Hadees: Jo koi apne Ghulam ko Zulm se marega tou… Hadith: 16-April: Ammar bin Yasir (R.A.) se riwayat hai ke, RasoolAllah (Salallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya: ‟Jo koi apne Ghulam (naukar wagaira) ko Zulm se marega tou Qayamat ke din maalik se badla liya jayega. 📕 Musnade Ahmed 1399
Shaitan ki 3 girah (knot) jo wo har insan ke peeche… Shaitan ki 3 girah (knot) jo wo har insan ke peeche raat mein baandh deta hai: Hadees Hadees: Abu Hurairah (R.A) se riwayat hai, RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya ki - "Shaitan insan ke sir ke peeche raat mein sote waqt teen girah (gaath) laga deta hai aur har girah par ye phunk deta hai ki - So ja abhi raat bahut baqi hai phir agar koi bedar hokar Allah Subhanahu ko yaad kare tou Ek girah khul jati hai phir…
Hadees: Jo Shakhs zaroorat se jyada imarat banayega… Hadith: 22-April: Anas bin Malik (R.A.) se riwayat hai ke, Allah ke Rasool (Salallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya: ‟ Jo Shakhs zaroorat se jyada imarat banayega tou ye Qayamat ke din uske liye wabal hogi. 📕 Shoaib Ul Iman 10710
Qayamat ke Din uska Maal Zahreeley Ganje Saanp ki… ♥ Mafhoom-e-Hadees: Abu Hurairah (RaziAllahu Anhu) se riwayat hai ki RasoolAllah (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya ki: "Jisey Allah ne maal diya aur usney uski zakaat ada nahi ki to Qayamat ke din uska Maal nihayat zahreeley Ganjey Saanp ki Shakal ikhtriyar kar lega uski Aankhon ke pass do Siyah(black) Nuqtey honge jaise Saanp ke hote hain phir wo Saanp uskey dono Jabdo se usey pakad lega aur kahega ki main tera maal aur khazana hun." ? Sahih Bukhari ,…
Sacha aur Amanatdar Tajeer Qayamat ke din Hadees: Nabi-e-Kareem (ﷺ) ka farman hai: “Sacha aur Amanatdar Tajir Qayamat ke din Ambiya Siddiqeen aur Shuhda ke sath hoga.” 📕 Tirmidhi, Hadees 1209
Raat me Kutto ke Rone ya Gadhey Ki Awaz Se Allah Ki… ♥ Mafhoom-e-Hadees: Jabir bin Abdullah (Razi Allahu Anhum) se riwayat hai ke, RasoolAllah (Salallahu Alaihi wasallam) ne farmaya: "jab tum raat mein Kutto ka bhonkna aur Gadhon ki Aawaze suno, tou Allah ki panah mango! kyun ke wo aisi chizen dekhte hain jinhen tum nahi dekhte,.." - Sunan Abi Dawud 5103-Sahih - In-book refe: Book 43, Hadith 331 *Yaani wo Shaitan ko Dekhte Hai,. "Auzu Billahi Minash Shaitanir Rajim .." (Allah ki Panah Mangta/Mangti hu Shaitan Mardud ke Sharr se)
Betiyan Qayamat ke din jahannam se uski aad… Hadees of the Day Betiyan Qayamat ke din jahannam se uski aad (protection) hongi Aisha (R.A) se riwayat hai ki, RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya: "jiski betiyan ho aur wo unke saath neki kare tou wo Qayamat ke din jahannam se uski aad (protection) hongi.." 📕 Sahih Muslim, Vol 6, 6693 Aisha (R.A) se riwayat hai ki,Ek miskeena (faqeer Aurat) mere paas Aayee apni 2 betiyon ko liye huye mainey usko 3 khajurain dee, usney har ek beti ko ek ek…
