Wo Mushrik kehlaye is Amal par tou Hum Momin kaise ?
Mushrikane Makka ki Asal jo Kamjori thi, Asal Jo Unka Shirk tha Wo Tauhid Al-Ibada thi, Ibadat me wo Allah ke siwa Dusro ko bhi Shareek kiya karte they.
Yahi Asal Shirk tha Unka Jiske Liye wo Qayamat tak ke liye Mushrikeen kehlaye. Hala ke wo bhi Allah ko Rab mantey they.
Aur Allah Ta’ala ne Quraan ki chand Ayato me Inka Akeeda bayan kiya aur farmaya ke –
Aye Rasool (ﷺ) ! Aap Puchiye Insey ke koun hai Jo Aasman se Barish ko Barsata hai aur phir Murda Zameen ko Zinda karta hai yeh kahenge “Wo Allah!!!”
Surah Ankabut Ayat 63
Matlab Mushrikeene Makka yeh baat Jantey they ke Wo Allah hi hai Jo Aasman se Barish Barsata hai, Murda Zameen ko Zinda karta hai, Tamam ko Paida karne wala hai ye sab Unke Akeede they, Lekin Asal unka jo Shirk tha Wo Shirk tha Allah ke Ibadat me. Ke Wo Allah ke Alawa bhi Ibadat karte, aur Allah ke Alawa Jin Cheezo ki Iabdat kyu karte ye Akeeda bhi Allah Rabbul Izzat ne Quran me bayan kiya, ke yeh Allah ke Alawa kyu dusre Mabudo ki ibadat karte?
Aur Unke Shirk se Humare Shirk ka bhi InshaAllah Hum Mu’ajna Karenge phir ke kya Unka Shirk tha aur kya Humara Shirk hai?
Aayiye Iss Ayat par Gaur karte hai –
"Alaa lillaahid deenul khaalis"
Aagah ho Jao ke Ibadat tou Sirf Allah hi ke liye Khalis hai!.
"wallazeenat takhazoo min dooniheee awliyaaa'a"
Aur Jin Logon ne Allah ke siwa Dusron ko apna Hajatrawa, Sarparast bana liya hai
jab Insey pucha jata hai ke Allah ko Chodkar dusro ko kyu pukarte ho? tou wo kahte hai ki –
"Maa na'buduhum illaa liyuqar riboonaaa ilal laahi zulfaa."
Hum tou Unki Parastish sirf Isliye karte hai ki yeh log Allah ki Bargah me Hamara tarkab badha denge, Allah se Hume Sirf Nazdeek kar dey.
Yahi tou Shirk tha Muhshreekine Makka ka, ke wo Allah ko Rab Mantey Inke 360 Buto me Sabse bada boot Allah tha ya sabse Upar Afzal Allah ko mantey. Jabki Chotey Chotey kyu ? tou kehte ke hum inki Ibadat nahi karte, Inko Razi aur Khush karte hai taaki ye Allah tak Humari Muradey pohcha dey.
Yaha tou Sirf beech me rakhne ki wajah se yeh Qayamat tak ke liye Mushrik kehlaye aur aaj ka baaz Musalman tou yeh Akeeda rakhta hai ke Allah ke siwa dusre bhi detey hai. ye tou Apne Shirk me Insey bhi Gaya-Gujra hai.
Aur phir Tawheed Parast Apne Aap ko, phir Muslaman Apne Aap ko, aur phir Apne Aapko Jannat ka Mussthik Samjhta hai.
Agar Gunaah ek tou Saja Ek hi Shariyat me, Ek Gunaah ke do Sajha nahi ho sakte.
Tou Gunaah Unka Wo tha ke Bich me bana liye they Awliya. yeh sochtey they ke Inke Jarye hum Allah tak pohoch sakte hai. aur kehte bhi they ke Hum Inn buto ki Ibadat nahi karte bus yeh jo kuch bhi kar rahe hai sirf Allah se Nazdeeki ke liye ho raha hai.
Aur Aajka Humara Akeeda kya hai ? Hum Inki Ibadat nahi karte. Inke Jarye Allah tak pohochtey hai. yahi tou Shirk tha Mushrkin ka phir wo Mushrik kehlaye Iss Amal par aur Hum Momin Kehlaye Usi Amal par.
Yeh Kaise ho sakta hai? Ek Kaam par 2 Lable kaise diya jayega? Ek hi diya jayega..
Galat tou Galat ! sahi tou sahi. Kya Islam me Aaney ke baad yeh sab Cheeze Jayaz ho gayi humare liye?
Nahi Bilkul bhi Jayaz nahi hoti yaad rakhiye
Aur Allah Ta’ala Apne kitab me wajahat bhi kar chuka hai ke –
Aye Nabi (ﷺ) Aap Dekhoge Aksar Log Imaan ke Dawe ke bawajood siway Shirk ke aur kuch bhi nahi karte ..
📕 Surah Yusuf: Ayat 106
Phir Hume gaur karna chahiye ke kahi Humara muamla tou aisa nahi ke hum Tawheed ki baat kar rahe hai aur siway Shirk ke Hum kuch bhi nahi kar trahe.
SABAQ: Lihaja Hum Tamam ko chahiye ke apne Amaal aur Aqeede ka Muhasba karey aur sahih Ilm ke zarye apni aur Apno ki Islah karey.
Allah Hume Haq Sunne samjhne ki Taufiq dey..
Jab Tak Hume Zinda Rakhey Islam aur Imaan par Zinda rakhey…
Khatma Humara Imaan par ho.
!!! Wa Akhiru Dawana Anilhamdulillahe Rabbil A’lameen !!!