Mutakabbir ka Anjam | Ghamand karne wale ko Qayamat me Azab Mutakabbir ka AnjamGhamand karne wale ko Qayamat me Azab Hadees: RasoolAllah (ﷺ) ne farmya "Qayamat ke din Mutakabbir (Ghamand karne wale) logo ko maidan e mahshar mein choti choti chiteeyon ki manind logo ki surton mai laya jayega innhen har jagah zillat dhanpe rehegi, Phir wo Jahannam ke ek aise Qaidkhane ki taraf hanke jayenge jiska naam Bulas hai, usme innhen Bhadakti huyee Aag ubalegi, Wo usme jahannamiyo ke zakhmo ke peep peeyenge jisko teenat Al Khabal kahte hain, yaani…
Shirk Karne Wale Khud Apne Anjam Ke Jimmedar Hongey Hadees: Abu Hurairah (R.A) se riwayat hai ki, RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya ke: Allah Subhanahu Ta'ala farmata hai, "Mai beparwah hun Sharikon se! jisney koi aisa Amal kiya jis me mere saath mere Gair ko Shareek kiya tou Mai usko aur uskey Shirk ke Kaam ko (Unkey haal par) Chorh deta hun." 📕 Sunan Ibn Majah, Hadees 4342-Sahih by Darussalam
Al-Quran: Aur Baaz log kehte hai ke wo Allah par… ۞ Bismillah-Hirrahman-Nirrahim ۞ Dil se Imaan Na Laane Waale Log Allah Taala Quran me farmata hai: "Aur Baaz log Aise bhi hai jo (Zaban se to) kehte hai ke Hum Allah par aur Qayamat par Iman Laye , Hala ki Woh Dil se Iman nahi Laaye" 📕 Surah Baqraah 2:8
Uski 40 Din Namaz Qabool nahi hoti Hadees of the Day Uski 40 Din Namaz Qabool nahi hoti Hafsa (R.A) se riwayat hai ke,Allah ke Rasool (ﷺ) ne farmaya ki: "Agar koi Musalman kisi Majoosi (Qaahin) ke paas jakar kuch daryaft karta hai tou uski 40 din ki namaz qubool nahi hoti." 📕 Muslim Sharif; Vol 2 Page-233 Ek aur riwayat me aata hai ke RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya - "Jisne Sharab pi li uski 40 din tak Namaz kubool nahi hogi, phir agar woh Tauba karle…
Jadugar ka Anjam: Kala Jaadu (Black Magic) karne… https://www.youtube.com/watch?v=GTHJhi5Ewsw Kala Jadu karne walo ka Anjam Kala Jaadu karne wala Jadugar jab ICU mein admit hua, suniye uska kya haal hua., hairatnaak aur ibratnaak waqiya Doctor ki zubani jisne us jadugar ka ilaaj marte dum tak kiya !! काला जादू करने वाला जादूगर जब ICU में एडमिट हुआ। jadu karne wale ka anjam quotes, kala jadu karne wale ki saza, jadu karne walo ka anjam, jadu karne wale ki saza in islam quotes, jadugar ka anjam, jadu karne wale…
Al-Quran: Aye aurto! Tum apne Gharon me thehri raho… Allah Taala Quraan me farmata hai: "Aye aurto! Tum apne Gharon me thehri raha karo aur Zamana-e-jahiliyat ki tarah be parda mat phiro." 📕 Surah Ahzab, 33:33
Quran ke Nuzool ka Asal Maqsad aur Humara Haal Quran ke Sath Humara Sulooq Aaj ilm ki kami ki wajah se hum Qur'an ke Nuzool ke Asal maksad se mehroom reh gaye, aur sirf Sawab ke Lalach me Quraan ka istemaal karne lag gaye. Jaise missal ke tour per humari Musalman behne Sawab ke liye Quran Arbi me padhti rehti hai aur padhte hue Surah Nisa ki aayat 3 aati hai jaha Allah Ta’ala fermata hai ke "Aye Musalman Mard Aadmi tum 2,3,4 biwiyo se nikah kar sakte ho.”…
