Badshaguni Shirk hai Badshaguni Shirk hai Hadees-e-Nabwi ﷺ Abdullah-bin-Mas'ud (R.A.) se riwayat hai ki,RasoolAllah (ﷺ) ne irshad farmaya, "Badfaeli (Badshagooni Me Yaqeen Karna) Shirk hai, Kisi Ko Badfaeli Ki Waham ho tou (Usey Chahiye) Allah Subhanahu Wa Ta'ala par bharosa kare, Allah Subhanahu Wa Ta'ala Uss Bharose ki wazah se Usko door farma dega." 📕 Sunan Ibne Majah, Jild : 3, Hadees: 419📕 Sunan Abu Dawud, Jild 3, 511-Sahih Badshaguni se bachne walo ka inaam Ibn Abbas (R.A) se riwayat hai ki,RasoolAllah (ﷺ)…
Shirk Zulm Azeem : Shirk se Jo bacch gaya uske liye Aman ۞ Bismillah-Hirrahman-Nirrahim ۞ “Jo Log imaan laye aur apne imaan ko Zulm se mahfuz kiya unke liye Aman hai aur wahi hidayat paney wale log hain." 📕 Quran: Surah Al-An’am 6:82 Iss aayat ke Sabab Hazrate Abdullah bin Mas'ud (R.Au) ne farmaya ke: 'Jab yeh aayat [Surah Al-An'am 6:82] naazil hui tou hum log pareshan ho gaye ke, "Koun hai jisney apne par Zulm nahi kiya hoga?." Tou hum log RasoolAllah (ﷺ) ke paas gaye aur kaha ke: "Koun hai jisney Zulm nahi kiya hai!"…
Tanhaai bure sathi se behtar hai aur nek saathi… Tanhaai bure sathi se behtar hai RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya: "Tanhaai bure saathi se behtar hai aur nek saathi behtar hai tanhaai se." 📕 Shoaib Ul Iman, Hadess: 4993
Sureh Kafirun padha karo, Yeh Shirk se aazadi hai Sureh Kafirun padha karo, Yeh Shirk se aazadi hai Hadees-e-Nabwi ﷺ ۞ Bismillah-Hirrahman-Nirrahim ۞ Farwah bin Nofal (R.A) se mairvi hai,Unhone Nabi-e-Kareem (ﷺ) ki khidmat me hazir ho kar arz kiya, "Ya RasoolAllah (ﷺ) ! Mujhe koi aisi cheez bataayen jisey Mai bistar par jatey waqt padha karu.' Tou Rasool'Allah ne farmaya "Sureh Kafirun padha karo, Yeh Shirk se aazadi hai." 📕 Sunan Tarimzi, Jild-5, Pg-257, Hadees. 3414
Allah ka Fazl hai Maalo Doulat - Allah jise Chahta… ✦ Hadith: Maal-O-Daulat Allah ka Fazl hai, Wo jise chahta hai ata karta hai. Rasool'Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) ke paas kuch Sahaba-e-kiram (RaziAllahu Anhu) aatey hai jo Gareeb they, RasoolAllah (ﷺ) se arz karte hai "Ya RasoolAllah (ﷺ) ! yeh Maaldaar Sahaba Namaz padhtey hai, Roza rakhtey hai, Hajj karte hai, Zakaat detey hai, tamaam kaam karte hai, uskey bawajud Allah ki Raah me maal kharch karke Nekiyon me humse aagey nikal jaate hai. Lihaja Aap hume koi aisa Amal (solution) de…
Riyaa ka Adna martaba bhi Shirk hai ♥ Mafhoom-e-Hadees: Tabrani wa Hakim ne Ibne Umar (RaziAllahu Anhu) se riwayat ki Rasool'Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) ne farmaya - "Riyaa ka Adna martaba bhi Shirk hai aur tamam Bando me Allah ke Nazdik woh zyada Mehboob hai Jo parhezgar hai jo chupey huye hai. Agar wah gayab ho tou Unhey koi talaash na karey aur Gawahii de tou pehchane na jaye wah log hidayat ke imam aur Ilm ke charag hai." (Islami Akhlaq-O-Aadab, Hadees-7, Page-302)
Mutakabbir ka Anjam | Ghamand karne wale ko Qayamat me Azab Mutakabbir ka AnjamGhamand karne wale ko Qayamat me Azab Hadees: RasoolAllah (ﷺ) ne farmya "Qayamat ke din Mutakabbir (Ghamand karne wale) logo ko maidan e mahshar mein choti choti chiteeyon ki manind logo ki surton mai laya jayega innhen har jagah zillat dhanpe rehegi, Phir wo Jahannam ke ek aise Qaidkhane ki taraf hanke jayenge jiska naam Bulas hai, usme innhen Bhadakti huyee Aag ubalegi, Wo usme jahannamiyo ke zakhmo ke peep peeyenge jisko teenat Al Khabal kahte hain, yaani…
