Shaitan ki 3 girah (knot) jo wo har insan ke peeche raat mein baandh deta hai: Hadees
Hadees: Abu Hurairah (R.A) se riwayat hai, RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya ki –
“Shaitan insan ke sir ke peeche raat mein sote waqt teen girah (gaath) laga deta haiaur har girah par ye phunk deta hai ki –So ja abhi raat bahut baqi hai phir agar koi bedar hokar Allah Subhanahu ko yaad kare tou Ek girah khul jati haiphir jab Wuzu karta hai to dusri girah khul jati haiaur phir agar Namaz padhe to teesri girah bhi khul jati haiis tarah subah ke waqt insan chust aur khush mijaz rahta hai warna Sust aur Badmijaz rahta hai.”
Har Shakhs Khataa karne wala hai, Lekin Behtar… Har Shakhs Khataa karne wala hai Allah ke Rasool (ﷺ) ne Irshad farmaya : "Har Shakhs Khataa karne wala hai aur Behtar Khata karne wala woh hai Jo Taubah kar le." 📕 Tirmidhi, Hadees 389 Allah ke Rasool (ﷺ) ne Irshad farmaya : "Uss Shakhs ke liye Khushkhabri hai Jo Apne Naam-e-Amaal me bohot Ziyada Astaghfar paaye." 📕 Ibn-e-Majah, Hadees 3818
Al-Quran: Shaitan to yahi chahta hai ke Sharab aur… Quran: 09-July: ۞ Bismillah-Hirrahman-Nirrahim ۞ ‟Shaitan to yahi chahta hai ke Sharab aur Juwe ke jarye tumhare darmiyan Dushmani aur Bugz ke beez daal de aur tumhe Allah ki Yaad aur Namaz se rok de.' 📕 Surah Maida 5:91
Jo Shakhs Shab e Qadr ki Raat se Mehroom Raha woh ... ۞ Hadees about Shab e Qadr ki Raat: Allah ke Nabi (ﷺ) ne farmaya: "Jo Shakhs Is (Shab-e-Qadr ki) Raat se Mehroom raha woh har tarah ki Khair aur Barkat se Mehroom raha." 📕 Ibne Majah : 1644-Sahih
Insan Uske Sath Jis se wo Mohabbat karta hai Ek Ansari Sahabi Jinka chehra bada Ghamjada tha, Woh RasoolAllah (ﷺ) ke Paas Aaye, RasoolAllah (ﷺ) ne Unki Pareshani ka Sabab Pucha. Tou Unhone Kaha "Aye Allah ke Rasool(ﷺ)! Ek Gham Mujhe khaye ja raha hai, ke Mai yeh Sochta hu ke Aaj Dunia me Aapka Chehra Mubarak dekhey bagair Hum reh nahi patey, chalte aur phirtey, uthtey aur baithtey jab bhi aapki yaad aati, Aapse aa kar Hum mil letey, aapka didaar karte aur hume Sukun milta hai. lekin…
Har Jaandaar ke Saath Neki karne ka Sawaab Milta hai Har Jaandaar ke Saath Neki karne ka Sawaab Milta hai Hadees: Hazrate Abu Huraira (R.A) se riwayat hai ki, RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya: "1 Shakhs raste mein chal raha tha ke usey Shiddat ki pyaas lagi usey Ek Kunwa(Well) mila aur usne isme utar kar paani piya. jab bahar nikla tou wahan Ek Kutta dekha jo haanp raha tha aur Pyaas ki wajah se tari ko chat raha tha. is Shakhs ne kaha ke yeh Kutta bhi itna hi Ziyada…
Allah ka Fazl hai Maalo Doulat - Allah jise Chahta… ✦ Hadith: Maal-O-Daulat Allah ka Fazl hai, Wo jise chahta hai ata karta hai. Rasool'Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) ke paas kuch Sahaba-e-kiram (RaziAllahu Anhu) aatey hai jo Gareeb they, RasoolAllah (ﷺ) se arz karte hai "Ya RasoolAllah (ﷺ) ! yeh Maaldaar Sahaba Namaz padhtey hai, Roza rakhtey hai, Hajj karte hai, Zakaat detey hai, tamaam kaam karte hai, uskey bawajud Allah ki Raah me maal kharch karke Nekiyon me humse aagey nikal jaate hai. Lihaja Aap hume koi aisa Amal (solution) de…
