Allah Ke yaha Sabse zyada Mehboob wo Shaks hai Jo ♥ Mafhoom-e-Hadees: Ek Aadmi Rasool'Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) ke paas aaya aur kaha "ya RasoolAllah (Sallallahu Alaihay Wasallam) ! kounsa shakhs Allah subhanahu ko zyada mehboob hai aur kounsa amal Allah subhanahu ko zyada pasandida hai ? ..." *Aap (Sallallahu Alaihay Wasallam) ne farmaya: "logo me sabse zyada mehboob Allah Subhanahu ke yaha wo shaks hai jo logo ko sabse zyada Nafa dene wala hai aur Allah subhanahu ko sabse zyada pasandida amal wo khushi hai jo musalman kisi dusre muslaman ko de ya us ki Musibat door kar de ya uska Qarz ada kar de ya uski bhookh khatam…
Sahaba-e-Kiram (RaziAllahu Anhu) Ki Shaan .... ♥ Mafhoom-e-Hadees: Anas Bin Malik (RaziAllahu Anhu) Se Riwayat Hai Ki, Rasool'Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Farmaya - *Meri Ummat Me Sabse Zyada Reham Dil Abu Bakr (RaziAllahu Anhu) Hai, *Aur Unme Se Allah Ke Deen Ke Bare Me Sabse Zyada Sakht Umar (RaziAllahu Anhu) Hai, *Hayaa Ke Aitbar Se Sabse Sacchhey Usman (RaziAllahu Anhu) Hai, *Aur Sabse Achcha Faisla Karne Waale Ali Ibne Abu Talib (RaziAllahu Anhu) Hai. *Allah Ki Kitab Ko Sabse Umdah Padhne Waale Ubai Bin Ka'ab (RaziAllahu Anhu) Hai, *Aur Sabse Zyada Haraam Aur Halaal Se Waqif Muadh Ibn Jabal (RaziAllahu Anhu) Hai, *Faraiz Me Sabse…
Sabse Zyada Izzat Wala woh hai jo ... Aaj ki Aayat | Verse Of The Day Sabse Zyada Izzat Wala woh hai jo ۞ Bismillah-Hirrahman-Nirrahim ۞ " Allah ke Nazdeek Sabse Zyada Izzat wala Woh hai Jo Sabse Zyada (Allah se) Darne wala hai." 📕 Quran, 49:13
Sabse Burey Shakhs Shahenshah/Shahjahan Naam Wale ♥ Mafhoom-e-Hadees: Abu Huraira (Razi'Allah Anhu) Se Riwayat Hai Ke, Rasool'Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Farmaya - "Qayamat Ke Din Allah Ta’ala Ko Sabse Zyada Ghussa Dilane Wala Aur Badtar (Extremely Bad) Shakhs Wo Hai, Jiska Naam Shahenshah / Shahjahan Hoga". - (Muslim Sharif, Book. 2, Pg No 208) » Sabaq: Because There Is No King But Allah, The Exalted And Glorious.
Allah sabse Zyada Raham karne wala aur Muaf karne wala hai Hadith : Allah Subhanahu sabse zyada Raham karne wala aur Muaf karne wala hai Abu Dhar Radi Allahu Anhu se rivayat hai, RasoolAllah ﷺ ne farmaya : "Qayamat ke din ek Admee ko laya jaega aur kaha jayega uske chote chote Gunah Uske samne pesh karo wo gunah uske samne laye jayenge jabki bade gunah us sey chupaliye jayenge. kaha jayega tuney falah falah din ye kaam kiya tha wo Iqrar karega, inkar Nahi karega aur bade Gunah se darr raha hoga, kaha jayega ussay har burayee ke badle ek neki de do, wo ye sunkar kahega mere aise bhi…
Ladki Ki Nikah Ke Liye Razamandi .... ♥ Mafhoom-e-Hadees: Abu Huraira Wa Abdullah Bin Abbas (RaziAllahu Anhu) Se Riwayat Hai Ke, Rasool-e-Kareem (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Irshad Farmaya - "Kuwaari Ladki Ka Nikah Na Kiya Jaye Jab Tak Uski Razamandi Na Hasil Kar Li Jaye Aur Uska Chup Rehna Uski Razamandi Hai, - Aur Na Nikah Kara Jaye Bewah(Widow) Ka Jab Tak Usse Ijazat Na Li Jaye". - (Tirmizi Sharif Jild 1, Safa 566) ♥ Mafhoom-e-Hadees: Hazrate Aayesha (RaziAllahu Anha) Ne Arz Kiya - "Ya RasoolAllah! Kuwari Ladki Tou Nikah Ki Ijazat Dene Me Sharmati Hai." Aap (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Farmaya - "Uska Khamosh Ho Jana…
Qayamat me RasoolAllah ke Sabse Qareeb aur Door Rehne wale… Jabir bin Abdullah (R.A) se riwayat hai, RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya - "Tum me se mujhe sab se zyada Mehboob aur Qayamat wale din mere sab se zyada Qareeb wo log honge Jo tum me se Akhlaaq me sab se zyada acche hongey. Aur tum me se sabse zyada mujhe Napasand aur qayamat wale din mujh se sabse zyada door wo log honge jo Takllluf se zyada baate karne wale, bacchey khol kar taweel guftagu karne wale aur takabbur karne wale honge." 📕 Sunan Tirmazi: 2018, Silsilah-Al-Sahiha: 791
