khas wajah se Talaaq mangne waali Aurat ka hashr Thawban (R.A) se riwayat hai ke, RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya "Jo Aurat bina koi khas wajah ke Shohar se Talaaq talab karey tou uss par Jannat ki Khushbu haraam hai." 📕 Sunan Abi Dawud 2226-Sahih थवबान (रज़ीअल्लाहु अन्हु) से रिवायत है के, रसूलअल्लाह (ﷺ) ने फ़रमाया: "जो औरत बिना कोई खास वजह के शोहर से तलाक मांगे तो उस पर जन्नत की खुशबु हराम है।" 📕 सुनन अबू दावूद 222-सहीह ثوبان رضی اللہ عنہ کہتے ہیں کہ رسول اللہ صلی…
Sabse Bura Aadmi Wo hai Jiski Badzubani ki wajah se ... Jiski Badzubani ki wajah se Log Us se Milna Chhor de RasoolAllah (ﷺ) farmate hai ke: "Logo me Sabse Bura Aadmi Wo hai Jiski Badzubani ki wajah se Log Us se Milna Chhor de." 📕 Bukhari: Hadees 6054
Hadees: Sabse se Zyada Barqat wala Nikah Sabse se Zyada Barqat wala Nikah Hadees: Aaisha (R.A.) se riwayat hai ke, Rasool'Allah (ﷺ) ne farmaya: "Sabse se Zyada Barqat wala Nikah woh hai, jisme Mehnat, Mashaqqat aur Kharch kum ho." 📕 Musnade Ahmed, Hadees 24529
Allah ke Nazdeek Sabse Pyari aur Boori Jagah: Hadees Hadees: Allah Ke Rasool (ﷺ) farmate hai: "Allah ke Nazdeek Saari Aabadiyo me Sabse Pyari Jagah Uski Masjide hai aur Sabse Boori Jagah Bazar hai." 📕 Sahih Muslim; Hadees: 671 Beshaq Allah ko aisi Masjide Pasand hai Jaha Khalis Allah ki Ibadat ho, aur Jaha Kitabo Sunnat par Dars ho. Warna Surah Taubah me Allah Ta'ala ne Apne Nabi ko Ek aisi Masjid bhi Todney ka Hukm diya Jo Munafiqo ne Mehaz is liye Tamir Ki thi ke Ummat Me…
Jab tum Murghe ki Aawaaz suno tou Allah Ta'ala se… ۞ Hadees: Abu hurairah (R.A.) se riwayat hai ke, Allah ke Rasool (ﷺ) ne farmaya: "Jab tum Murghe ki (baang)Aawaaz suno tou Allah Ta'ala se uska fazl mango, kyun ke wo farishta dekh kar Aawaaz lagata hai aur Jab tum Gadhe(Donkey) ki Aawaaz Suno tou shaitan se Allah ki panah mango, kyun ke wo shaitan ko dekh kar Aawaaz nikalta hai." 📕 Sunan Abu Dawood 5102-Sahih 📕 In-book refe:Book 43, Hadith 330 ❝ Auzu Billahi Minash Shaitanir Rajim ❞ (Allah…
Allah Ta'ala Zaalim ko Chand Roz ki Mohlat deta rehta hai Allah Ta'ala Zaalim ko Chand Roz ki Mohlat deta rehta hai ✦ Hadees: Abu Musa (R.A.) se riwayat hai ke, RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya: Allah Ta'ala Zaalim ko chand roz duniya me muhlat deta rehta hai lekin jab pakadta hai toh phir nahi chodta. Rawi ne bayan kiya ke phir Aap (ﷺ) ne is aayat ki tilawat ki: { وَكَذَلِكَ أَخْذُ رَبِّكَ إِذَا أَخَذَ الْقُرَى وَهْىَ ظَالِمَةٌ إِنَّ أَخْذَهُ أَلِيمٌ شَدِيدٌ } "Aur tere Parwardigar ki pakad issi tarha hai,…
Har acchi baat sikhana aur har buri baat se rokna Sadqa hai Hadees: Abu Dharr (R.A) se riwayat hai ki kuch (Gareeb) Sahabi Allah ke Rasool (ﷺ) ke paas aaye aur arz kiya: "Ya RasoolAllah (ﷺ) ! maal wale sara sawab kama kar le gaye! isliye ki wo Namaz padhte hai jaisa ki hum namaz padhte hai aur Roza rakhte hai jaisa ki hum roza rakhte hai aur apne zyada maalo se Sadqa bhi detey hai. Tou aap (ﷺ) ne farmaya: Tumhare liye bhi tou Allah Subhanahu Ta'ala ne sadqe ka samaan…
