Maa Baap Par Laanat Karne Se Bacha Karo .... ♥ Mafhoom-e-Hadees: Rasool'Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Irshad Farmate Hai - "Gunaho Me Se Bada Gunaah Yeh Hai Ki Aadmi Apne Maa-Baap Par Lanat Kare, Logon Ne Kaha - 'Aye Allah Ke Rasool (Sallallahu Alaihay Wasallam) ! Bhala Kaun Apne Maa Baap Par Lanat Karega ?' *Aap (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Farmaya - "Matlab Ki, 'Ek Shakhs Dusre Ke Baap Ko Gaali De! Aisa Hai Ki Woh Apne Baap Ko Gaali De, Aur Dusre Ki Maa Ko Gaali De! Aisa He…
Jaandar ki Tasveer banana Haraam hai ✦ Hadith: Jandar ki Tasveer banane wale ke liye Azab Hazrate Saeed bin Abul Hasan (RaziAllahu Anhu) se riwayat hai, unho ne kaha ki Main Ibne Abbas (R.A) ke paas hajir tha tou achanak ek aadmi aaya aur kehne laga ki: 'Aye Ibne Abbas (R.A) ! "Mai Ek aisa aadmi hu ki Meri Rozi ka jariya mere haath ki karigiri hai aur woh yeh ki mai Tasveere banaya karta hu." Ibne Abbas (R.A) ne farmaya ki 'Mai tumse wohi Hadees…
Log Halal aur Haraam ki Tameez karna bhul jayenge ... Log Haraam ki Tameez karna bhul jayenge Hadees: Allah ke Rasool (ﷺ) ne farmaya: "Logo par ek Aisa Zamana aayega ki insan koi parwah nahi karega ke jo usne haasil kiya hai wo Halaal se hai ya Haraam se." 📕 Sahih Bukhari, Hadees: 2059
Allah ki Hidayat ko Chupane Wale par Lanat Allah ki Hidayat ko Chupane Wale par Lanat Hadees: Usman (R.A) ne Wuzu kiya tou Ek Shakhs se farmaya, "Main Tumko Ek Hadees Sunata hu agar Quraan Paak ki Ek Aayat (Nazil) na hoti tou Main ye Hadees Tumko na sunata ke, RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya - "Jab bhi koi Achchi tarah Wuzu karta hai aur Namaz parhta hai tou Uskey Ek Namaz se Dusri Namaz ke parhney tak ke Gunnah muaf kar diye Jaatey hain." 📕 Sahih Bukhari, Hadees:…
Aisi Baato se Biwi ke Kirdar par Shaq Karna Durust Nahi … Biwi Ke Kirdar Par Shaq Hadees-e-Nabwi ﷺ Abu Hurairah (R.A) se riwayat hai ke,Ek dehati Nabi-e-Akram (ﷺ) ki khidmat me hazir hua aur arz kiya: "Ya RasoolAllah (ﷺ)! Meri Biwi ne kaaley rang ka baccha paida kiya hai aur maine uska inkaar kar diya." Nabi-e-Akram (ﷺ) ne uss dehati se daryaft kiya: "kya Tumhare paas Uoonth hai ?" Dehati ne arz kiya "Ji haan!" Nabi-e-Akram (ﷺ) ne daryaft kiya: "Uska Rang kya hai?" Dehati ne arz kiya "Surkh rang ke…
Shohar par Biwiyon ke Huquq Kya hai ? ✦ Hadees: Biwiyon ke Huqooq ✦ Muawiyah al-Qushayri (R.A.) se riwayat hai ki,Main RasoolAllah (ﷺ) ki khidmat me hazir hua aur pucha ki 'Hum par Apne Biwiyon ke kya huquq hain.'Aap (ﷺ) ne farmaya: "Jo tum khud khatey ho unko (Apni biwiyon ko) bhi Khilao aur jaisey (Achchey) Kapdey tum pehantey ho unko bhi pehnao aur unko maaro nahi aur unko bura na kaho (yani unki insult na karo, gaali na do)." 📕 Sunan Abi Dawud 2144-Sahih ✦ हदिस :…
Haraam lukme ki Nahusat Haraam lukme ki Nahusat Hadees: Allah ke Rasool (ﷺ) ne farmaya: "Jab koi shakhs haraam luqma pet mein daalta hai, to Allah Ta'ala us ka koi amal chaalees din tak qubool nahi karta." 📕 Targhib, Hadees 2484
Shab-e-Meraj par Namaz ka Bayan Mafhoom-e-Hadees: Shab-e-Meraj par Namaz ka Bayan ۞ Bismillah-Hirrahman-Nirrahim ۞ Hazrate Anas bin Malik (R.A) bayan karte hai ki, RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya: (Shab-e-Meraj me) Allah Ta’ala ne meri Ummat par Pachaas (50) Namazein farz ki, tou Main un (Namazon) ke saath waapas aaya yaha’n tak ki Main Hazrate Moosa (Alaihi Salaam) ke paas se guzra tou unhone kaha ki 'Allah Ta’ala ne aap par aap ki Ummat ke liye kya farz kiya hai ?' Main ne kaha : 'Allah Ta’ala…