Al-Quran: Tumhaari Doulat aur Aulaad tumhe Allah ki… ۞ Bismillah-Hirrahman-Nirrahim ۞ Tumhaari Doulat aur Aulaad tumhe Allah ki yaad se Gaafil na kar de Allah Taala Quran me farmata hai: "Aye Imaan waalo! Tumhaari Doulat aur tumhaari Aulaad tumhe Allah ki yaad se Gafil na karne paye aur jo log aisa karenge, woh bade ghaate ka souda karne waale honge." 📕 Surah Al-Munafiqun 63:9
Jis Shakhs ke paas koi ilm mehfuz go aur wo usey… ✦ Hadith: Roman Urdu: Abu Hurairah (R.A) se riwayat hai ki, Rasool'Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) ne farmaya : "Jis Shakhs ke paas koi ilm mehfuz ho aur wo usey chupaye tou Qayamat ke din usey dozakh ki Aag ki lagaam daal kar laya jayega." 📕 Sunan Ibn Majah: Arabic 272, English 261 ✦ English Hadith: It was narrated from Abu Hurairah that: The Prophet (ﷺ) said: "There is no man who memorizes knowledge then conceals it, but he will be…
Namaz me banda Rab se Baate karta hai Namaz me banda Rab se Baate karta hai Anas bin Malik (R.A) se riwayat hai ki,RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya - "Jab Koi Shakhs Namaz ke liye Khada hota hai, tou goya wo Apne Rab ke Saath Sargoshi (yaani baate) karta hai. Ya Yu farmaya ki Uska Rab uskey aur Qibley ke darmiyan hota hai." 📕 Sahih Bukhari, Hadees 405
Al-Quran: Neki aur Buraai baraabar nahi hoti Quran: 29 - July: ۞ Bismillah-Hirrahman-Nirrahim ۞ ❝Aur Neki aur Buraai baraabar nahi hoti, is liye turn buraai ka jawaab aise tariqe se do jo behtareen ho. Nateeja yeh hoga ke tumh me aur jis me dushmani thi, woh dekhte hi dekhte (tumhaara) jigri dost ban jaayega.❞ 📕 Surah Fussilat 41:34
Ilm ki Ahmiyat aur Fazilat: Quran aur Ahadith ki Roshni mein Ilm ki Ahmiyat aur Fazilat: Quran aur Ahadith ki Roshni mein Quran ki Roshni mein Al-Quran: ♥ Allah Ta’ala Yakinan Unn Logon Ko Jo Tum Me Se Imaan Laaye, Aur Jinhone Ilm Haasil Kiya Unkey Darjaat Buland Kar Ke Rahega. – Surat Al-Mujadila 58:11 Ahadith Ki Roshni Mein RasoolAllah (ﷺ) farmate hai: ♥ Ilm Haasil Karna har Musalmaan par Farz hai.– (Miskat P:24) ♥ Ilm Hasil Karna Har Ek Musalmam (Mard Aur Aurat) par Farz Hai.– (Sunan ibn Majah, Vol-1,…
Al-Quran: Naapo to pura naapo aur tolne ke liye sahi… Naapo to pura naapo aur tolne ke liye sahi tarazu istemal karo ۞ Bismillah-Hirrahman-Nirrahim ۞ Allah Rabbul Izzat Quran me farmata hai: ‟Jab kisi ko koi cheez naap kar do tou pura naapo aur tolne ke liye saheeh tarazu istemaal karo." 📕 Surah Bani Israil 17:35
Jamat se namaz padhne ki Ahmiyat Hadees of the Day Jamat se namaz padhne ki Ahmiyat TRANSLITERATION Abu Darda (R.A) se riwayat hai ki,RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya - "Teen Aadmee kisi Basti ya Jangal me ho aur phir bhi wo Jamaat se Namaz na parhe tou Unn par Shaitan musallat ho jata hai, Isliye Tum Jamaat ko laazim kar lo. Kyunki Bhediya Ussi Bakri ko khata hai jo Galle se alag ho Jaye." 📕 Sunan Abu Dawud, Hadees 542