Hadees : Sirat-e-Mustaqeem par Shaitan jyada behkata hai
Ek Sahabi ka inteqal hota hai, Nabi-e-Kareem (ﷺ) uss Inteqal me jaate hai, aur abhi Qabr khud rahi thi ke RasoolAllah (ﷺ) uss mitty par baith jate hai, Aapke hath me ek tehni thi, aap uss tehni ke jarye Zameen par uss mitty par kuch banane lagey,
Sahaba gour se dekhne lage ke RasoolAllah (ﷺ) kya kar rahe hai. Sahaba ne dekha ke Aap (ﷺ) ne ek sidhi lakeer banayi, aur daaye aur baaye janib aur chand lakeere banayi aur farmaya ke –
Ye sidhi lakeer jo maine banayai hai ye mera rasta hai, yaani Sirat-e-Mustaqeem hai, aur daaye aur baaye janib jo lakeere banayi hai ye lakeere Jahannum me jaati hai aur iskey har lakeer par ek Shaitan baitha hai jo insan ko Sirat-e-Mustaqeem se behkata hai.
Sahaba ne kaha – ‘Ya RasoolAllah (ﷺ) hum tou yeh samjhte they ke Islam kabool kar leney ke baad Banda-e-Momin Shaitan ke behkawe se Aazad aur mehfuz ho jata hai, Ya RasoolAllah ! bohot Sangeen Mu’amla hai wajahat farmaiye. Fir Aap (Sallallahu Alaihay Wasallam) ne tafseeli bayan ke liye Surah Anaam ki Ayat 153 ki tilawat farmayi aur kehne lage.
Ye sidhi lakeer mera rasta (Sirat-e-Mustaqeem) hai tou Aye Imanwalo iski itteba karna, iske alawa kisi ki itteba na karna warna sidhi raah se bhatak jaoge.
Surah Al-Anam 6:153
📕 Musnade Ahmad, Nadayii, Ibn Majah, Daremi,
📕 Tafseere-e-Ibne Kaseer vol#2, page 256 by www.ummat-e-nabi.com/home
SABAQ :
Tou RasoolAllah (ﷺ) ne wajahat kar di ke Sirat-e-Mustaqeem par aaney ke baad Shaitan Momin ko jyada behkata hai. Aur Jin Qoumo ko imaan hee nahi mila wo tou waise hi Mulawwis hai Gumraahi me, lekin jinhe Imaan ki doulat mili unka Shaitan ke jarye behaqna jyada mumkin hai.
Lihaza hum sab par lazim hai ke haq ko janey, Allah aur uske Rasool (ﷺ) ke Qalam ki pairwi karey, Qurano Sunnat se apni aur auro ki islaah karte rahe. Quraan aur Sahih Hadees ke jarye, Sahib-e-Ilm ke jarye, Sahih Ilm-e-Deen hasil karey taaki har kism ki Gumrahi se khud bhi bach sakey aur auro ko bhi bachaney ki koshish karey.
!!! Wa akhiru dawana anilhamdulillahe rabbil a’lameen !!!
Allah Ta’ala hume tamam kism ke Shirk aur Gumrahi se bachney aur bachaaney ki toufiq ata farmaye. Ameen.
Discover more from Ummate Nabi ﷺ Hinglish
Subscribe to get the latest posts sent to your email.