Tum par Ramzan ka Mubarak Mahina Aaya hai Allah Ta'ala Quran-e-Kareem me Irshad Farmata Hai -"Maahe Ramzan Wo Hai Jismey Quran Utara Gaya, Jo Logon Ko Hidayat Karne Wala Hai Aur Jismey Hidayat Ki Aur Haqq-Wa-Batil Ki Tameez Ki Nishaniyan Hain. Tum Me Se Jo Shakhs Is Mahine Me Muqim (Alive) Ho, Usey Roza Rakhna Chahiye. Haan Jo Bimar Ho Ya Musafir Ho, Usey Dusre Dino Me Ye Ginti Puri Karni Chahiye.Allah Ta'ala Ka Irada Tumhare Sath Aasani Ka Hai, Sakhti Ka Nahi. Wo Chahta Hai Ki Tum…
Tum doosron par kharch karte raho, Allah tum par… Tum doosron par kharch karo, Allah tum par kharch karega Hadees: Abu Hurairah (R.A.) se riwayat hai ke,RasoolAllah (ﷺ) ne farmate hai ke: "Allah Taala ne farmaaya: Aye logo! tum doosron par kharch karte raho, main tum par kharch karta rahunga." 📕 Bukhari, Hadees 5352
Hadees: Allah jab kisi Qaum par Azab nazil karta hai… Unn Fitno se bacho jo khaas Zalimon par hi nahi ۞ Bismillah-Hirrahman-Nirrahim ۞ "Tum un fitno se bachte raho jo tum mein se khaas Zalimon par hi nahi padhega aur jaan lo ki beshaq ALLAH subhanhu sakht azab karne wala hai." 📕 Surah Al-Anfal 8:25 Allah jab kisi Qaum par Azab nazil karta hai to wo acche aur bure sab logon par aata hai Hadees: Abdullah bin Umar (R.A) se riwayat hai ki, RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya - "ALLAH jab kisi…
Aye Logon Tum Par Hajj Farz kiya Gaya : Hadees Aye Logon Tum Par Hajj Farz kiya Gaya : Hadees Hadees: Hazrat-e-Abdullah Ibne Abbas(R.A) se riwayat hai,RasoolAllah (ﷺ) Irshad farmate hai - Jab Hazrate Ibrahim (Alaihay Salam) Khaana-e-Kaaba Ki Tameer Muqammal kar liye tou Allah Ta'ala ki Bargaah me Marooza kiye - 'Ilaahi Maine Tameer Muqammal Kar Li Hai!' Tabhi Allah Ta'ala ne hukm farmaya 'Logon me Hajj ka Ailaan karo" Unhone Arz Ki Ilaahi Meri Aawaz Kaise Pahuchegi.? Allah Ta'ala ne irshad farmaya - 'Aawaz Dena Tumhara Kaam hai…
Raston par Baithne ka Haq Ada karo Raaston par Baithne ka Haq Ada karo Hadees: Allah ke Rasool (ﷺ) ne farmaya: "Sadko (Rasto) par baithane se bacho." Sahaba ne kaha ki "hum log wahi baithne ko majaboor hain. yeh wah jagah hai jahaa hum baithate hain aur jahaa hum baat karate hain." is par, Nabi (ﷺ) ne kaha - "Yadi tum wahaa baithane ke lie majaboor ho, to Raaste ka Haq ada karo." Sahaba ne poochha aur Raste ka Haq kya hai? Nabi (ﷺ) ne kaha, "Apni…
Halaal aur Haraam ke Darmiyan Shuba Waali Cheeze hain ... Halaal aur Haraam ke Darmiyan Shuba Waali Cheeze hain Numan Bin Bashir (R.A) se riwayat hai ki,Mai ne Rasool'Allah (ﷺ) se suna ki - "Halaal aur Haraam Khula hua hai aur Inn Dono ke Darmiyan kuch Cheezein Shuba (Doubtful) waali hain Jinko bahut se Log nahi jantey." *Phir Jisney Apne Aapko Inn Shuba ki Cheezon se bacha liya Usney Apney Deen aur Izzat ko bacha liya. Aur jo koi In Shuba ki Cheezon me parh gaya uski missal Uss Charwahey…
Gharwalo par Kharch Karna bhi Sadqa Karne ke barabar Sawaab Gharwalo par Kharch Karna bhi Sadqa Hadees: Abu Masud Al-Ansari (R.A) se Riwayat hai ki, RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya - "Jab Musalman Apney Gharwalon par Allah ka Hukm Ada Karney ki Niyat se Kharch Karey tou Usmein bhi Usey Sadqey ka Sawaab Milta Hai." 📕 Sahih Bukhari, Hadees 5351