Gaali Galoch aur Baddkalami Karne wala Allah ke Nazdeek… ♥ Mafhoom-e-Hadees: Abu Hurairah (RaziAllahu Anhu) Se Riwayat Hai Ki Rasool'Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Farmaya Ki - "Do Shakhs Jab Gaali-Galoch Kare Tou Dono Ka Gunaah Usi Par Hoga Jo Ibtida (Shuruaat) Karega, Jab Tak Mazloom(Zulm Sehne Wala) Jiyadati Na Kare" - (Sahih Muslim) ♥ Mafhoom-e-Hadees: Abdullah (RaziAllahu Anhu) Se Riwayat Hai Ki Rasool'Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Farmaya - "Musalman Ko Gaali Dena Fisq (Belong to Fasiq) Hai aur Qatl Karna Kufr Hai". - (Sahih Bukhari) ♥ Mafhoom-e-Hadees: Ummul Momeneen Aayesha (Razi'Allaho Anha) Se Riwayat Hai Ki, Rasool'Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Farmaya - "Mardo Me Sabse Bura…
Salam me pehal wo hi karta hai jo Allah se Qareeb ho ✦ Hadith: Sabse pehle Salam koun karta hai ? ✦ Abu Umamah (R.A) se Riwayat hai ke, RasoolAllah (ﷺ) se kisi ne puchha ke jab Aadmi ek doosre se mile tou un dono me se koun pehle Salaam kare?... Aap ﷺ ne farmaya: "Jo un dono me Allah ke Nazdeek Zyada Behtar ho." - (Jami` at-Tirmidhi 2694 @ www.ummat-e-nabi.com/home) अबू उमामा (र.अ.) ने बताया के : "उन्होंने कहा: 'हे अल्लाह के पैगम्बर ﷺ ! जब दो पुरुष मिलते हैं, तो उनमें से कौन सलाम शुरू करता है?' .. पैगम्बर ﷺ ने कहा: 'वो जो अल्लाह के निकटतम हो ।' -…
Kaafir ya Mushrik, Mard/Aurat se Nikah karna kaisa hai ? Allah Raabul Izzat Qurane Kareem me Farmata hai: "Aur tum Shirk karne wali aurton se us waqt tak Nikah na karo jab tak ke wo eemaan na laaye, Eemaan wali laundi(Slave) bhi shirk karne wali azaad aurat se behtar hai, chahe wo tumhe achi hi lagti ho, aur Shirk karne wale mardon ke Nikah me apni aurton ko na do jab tak ke wo eemaan na laye, eemaan wala gulaam, azaad Mushrik se behtar hai, chahe tumhe mushrik hi acha lage, yeh Jahannam ki taraf bulate hai aur Allah Rabbul Aalameen Jannat ki taraf, aur apni bakshish ki taraf apne…
Hadith: Qataa Rahmi (Rishte todne) wala Jannat me nahi… Hadith: 27-March: Jubair bin Mut`im (R.A) se riwayat hai ke, RasoolAllah (Salallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya “Qataa Rahmi karney wala (Yaani Rishtey todney wala) jannat me nahi jayega.” -Sahih Bukhari, Hadith: 5984 ✦ हिंदी हदिस: जुबैर बिन मुतिंम रज़ी अल्लाहु अन्हु से रिवायत है के, नबी-ऐ-करीम (सलाल्लाहू अलैहि वसल्लम) ने फ़रमाया “कता रहमी करनेवाला (यानी रिश्ते तोड़ने वाला) जन्नत में नहीं जायेगा” -सही बुखारी, हदीस 5984 ✦ Hadith: Narrated Jubair bin Mut`im: That he heard the Prophet (ﷺ) saying, "The person who severs the bond of kinship will not enter Paradise." -Sahih Bukhari, Hadith: 5984 For more Islamic messages kindly…
Apne Darmiyan Salaam Ko Phailao ..... ♥ Mafhoom-e-Hadees: Abu Hurairah (RaziAllahu Anhu) Se Riwayat Hai Ki, Rasool'Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Farmaya - *Qasam Hai Uss Zaat Ki Jiske Qabze Me Meri Jaan Hai! *Tum Jannat Me Tab Tak Dakhil Nahi Ho Sakte Jab Tak Ki EmaanWale Na Ho Jaye, *Aur Tum Tab Tak EmaanWale Nahi Ho Saktey Jab Tak Aapas Me Mohabbat Na Karne Lag Jao, *Tou Kya Mai Tumhe Aisee Baat Na Bataa Du Ki, Jab Tum Usko Karoge Tou Aapas Me Mehboob Ho Jaoge ,... "Apne Darmiyan Salaam Ko Phailao"(Yaani Zyada Se Zyada Salaam Kiya Karo). - (Sunan Ibn Majah, Vol#1, Hadith no.…
Hadees: Tum Qayamat ke din apne aur apne baap ke naam se… Hadith: 10-June: Abu Darda (R.A.) se riwayat hai ke, Rasool'Allah (Salallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya: ‟Tum Qayamat ke din apne aur apne baap ke naam se pukaare jaoge, isiliye acche naam rakha karo. 📕 Abu Dawood 4948