♥ Mafhoom-e-Hadees: Abu Hurairah (RaziAllahu Anhu) Riwayat Karte Hain Ki,
Rasool’Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Farmaya: “Allah Ki Panah Maango Mohtaaji Se Aur Kami Aur Zillat Se
Aur Zulm Karne Se Aur (Apne Upar) Zulm Kiye Jane Se.” – Sunan Ibn Majah , Hadith no. 3842
♥ In’sha’Allah ul Azeez !
Allah Taala Hume Kehne Sun’ne Se jyada Amal ki taufik Dey ,..
Allah tumhare Dil aur Amal ko dekhta hai Allah tumhare Dil aur Amal ko dekhta hai RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya : "Beshaq Allah Ta'ala Tumhari Suraton aur Tumhare Malon ko Nahi Dekhta Balki Tumhare Dilon aur Tumhare A'amaal ko Dekhta hai.” 📕 Sahih Muslim, Hadees : 2564
Allah Hates: Allah Ta'ala uss shakhs se Nafrat karta… Hadees: Abu Hurairah (R.A.) se riwayat hai ki, Rasool'Allah (ﷺ) ne irshad farmaya ke - "Allah Ta'ala uss shakhs se Nafrat karta hai jo sakht mijaz ho, Zyada khane wala ho, Bazaro me chikhne wala ho, Raat me murde ki tarah (padaa sota rehta) ho, din me gadhe ki tarah (duniyawi kaamo me zikr-e-ilahi ke bagair fansa rehta) ho, Duniya ke muamlo ka jaan'ne wala aur Aakhirat ke Umoor se bilkul jaahil (bekhabar) ho." 📕 Ibn Habban: 1/274
Jo Zulm se Qatl kar diya jaye wo Shaheed hai ✦ Hadith : Roman Urdu: Abu Jafar (RaziAllahu Anhu) se riwayat hai ki, Mai Suwaid bin Muqarrin (RaziAllahu Anhu) ke paas baitha tha aur unhoney kaha ki, Rasool'Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) ne farmaya hai ki: "Jo Zulm se Qatl kar diya jaye wo Shaheed hai." - Sunan Nasaii, Vol 3, 398-Sahih ✦ English Hadith: The One Who Fights to Protect Himself Against Injustice It was narrated that Abu Ja'far said: "I was sitting with Suwaid bin Muqarrin, and he said:…
Sood Na Khao Aur Allah Ta'ala Se Daro Bismillah-Hirrahman-Nirrahim"Momino! Badha Chadha kar Sood naa Khao aur Allah Ta'ala se Daro Taake Tumhe Nijaat Miley.aur Uss Aag se daro jo Kafiron ke liye Tayyar ki Gaee hai.Aur Allah aur Uske Rasool ki Farmabardaari karo taake Tum per Reham kiya jaaye,Aur Apne Rab ki Bakshish ki taraf aur Uss Jannat ki taraf Daudo jisska Araz Aasamano aur Zameen ke Baraabar hai jo Parhezgar ke kiye Tayyar ki gaee hai".[ Surah Al-Imran, 3:130-133 ]
Hadees: Allah ke Hukm ki hifazat karo, Allah tumhari… Allah ke Hukm ki hifazat karo, Allah tumhari hifazat karega Allah ke Rasool (ﷺ) ne farmaya: "Tum Allah Taala ke Hukm ki hifazat karo, Allah Taala tumhari hifazat karega." 📕 Tirmizi, Hadees 2516
Hadees: Zulm ke Badley Nek Amal le liya jayega ⭐ Hadees: Abu Hurairah (RaziAllahu Anhu) se riwayat hai ke,Rasool'Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) ne farmaya - "Agar kisi Shakhs ne kisi Dusre ki Izzat ya koi aur Cheez par Zulm kiya hoTou Us se Aaj hi Uss din (Qayamt) ke Aane se pahle Muaf karwa le!Jis Din na Deenar honge na Dirham balki Uska koi Nek amal hogaTou Uss Zulm ke badle Wohi le liya Jayega aur Agar koi Neik Amal uske paas nahi hoga tou Uss Mazloom (Jispar Zulm…