Takkabur kya hai aur takabbur karna kisko zeba deta hai ? Takkabur kise kehte hai ? Jawaab: khud ko Afzal aur dusron ko Haqeer samjhne ka naam Takabbur hai. ✦ Nabi-e-Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) farmatey hai ki "Takabbur haq ki Mukhalifat aur logon ko Haqeer jaan ne ka naam hai." [Sahih Muslim: Hadith 91] Allah Rabbul Izzat Takabbur ke talluk se Qurane Majid me farmata hai: 1). ❝ Aur yaad karo jab hum (Allah) ne farishton ko hukm diyaa ki Aadam ko sajda karo tou sab ne sajda kiya siwaaye iblis…
Un Logon ka Thikana Jahannam hai Un Logon ka Thikana Jahannam hai Allah Ta'ala farmata hai: "Jin Logon ko Humare Paas Aane ka Yaqeen Nahi hai aur Woh Duniyawi Zindagi par Raazi ho gaye aur us Mein Jee laga baithe aur Jo log Humari Aayaton se Ghaafil hain. Aise Logon ka Thikaana Unke Aamaal ki Wajah se Dozakh (Jahannum) hai." 📕 Surah Yunus 10:7-8
Samundar ka paani paak hai aur usme Mar jaane wale… Samundar ka Paani aur Wuzu Hadees: Abu Hurairah (R.A.) se riwayat hai ki ek shakhs ne RasoolAllah (ﷺ) se puchha ki: "Hum log Samundari safar karte hain aur apne saath thoda bahut paani le jaate hain. agar hum us paani se wuzu kar le tou pyaase reh jayenge, tou kya hum samundari paani se wuzu kar kiya karein ? Aap (Sallallahu Alaihay Wasallam) ne farmaya "Samundar ka paani Paak karne wala hai aur usme mar jaane waale jaanwar halaal hain.” - Sunan an-Nasa'i 59- Sahih (Darussalam)
Shirk Karne Wale Khud Apne Anjam Ke Jimmedar Hongey Hadees: Abu Hurairah (R.A) se riwayat hai ki, RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya ke: Allah Subhanahu Ta'ala farmata hai, "Mai beparwah hun Sharikon se! jisney koi aisa Amal kiya jis me mere saath mere Gair ko Shareek kiya tou Mai usko aur uskey Shirk ke Kaam ko (Unkey haal par) Chorh deta hun." 📕 Sunan Ibn Majah, Hadees 4342-Sahih by Darussalam
Qarz Dene ke Fazail aur Wapas na Lautane ka Anjam by… https://www.youtube.com/watch?v=pqugfgN5nAM Qarz wapis na karne ki saza Islam me Qarz Dene ka hukm, qarz dene ka sawab kya hai, iski Fazilat kya hai aur isey Wapas na Lautane ka Anjam kya ho sakta hai iske bare me tafseeli jankari ke liye is Bayan ka Mutala kare aur isey jyada se jyada share karne me humara tawoon kare,. jazakAllahu khairan kaseera. People also Search: Karz, Islamic Banking, Debt Consolidation Loan, Loan Quotes, Hadis about Karz, Karz Khatam Karne Ki Dua, Karz…
Shirk Sabse Bada Zulm hai Shirk Sabse Bada Zulm hai ۞ Bismillah-Hirrahman-Nirrahim ۞ “Luqman (A.s.) ne apney betey ko Naseehat karte hue kaha ke beta Allah ke saath kisi ko Shareek Naa karna, Shirk tou bada Zulme Azeem hai." 📕 Surah Luqman 31:13 〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰 Is Aayat se pata chalta hai ke: Shirk sabse bada Zulm hai jo banda khud apne upar karta hai Allah ki Zaat me Kisi ko shareek kar ke. Allah Ta'ala hume Mouheed (Tawheed parast) banaye, aur har tarah ke shirk se…
Aadam ki tamam ki tamam Aulad khatakar hai, Lekin… ♥ Hadis-e-Nabwi ﷺ : Anas (RaziAllahu Anhu) se riwayat hai ke, Allah Ke Rasool (Salallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya, " Aadam ki tamam ki tamam Aulad khatakar hai, Lekin Behtar Khatakar wo hai jo Tauba kar ley" - Sunan Ibn Maajah; Arabic reference, Hadith 4392 ♥ हदीस-ऐ-नबवी ﷺ : अनस (रज़ीअल्लाहु अन्हु) से रिवायत है के, अल्लाह के रसूल (सलाल्लाहू अलैहि वसल्लम) ने फ़रमाया, " आदम की तमाम की तमाम औलाद खताकार है, लेकिन बेहतर खताकार वो है जो तौबा…