Contents
♥ Bismillah-Hirrahman-Nirrahim ♥
Allah Ta’ala Qur’an mein farmate hain:
“Jo log sagirah gunaahon se aur behayayi ki baaton se bache rehte hain, beshaq tumhara Parwardigar badi bakhshish wala hai, wahi tumko khub jaanta hai. Jab Usne tumko mitti se paida kiya aur jab tum apni maa ke pait mein they, tou takabbur (pride) se apne nafs ki pakeezgi na jataya karo. Jo parhezgar hai usko Allah khub jaanta hai.”
– (Surah Najm, Ayat 32)
Tafseer Ka Nukta
1️⃣ Mufti Ahmed Yar Khan ki Tafseer
- Ye ayat un logon ke liye nazil hui jo apni nekiyon par fakr karte the: “Hamari namazen aesi hain! Hamare roze aise hain! Hum aise!”
- Allah ka jaanna hi kafi hai. Apne taqwa aur taharat ka logon mein dikhawa mat karo.
- Asal lutf ye hai: “Banda kahe: Main gunaahgar hun, aur Rab kahe: Ye parhezgar hai!”
– (Noor-Ul-Irfan, Page 841-842)
2️⃣ Hazrat Sayyiduna Ibn Jurayj ki Tafseer
- Jab aap accha aamal karein, ye na kaho: “Main ne aamal kiya.”
- Apne aamal ko riya aur takabbur se paak rakho.
– (Ihya-Ul-Uloom, Jild 3, Page 452)
Dua aur Hidayat
✨ InshaAllah, Allah Ta’ala se dua karein:
- Humare kehne-sunne se zyada amal ki taufiq ata farmaaye.
- Humare tamaam aamal ko riya aur takabbur ke fitno se paak rakhe.
- Zinda rehne tak Islam aur Iman par qaim rakhe.
- Akhirat mein khatma hamesha iman par ho.
Wa Akhiru Dawana, Alhamdulillahi Rabbil A’lameen!