Insan ke Marne ke baad uske sath kya hota hai? https://www.youtube.com/watch?v=nA6pq3j9r2Y Insan ke Marne ke baad uske sath kya hota hai? Aam taur pe yeh sawal humesha insani zehniyat ko zinjod dete hai ke Marne ke baad humare sath kya hoga? dharm iske baare me kya kehta hai? Islam iske baare me kya kehta hai? Tou aayiye is mukhtasar se bayan me jante hai ke Marne ke baad insan ke sath kya hota hai. People also Search as: Maut ke baad kya hota hai, Maut ke baad kya hoga, Maut…
Ibn Aadam Allah ko Gaali deta hai, Jab wo kehta hai ... ۞ Bismillah-Hirrahman-Nirrahim ۞ Allah ko Gaali na do Allah ke Rasool (ﷺ) ne farmaya: Allah Ta'ala Farmata Hai: Ibn Aadam Mujhe Gaali Deta hai, Halanki Uska Yeh Haq Nahi hai. Uska Mujhe Gaali Dena Yeh Hai ki Woh Kehta Hai ki Allah ne (Isa Alaihis Salam ko) Apna Beta Banaya Hai, Halanki Main Ek Hun, Beniyaaz hun, Na Mere liye koi Awlaad hai Na Main kisi ki Aulaad hun aur na Koi Mere Barabar hai. 📕 Sahih Bukhari: 4974
Insan me paayi jaane waali sab se buri Aadatein Hadees: RasoolAllah (ﷺ) farmate hai, “Insan me paayi jaane waali sab se buri Aadatein intihaai darje ka Laalach aur Buzdili hai.” 📕 Abu Dawud, Hadees 2511
Hadees: Har Accha kaam Sadqah hai ۞ Bismillah-Hirrahman-Nirrahim ۞ ✦ Hadees: Allah ke Rasool (ﷺ) ne farmaya: "Har Accha kaam Sadqah hai." 📚 Sahih Muslim; Hadees: 1005 Ek aur Riwayat me Aap (ﷺ) ne faramaya: "Har Neki Sadqa Hai !Tum Apne Musalman Bhai se Pyar se Galey milo, yeh bhi Neki hai." 📚 Musnade Ahmad Jild:5 Safa:111: 14715
Allah Ta'ala Zaalim ko Chand Roz ki Mohlat deta rehta hai Allah Ta'ala Zaalim ko Chand Roz ki Mohlat deta rehta hai ✦ Hadees: Abu Musa (R.A.) se riwayat hai ke, RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya: Allah Ta'ala Zaalim ko chand roz duniya me muhlat deta rehta hai lekin jab pakadta hai toh phir nahi chodta. Rawi ne bayan kiya ke phir Aap (ﷺ) ne is aayat ki tilawat ki: { وَكَذَلِكَ أَخْذُ رَبِّكَ إِذَا أَخَذَ الْقُرَى وَهْىَ ظَالِمَةٌ إِنَّ أَخْذَهُ أَلِيمٌ شَدِيدٌ } "Aur tere Parwardigar ki pakad issi tarha hai,…
Insan ka Pait sirf Qabr ki Mitti bhar sakti hai Roman Urdu ۞ Hadees: Ibn Abbas (R.A.) se riwayat hai ki RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya: ❝Insaan ke pass Maal ki Do wadiyan (valley) ho tou teesri ka khwahish mand hoga aur insaan ka pait Mitti ke siwa aur koi cheej nahi bhar sakti aur ALLAH us shaksh ki Tauba Qubul karta hai jo sacchi tauba karta hai. ❞ 📕 Sahih Bukhari, Vol 7 , 6436 हिंदी ۞ हदिस : इब्ने अब्बास (रज़ि अल्लाहु अन्हु) से रिवायत है के, रसूलअल्लाह (ﷺ)…
Insaan ke Badan ke har Jod par har Din ka Sadqa Waajib Insaan ke Badan ke Har Jod par har Din ka Sadqa Waajib Allah ke Rasool (ﷺ) farmate hain : "Insaan ke Badan ke har Jod par har us Din ka Sadqa Waajib hai Jismein Sooraj Tuloo hota hai. aur Logo ke Darmiyaan Insaaf karna bhi Ek Sadqa hai." 📕 Sahih Bukhari, Hadees : 2707
Insan ka Pait to Qabr ki Mitti hi bhar sakti hai Insan ka Pait to Qabr ki Mitti hi bhar sakti hai Allah ke Rasool (ﷺ) ne farmaya ke - "Agar Insaan ke Paas Maal Doulat ke 2 Baag Hain Tou Woh Teesre ki Khwahish Karega aur lsaan ka Pait tou Qabr ki Mitii hi bharegi." 📕 Bukhari, Hadees: 6436
Shaitan aadmi ke andar khoon ki tarha gardish karta… Shaitan Aadmi me khoon ki tarha gardish karta rehta hai Hadees: Jabir (R.A) se riwayat hai ke,Allah Rasool (ﷺ) ne farmaya: "Aisi Auratoun ke paas naa jao jin ke Mahram unke saath naa ho kyun ke Shaitan aadmi ke andar khoon ki tarha gardish karta rehta hai." 📕 Jami` at-Tirmidhi, Hadees 1172