Achchi Baaton ka Hukm do magar khud bhi Amal karo ♥ Mafhoom-e-Hadees (Roman Urdu) Usama Bin Zaid (R.A) se riwayat hai ke Rasool Allah ﷺ ne farmaya: *"Qayamat ke din ek shakhs laya jayega aur usay Jahannum me dala jayega. Uske pait ki aantain (intestines) bahar nikal aayengi, aur wo gadhe ki tarah chakki ghoomne wala chakker lagayega. Jahannum wale uske paas aakar kahenge: ‘Aye falan! Kya tum logon ko nek amal ka hukm nahi karte they aur burai se nahi rokte the?’ Wo jawab dega: ‘Main zaroor hukm deta…
Kisi ka Samaan Uthaane me Madad karna bhi Sadqa hai ♥ Mafhoom-e-Hadees: Nabi-e-Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya, “Kisi shakhs ka samaan uthaane mein madad kar dena bhi sadqa hai” – (Bukhari; 2989) ♥ मफहूम-ऐ-हदीस: नबी-ऐ-करीम (सलाल्लाहू अलैहि वसल्लम) ने फ़रमाया, “किसी का सामान उठाने में मदद कर देना भी सदका है” – (बुखारी; 2989) For more Islamic messages kindly download our Mobile App
Logo ki Zaroorat poori karne wale Allah ke Azab se… ♥ Mafhoom-e-Hadees: Abdullah ibn Umar (RaziAllahu Anhu) se Riwayat hai ke, Allah ke Rasool (Sallallahu Alaihay Wasallam) ne farmaya: "Allah Ta'ala ne Kuch Bando ko Logon ki Zaroorate poori Karne ke liye Paida Farmaya, Log unke Paas Apni Jarurat Le kar Jaate hai, Logo ki Zaroorat poori karne wale Yeh Log Allah ke Azab se Mehfooz rahenge." - (Tabraani Kabeer, 13334) ♥ मफहूम-ऐ-हदीस ﷺ अब्दुल्लाह इब्ने उमर (रजीअल्लाहु अन्हु) से रिवायत है के, अल्लाह के रसूल (सलल्लाहू अलैहि वसल्लम) ने…
Jisko Amal piche karde uska Nasab usey Aage nahi kar sakta Jisko Amal piche karde uska Nasab usey Aage nahi kar sakta Ek doosre ki pehchan aur ek doosre ka ta’arruf ho isliye Allah ﷻ ne insano ko mukhtalif ansaab (khandano) me baant diya hai. Agar koi Shakhs Iman na laye, Naik Amal na kare, Roza, Namaz ki pabandi na kare aur kahe ke mai Aala Nasab (Khandan) ka hu, Mai Quraishi/Sayyed Khandan se ta’alluq rakhta hun tab bhi uska ye kehna Allah ke yahan usey koi fayda pohchane wala nahi. Allah ke samne koi ye uzr nahi pesh kar…
Behayai Phailane wale ke liye Dardnak Azaab ✦ Bismillah-Hirrahman-Nirrahim ✦ "Jo Log yeh Pasand karte hai ke Behayaee Musalmano me Khoob Phaile tou Unko Duniya aur Aakhirat me Dukh dene waala Azaab hoga, Allah sab kuch janta hai aur tum kuch bhi nahi jantey" 📕 Al-Quran; Sureh-Noor 24:19
Allah Ta'ala Sakht Azaab dene wala aur Bakshshne… Allah Ta'ala Sakht Azaab dene wala aur Bakshshne wala bhi hai Allah Ta'ala Farmata Hai: “Jaan Lo! Bila Shubha Allah Ta'ala Sakht A'zaab Dene wala hai aur Bila Shubha Allah Ta'ala bohot Bakhshne wala aur Nihayat Raham wala hai.” 📕 Surat-ul-Maaidah : 98
Allah ke Siwa koi ek Makkhi bhi Paida Nahi kar Sakta Allah ke Siwa koi ek Makkhi bhi Paida Nahi kar Sakta Allah Taala farmata hai: "Allah ke Alawa jin jin ko tum pukarte ho, Woh Hargiz ek Makkhi bhi paida nahi kar sakte, agarche wo sab is kaam ke liye ikhatte hi ho jaye." 📕 Quran 22:73