Hadees: Haq baat na manna aur logon ko haqeer… Hadith: 5-May: Ibne Masood (R.A.) se riwayat hai ke, Allah ke Rasool (Salallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya: ‟Haq baat na manna aur logon ko haqeer samjhna Takabbur(ego) hai. -Muslim 275
Al-Quran: Aye Nabi (ﷺ)! Aap mere (Momin) bando se… Wahi baat kaha kare jo behtareen ho ۞ Bismillah-Hirrahman-Nirrahim ۞ Allah Taala Quraan me farmata hai: "Aye Nabi (ﷺ)! Aap mere (Momin) bando se keh dijiye ke wahi baat kaha kare jo behtareen ho." 📕 Surah Bani Israeel 17:53
Kabira Gunaah : 4 Sabse Badey Gunah Hadees of the Day Gunah e Kabira : 4 Sabse Badey Gunah Anas (R.A) se riwayat hai ki,RasoolAllah (ﷺ) se Badey (Kabira) Gunaahon ke Baarey me pucha gaya: Tou Aap (ﷺ) ne farmaya – 1. Allah ke Saath Kisi ko Sharik Karna (Shirk),2. Waliden(Parents) ki Nafarmani Karna,3. Kisi ki (Nahaq) Jaan Lena,4. Aur Jhooti Gawahi Dena. 📕 Sahih Bukhari, Hadith 2653 Allah Rabbul Izzat humey Tamam kism ke Kabira aur Sageera gunaaho se Bachaye,Ameen Allahumma Ameen
Aao Uss Baat Ki Taraf Jo Aap aur Hum'me Yaksa Hai .... Allah Rabbul Izzat Ne Aalami Aman Ke Liye Quraan Me Nuskha Bhi Batla Diya. ♥ Al-Quraan : Bismillah-Hirrahman-Nirrahim !!! "Aye Ahle Kitab! Aao Uss Baat Ki Taraf Jo Aap aur Hum'me Yaksa Hai, Ke Hum Allah Ta'ala Ke Siwa Kisi Ki Ibadat Na Kere, Na Uske Sath Kisi Ko Shareek Banaye, Na Allah Ta'ala Ko Chor Ker Aapas Me Ek Doosrey Ko Hi Rab Banaye. Pus Agar Woh Mooh Pher Le Tou Tum Keh Do Ke Gawah Raho Hum Tou…
Sabse Behtar Rozi Mehnat karke Khana Hai - Mehnat ki… Hadees: Mehnat ki Kamayi ki Ahmiyat Miqdam (R.A) se riwayat hai ki, RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya - "Kisi Insan ne Uss Shakhs se Behtar Rozi nahi Khayee Jo Khud Apne Haathon se Kamakar Khata hai, Allah ke Nabi Dawood (Alaihay Salam) bhi Apne Haatho se Kaam karke Rozi khaya karte they." 📕 Sahih al-Bukhari, Hadees 2072
Hadees: Iman ka Sabse kam Darja Iman ka Sabse kam Darja Abu Saeed Khudri (R.A.) se riwayat hai ki RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya: "Tum Mein se jo Shaksh koi buri baat dekhey aur usko apney haath se rok de to wo Shaksh (zimmey se) bari ho gaya, Agar usmein itni Taqat na ho aur wo Zuban se rokey to wo bari ho gaya , aur agar itni bhi Taqat na ho to wo Dil se bura Samjhey to wo bari ho gaya ye imaan ka Sabse…
Meezan me Sabse Bhaari acche Akhlaq (Hadees) Meezan me Sabse Bhaari acche Akhlaq Allah ke Rasool (ﷺ) ne farmaya : Meezan me Sabse Bhaari Cheez Acche Akhlaq Hoga. 📕 Sunan Abu Dawood; 4799, Sahih
Allah ke Nazdeek Sabse Napasandida Jagah Bazaar Allah ke Nazdeek Sabse Napasandida Jagah Bazaar Allah ke Rasool (ﷺ) ne farmaya ke: "Allah ke Nazdeek (insani) Aabadiyon ka sabse Napasand Hissa unke Bazaar hai." 📕 Sahih Muslim, Hadees: 671 (1528)