۞ Bismillah-Hirrahman-Nirrahim ۞
Contents
“Jo Log imaan laye aur apne imaan ko Zulm se mahfuz kiya unke liye Aman hai aur wahi hidayat paney wale log hain.“
Tafseer:
Iss aayat ke Sabab Hazrate Abdullah bin Mas’ud (RaziAllahu Anhu) ne farmaya ke: ‘Jab yeh Aayat [Surah Al-An’am 6:82] naazil hui tou hum log pareshan ho gaye ke, “Koun hai jisney apne par Zulm nahi kiya hoga?.”
Tou hum log RasoolAllah (ﷺ) ke paas gaye aur kaha ke: “Koun hai jisney Zulm nahi kiya hai!” Tou RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya ke: “Jo tum log Zulm samajh rahe ho waisa nahi hai! Zulm se muraad woh Zulm hai jo: Luqman (A.s.) ne apney betey ko Naseehat karte hue kaha ke beta Allah ke saath kisi ko shareek Naa karna, Shirk tou bada Zulm azeem hai [Surah Luqman 31:13]”
۞ Hadees: RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya:
“iss Shirk se jo bacch gaya tou uskey liye Aman aur Salamati hai.“
Allah Rabbul Izzat hume kehne sun’ne se jyada amal ki taufik de! Ameen.