Aulaad ki Tarbiyat – Part 11
M).Tarbiyat ka 13th marhala:
Khel kood ka nazm aulad ki tarbiyat me
Khel kood ka nazm bahut aham cheez hai yaad rakhiye, lekin aaj mukkamal is shobe ko humne khatm kar diya hai aur Khel khud ka koyi nazm hi baki nahi raha, jabki waledain unko khud aise khel khelwayen jisse unke sehat aur nashonuma hoti rahe.
Aur har waqt me har marhale me alag alag cheez unko khel waiyye jaise Swimming aap karwa sakte hai chote baccho ko, Cycling aap karwa sakte hai, isi tarah aise games jinse unke andar sehat barhti ho jaise aap unhki Doud (race) lagwaye, competitions karwaiye, ye bahut aham cheez hain yaad rakhiye isko mat bhulaye.
Baccho ko Khel kood ki Ahmiyat :
Jab waledain baccho ke Khul kood par tawajjo nahi dete to wo mukammil khel khud me dub jata hai. jabki Waledain ko chahiye ke wo khud ko kahe chalo ab khelne ka waqt hai bete tumhara. Hum khelenge aur nahi hai tou aap dosto ko bulao hum khel karenge aapke sath ye hona chahiye. Yaad rakhiye ye nahi hoga tou bache bolenge are waledain ko kya samajh me aata hai.
Bacho me yaad rakhye extra energy hoti hai uska istemal karwana chahiye, aap nahi khelne denge tou wo kahi bhi jaker kuch bhi karke usko istemal karlenge. lihaja Usko khelne ke liye ek nazm banaiye, achcha sa aur yaad rakhiye muslim ki ek riwayat hai Aap (Salallahu Alaihi Wasallam) farmate hai “Taqatwar momin Allah ke yaha kamzor momin se zyada behtar hai.”
jabki khair tou sabme hai har momin khair hai.”lekin wo momin jo jismani aitebar se takatwar hai Allah ke nazdeek mahbub hai isliye kyun ki ibadaton me riyazaton me aur Allah ke deen ke liye zyada mehnat kar sakta hai banisbat kamzor momin ke, halaki khair tou sab me hai lekin achcha kaun hai mahbub jo zyada taqatwar ho.
tou khel kood ka inke liye nazm kare isi tarah isme competition karwaiye mukabale karwaiye.
Bacchon me Competition karwaye:
Baccho me acchi sehat aur kuwwat ke liye aksar mukable karwaye, misal ke taur par aap 5-6 bhai hai jinke bache hai sabme competition lagwaiyye ke aaj jo falan kaam karega usko ye inam milega aaj jo fala khel khelegha usme jeetega usko ye inam milega, Is tarha ke competition karwaiyye.
Umar bin khattab (RaziAllahu Anhu) bacho me competition rakhwate they taaki jismani aitebar se khub nasho numa paye aur Allah ke deen ke liye jihad ke liye taiyyar ho. tou uske liye competition karte, kushti, tirandazi, tairaki (Swimming) aur ghode ki sawari ( horse riding) ke khel hote they tou ye khel unko khelwaiyye waladain is talluk se koshish kare isi tarah competitive exam me inhe le jaen, exam me inko shamil karwayen jahan tak ho sakey isse unme justaju paida hoti hain.
Nasrani Badshah ke 4 sawal aur Abdullah bin Abbas (R.A.) ke Jawab.
Ek waqiya hai Ameerul Momineen Umar bin Khattab (R.A) ke Zamane me ek Nasrani badshah ne 4 sawal Ameerul Momineen ko likh kar diye aur kaha inke mujhe jawab do agar waqay me tum kitab ke hamil ho tou.
Ameerul momineen ne wo sawalat liye aur kaha Abdullah ibne Abbas (R.A) se kaha ke tum jawab de do.
Abdulla ibne Abbas (R.A) ne liya aur jawab dene lage.
- Pehla sawal usne ye kiya tha ke Aisa kaun sa muqam hai duniya me jaha suraj ki roshni sirf ek bar pohchi hai aur ab qayamat tak nhi pahuchene wali ?.
- Dusra sawal Kaun se 2 Judwa bhai hai Jo paida tou sath me huye aur mare bhi sath lekin umar me 100 saal ka farq tha dono me ?
- Tisra faramaya Aisa kaun sa insan hai jo Qabr me ho lekin zinda ho, uski Qabr bhi Zinda ho usko lekar ghumti ho aur uske baad phir wo Qabr me se nikle aur tab bhi wo Zinda rahe.
- Chautha Sawal: Aisa kaun sa jail (qaidkana) hai jaha mujrim ko sans lene ki ijazat nahi ?
ye 4 sawal badshah ne jab diye to fauran Abdulah bin Abbas ne sawal liye aur Badshah ko likh kar jawab de diye.
Abdulla bin Abbas (R.A) ne 1. pehla sawal ka jawab diya “Ye wo bahre ahmar ka hissa hai jaha se Musa (A.S.) bach nikle jo samundar khula roshni gayi ab Qayamat tak roshni nahi ja sakti samundar agaya wapas. Ab qayamat tak wahan roshni nahi jayengi.
2. Dusra sawal ka jawab diya Uzair (A.S) aur unka bhai, 3. tisre sawal ka jawab ye diya Yunus (A.S) hai jo machli ke pait me the jo ke ek qism ki qabar hai aur wo machli unhe lekar samundar me ghumti rahi, baad me lakar kinae par fenk deya .jab ke wo bahar Zinda nikle.
Aur chauta(4) sawal ka jawab diya ke “Wo Maa ki kok aur pet hai jaha bacha zinda tou hota hai magar sans nahi leta .
Jab badshah ko in sawalat ke jawab mile tou dang ho gaya aur kaha lagta hai abhi bhi inme koyi Nabi zinda hai. SubhanAllah!
To be continued …
Nice