Behtreen Din Jumma ka Din hai Hadees of the Day | Jumma Series Behtreen Din Jumma ka Din hai Allah ke Rasool (ﷺ) ne farmaya: "Behtreen Din Jis par Sooraj Tuloo hota hai, Jumuah ka Din hai." 📕 Sahih Muslim: 854 (1976)
Har Mahine 3 Din Subah ke Waqt Shehad chatne ki Fazilat Har Mahine 3 Din Subah ke Waqt Shahad chatne ki Fazilat Hadees: Abu Hurairah (R.A) se riwayat hai ke,Allah ke Rasool (ﷺ) ne farmaya: "Jo Shakhs har mahine 3 din subah ke waqt Shehad chatega, toh usey koi badi beemari nahi hogi." 📕 Ibne Majah: Hadees 3450
Surah Ikhlas ki Fazilat aur Mukhtsar Sa Taruf Surah Ikhlas ۞ Bismillah-Hirrahman-Nirrahim ۞ قُلْ هُوَ اللَّـهُ أَحَدٌ﴾ 1 ﴿اللَّـهُ الصَّمَدُ﴾ 2 ﴿لَمْ يَلِدْ وَلَمْ يُولَدْ﴾ 3 ﴿وَلَمْ يَكُن لَّهُ كُفُوًا أَحَدٌ﴾ 4 ﴿ "Aye Nabi (ﷺ)! Aap Keh Dijiye,Woh Allah Ek Hai.Woh Maabood Barhaq Beniyaaz hai.Woh Na Kisi ka Baap Hai aur Na Kisi ka Beta hai,Aur Na koi Uska Humsafar hai." 📕 Surah Al-Iklaas 112 Tashreeh (Ahsanul Bayan) yaani sabhi us ek Allah ke mohtaaj hai, lekin wo kisi ka mohtaaj nahi -Wo na kisi se paida…
Dua: Phisalne ya thokar lagne par padhne ki dua Dua: Phisalne ya thokar lagne par padhne ki dua بِسْمِ الله - Bismillah ۞ Hadees: Abu Al Malih (Radi Allahu Anhu) se riwayat hai,Main RasoolAllah (ﷺ) ke peeche sawar tha ke Aap (ﷺ) ki sawari phisal gayee, "Maine kaha shaitan marey tou Aap (ﷺ) ne farmaya 'aise na kaho ke Shaitan marey islye ke jab tum aisa kahoge to wo phool kar ghar ke barabar ho jayega aur kahega mere quwwat ko iss ne qubul kar liya' , isliye (jab…
3 Rakat WITR Padhne ka Tariqa by Adv. Faiz Syed https://www.youtube.com/watch?v=IaWJS4fRFo0 3 Rakat WITR Padhne ka Tariqa 3 रकात वित्र पढ़ने का तरीका, Way of Praying 3 Rakat Witr by Adv. Faiz Syed Related post: नमाज का आसान तरीका हिंदी में Witr ki Namaz mein padhne ki Dua e Qunoot Namaze Nabawi in Hindi Pdf free Download Namaz ki Surah aur unka Hindi Tajuma (4 Qul Hindi) Namaz ki Ahmiyat aur Fazilat by Adv Faiz Sayed 5 Waqt ki Namaz me Kitni Rakat Namaz padhna hai by Adv. Faiz Syed People…
Juma ke Khutbe ke dauran Tahiyatul Masjid padhna kaisa hai? Hadees of the Day | Jumuah Series Aksar dekha jata hai ke Juma ke din jab Imam Khudba de rahe hote hai to kayi log aate hi Namaz padhne lag jaate hai, to kya ye amal durust hai. aayiye aahadees ki roshni me iska mutala karte hai. Juma me Tahiyatul masjid ha hukm Allah ke Rasool (ﷺ) ne farmaya: "Jab Tum Mein se Koi Jumuah ke Din (Masjid) Aaye Jabki Imaam Khutba de Raha ho tou Woh 2 Raka'tein Padhe…
Jamat se namaz padhne ki Ahmiyat Hadees of the Day Jamat se namaz padhne ki Ahmiyat TRANSLITERATION Abu Darda (R.A) se riwayat hai ki,RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya - "Teen Aadmee kisi Basti ya Jangal me ho aur phir bhi wo Jamaat se Namaz na parhe tou Unn par Shaitan musallat ho jata hai, Isliye Tum Jamaat ko laazim kar lo. Kyunki Bhediya Ussi Bakri ko khata hai jo Galle se alag ho Jaye." 📕 Sunan Abu Dawud, Hadees 542
Aameen