Taubah Taubah Ye To Sood Hai Bilkul Sood ….

♥ Mafhoom-e-Hadees: Hazrate Abu Saeed Khudri Se Riwayat Hai Ki, Bilal (RaziAllahu Anhu) Nabi-e-Kareem (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ki Khidmat Me Barni Khajur (Achchey Kism Ki Khajur) Lekar Aaye
Nabi-e-Kareem (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Farmaya – “Ye Kaha Se Laye Ho ?”
Unhoney Kaha – “Hamarey Paas Kharab Khajur Thi Uski 2 Saa Iski (Acchhey Khajur Ki) 1 Saa Ke Badley Me Dekar Laye Hain Taaki Hum Ye Aapko Khilaye”,
Rasool’Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Farmaya – “Taubah Taubah Yeh Tou Sood Hai Bilkul Sood !, Aisa Na Kiya Karo, Haan! Agar (Achchi Khajur) Kharidney Ka Irada Hoh Tou (Kharab) Khajur Bech Kar (Uski Qeemat Se) Achchi Khajur Kharida Karo”.
(Sahih Bukhari, Vol 3, Hadees-2312)
» Note: (1 Saa) 2.5kg Banta Hai.

Rate this post

Leave a Reply

Related Posts: