3 Tarha ke Logon ke khilaf Allah Khud Gawahi dega | Allah will be an opponent to three types of people

TRANSLITERATION

3 Tarha ke Logon ke khilaf Allah Khud Gawahi dega

Hazrate Abu Hurairah (R.A) se Riwayat hai ki,
RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya ki Allah Ta’ala ka farman hai :

“Teen (3) tarah ke log aise hain jiska Qayamat ke din Mai khud muddaii (opponent/khilaf) banunga”

(1). Ek tou wo shakhs jis ne mere Naam par Ahad (Waada) kiya
aur phir waada khilafi ki,

(2). Dusra wo shakhs jisne kisi Aazad Aadmi ko
baich kar uski Qeemat khayi,

(3). Teesra wo shakhs jis ne kisi ko Mazdoor kiya
phir kaam tou uss se pura kiya lekin uski mazdoori na di.

📕 Sahih Bukhari, Hadees 2270

Allah Reham kare, Aaj ye muamlaat to bilkul aam nazar aa rahe hai,
Allah hum Sabko in khabahat se bachaye,

Hume Huqooq Allah aur Huqooq Al ibad me kotahi se bachaye,
Ameen! Allahumma Ameen.


ENGLISH HADITH

Allah will be an opponent to three types of people on the Day of Resurrection

Narrated Abu Hurairah (ra): The Prophet (pbuh) said,
“Allah said, ‘I will be an opponent to three types of people
on the Day of Resurrection:

One who makes a covenant in My name,
but proves treacherous;

One who sells a free person (as a slave)
and eats his price; and

One who employs a labourer and takes full work
from him but does not pay him for his labour.’

📕 Sahih Al-Bukhari, Volume No. 3,
📕 The Book of Hiring, Hadith No. 2270

Leave a Reply