Jo Shakhs Juma ke din Apni Biwi ko Gusal karwaye aur… Hadees of the Day Jo Shakhs Juma ke din Apni Biwi ko Gusal karwaye aur khud bhi Gusal kare Aws bin Aws (R.A) se riwayat hai ki RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya: "Jo Shakhs Juma ke din (Apni Biwi) ko gusal karwaye aur khud bhi gusal kare phir namaz ke liye jaldi jaye, paidal jaye aur sawar hokar na jaye aur imam ke nazdeek hokar khutba suney aur behuda baat na kare to uske har qadam par usko ek saal ke…
KhudKhushi ki Wajah, Azab aur Iska Ilaaj KhudKhushi (Suicide) in Islam ۞ Bismillah-Hirrahman-Nirrahim ۞ KhudKhushi (Suicide) ka Matlab hai Insan ka Apne Aap ko kisi bhi Zariye se Amdan Qatal karna. Khudkushi Karna Haraam hai aur Kabeerah Gunaah hai. Khudkhushi karna Haram hai : Allah Taala Quraan-e-Kareem me Irshad farmata hai : "Aur jo koi kisi Momeen ko Qasdan (Danista) Qatal kar Daale tou iss ki Saza Jahannum hai, Jis me woh Hamesha rahega, Iss par Allah Ta'ala ka Gazab hoga aur Iss par Allah ne La'anat…
Hadees: Jab Aadmi apni Biwi ko paani pilaata hai tou… Hadees: Irbaz bin Saariyah (R.A.) se riwayat hai ke, Allah ke Rasool (ﷺ) ne farmaya: "Jab Aadmi apni Biwi ko paani pilaata hai tou uspar bhi Sawaab diya jata hai." 📕 Musnade Ahmed, Hadees 17155
Islamic Quiz 259 : Wo kaunsi Qoum hai jis par Allah… Wo kaunsi Qaum hai jis par Allah ka Azab 7 raat aur 8 din tak lagatar aata raha ? | Options : A. Qaum e Aad, B. Qaum e Samud, C. Qaum e Loot, D. Qaum e Nooh
3 Batey Jise Haqeeqat aur Mazak me kehna bhi Haqeeqat hai ♥ Mafhoom-e-Hadees: Abu Hurairah (RaziAllahu Anhu) se riwayat hai ki, Rasool'Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) ne farmaya: "Teen Baatey Aisee hain jisko Haqeeqat me kehna bhi haqeeqat hai aur Mazak me kehna bhi Haqeeqat ho jata hai , (Wo teen Baatey hai) Nikah, Talaq aur Ruju (yaani Talaaq ke baad Biwi ko wapas apna lena)." - (Sunan Ibn Majah, JIld 2, 196-Sahih)
Diwaliya aur Muflis Kaun? | Gaali Galaoch aur Geebat… Diwaliya aur Muflis Kaun?Gaali Galaoch aur Geebat karne ka Azab Hadees: Abu Hurairah (R.A) se riwayat hai ke, ek baar Nabi-e-Kareem (ﷺ) ne sahaba se farmaya 'Kya tum jante ho Diwaliya aur Muflis kaun hai? ' Sahaba ne arz kiya ki "Humare yahan tou Diwaliya usey maana jata hai jiske paas na ek Dirham ho aur na tou koi Saamaan!" Aap (ﷺ) ne farmaya: "Meri Ummat ka Muflis wo hai jo Qayamat ke din apne Roza, Namaz aur Zakat ko saath…
Mutakabbir ka Anjam | Ghamand karne wale ko Qayamat me Azab Mutakabbir ka AnjamGhamand karne wale ko Qayamat me Azab Hadees: RasoolAllah (ﷺ) ne farmya "Qayamat ke din Mutakabbir (Ghamand karne wale) logo ko maidan e mahshar mein choti choti chiteeyon ki manind logo ki surton mai laya jayega innhen har jagah zillat dhanpe rehegi, Phir wo Jahannam ke ek aise Qaidkhane ki taraf hanke jayenge jiska naam Bulas hai, usme innhen Bhadakti huyee Aag ubalegi, Wo usme jahannamiyo ke zakhmo ke peep peeyenge jisko teenat Al Khabal kahte hain, yaani…
Jo Mushkil Waqt me bhi Allah Ki Raah me Kharch Karte Jo Mushkil Waqt me bhi Allah ki Raah me Kharch Karte ۞ Bismillah-Hirrahman-Nirrahim ۞ "Jo Mushkil Waqt me bhi Allah ki Raah me Kharch karte aur Apne Gusse ko roktey hai, Allah Ta'ala Unsey Mohabbat rakhta hai." 📕 Surah: Al-Imran; 3:134