Al-Quran: Tumhaari Doulat aur Aulaad tumhe Allah ki… ۞ Bismillah-Hirrahman-Nirrahim ۞ Tumhaari Doulat aur Aulaad tumhe Allah ki yaad se Gaafil na kar de Allah Taala Quran me farmata hai: "Aye Imaan waalo! Tumhaari Doulat aur tumhaari Aulaad tumhe Allah ki yaad se Gafil na karne paye aur jo log aisa karenge, woh bade ghaate ka souda karne waale honge." 📕 Surah Al-Munafiqun 63:9
Purey yakin se Allah se Dua mange kyunki Allah ke… Purey yakin se Allah se Dua mange Hadees: Abu Huraira (R.A) ne kaha ki, RasoolAllah (ﷺ) ne Irshaad farmaya: "Jab tum me se koi Dua kare tou yeh na kahe ki 'Ya Allah mujhe bakhsh de agar tu chahe tou, mujh par reham farma, agar tu chahe tou mujhe rizq de,' balki yakin ke sath Dua kare Kyuki Allah Ta’ala jo chahata hai karta hai aur koi uss par zabardasti karne wala nahi hai." 📕 Sahih al-Bukhari, Hadees: 6339
Hadees: Qarz ki adaaigi par qudrat ke bawajood taal… Hadith: 18-April: Abu Hurairah (R.A.) se riwayat hai ke, RasoolAllah (Salallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya: ‟Qarz ki adaaigi par qudrat ke bawajood taal matol karna Zulm hai. 📕 Muslim 4085
Ramadan Day 20 | Roza Allah ke liye hai aur Allah hi… Ramadan Day 20 ✦ Hadees: Abu Huraira (R.A.) se riwayat hai ki, Rasool'Allah (ﷺ) ne farmaya:"Allah Ta'ala farmata hai: "Ibne Aadam ka har amal uske liye hai siway roze ke, Roza Mere liye hai Aur mai hi uska Badla dunga...
Al-Quran: Allah ne Tijarat ko Halal kiya aur Sood ko Haram Allah ne Tijarat ko Halal kiya aur Sood ko Haram Allah Taala Quran me farmata hai: "Allah Taala ne Tijarat (Business) ko Halal kiya hai aur Sood ko Haram karar diya hai." 📕 Surah Baqraah 2:275
Momeen Ko Munafiq Ke Zulm Se Bachane Ka Silaah Momeen Ko Munafiq Ke Zulm Se Bachane Ka Silaah Hadees: Abu Hurairah (R.A) se riwayat hai ki, RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya - "Jisne kisi Momeen ko Munafiq ke Sharr (Zulm) se bachaya tou Allah Subhanahu Ta'ala Qayamat ke din ek Farishta bhejega jo uskey Gosht ko jahanamma ki aag se bachayega aur jisney kisi Musalman par tohmat lagayee jis sey uska maqsad uss Musalman ki burayee ho tou Allah Ta'ala usey jahannum ke pool par rok dega yahan tak ki…
Hadees: Jo koi apne Ghulam ko Zulm se marega tou… Hadith: 16-April: Ammar bin Yasir (R.A.) se riwayat hai ke, RasoolAllah (Salallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya: ‟Jo koi apne Ghulam (naukar wagaira) ko Zulm se marega tou Qayamat ke din maalik se badla liya jayega. 📕 Musnade Ahmed 1399
Allah Rehman hai aur uska Azab bhi Dardnak hai Allah Rehman hai aur uska Azab bhi Dardnak hai Allah Taala farmata hai: "Mere Bando ko Khabar de do Ki Main bohot bakhshne wala aur bada hi Meharbaan hoon. Aur Saath hi Mera Azab bhi Dardnak hai." 📕 Quran 15:49-50