Qayamat ki Nishaniyan Series: Part-7
51. Qustuntunia (Istanbul) ki fatah
Hazrat Basheer Khat’ami (R.A) se mairvi hai ke Unho ne Nabi Kareem (ﷺ) ka yeh irshad garami suna: “Tum zaroor Qustuntunia fatah karoge aur (us waqt) wo ameer behtareen ameer hoga aur wo lashker bhi bahtareen hoga.”
📕 Masnad amad 451/4
📕 Hakim 468/4
Ibne Umro (R.A) farmatey hai ke Rasool Allah (ﷺ) se pucha gaya ke Qustuntunia aur rooma mein se konsa mulk pehle fatah hoga?
Aap (ﷺ) ne farmaya “Harqal ka ilaka yani Qustuntuniya pehle fatah hoga.”
📕 Masnad Ahmad 234/2
📕 Sunan darmi 137/1
Hazrat Muaaz (R.A) farmatey hai ke Rasool Allah (ﷺ) ne irshad farmaya:
“Bait ul Maqdas ki aabadi yasrab (madina) ki barbadi (ka paish khaima) hai, Madina ki barbadi jangon ka aaghaz hai, jangon ka aaghaz Qustuntuniya ki fatah hai aur Qustuntuniya ki fatah Dajjal ka khurooj (ka ailaan) hai.”
Phir Aap (ﷺ) ne is (Muaz R.A) ke kandhey ya Raan par hath mar kar farmaya: Yeh batien is tarah barhaq hai jis tarah tum yahan (khadey ho ya) bathey ho.”
📕 Masnad Ahmad 309/5
📕 Sunan Abu Dawood Kitab ul Fitan wal malahim 4294
Hazrat Abu Huraira (R.A) se mairvi hai ke Allah ke Rasool (ﷺ) ne irshad farmaya:
“Qayamat qayem nahi hogi hatta ke roomi aamaaq ya dabiq (Mulk Shaam ke) muqam par padao karenge. in ki taraf Madina se ek lashkar (muqabley ke liye) niklega jo is waqt rooe zameen ka sab se behtareen lashkar hoga. jab wo muqabley per ayengey tou roomi kahiengey ke tum hamare aur in logon ke darmiyan se hut jao jo hum mein se bedeen ho gaye hai (yani esaiyat chor ke Musalman ho gaye hain) hum sirf inhe se ladney aaye hain.
Musalman kaheingey Allah ki qasam hum hargiz aisa nahi kar sakte ke tumhare liye apne muslim bhaion ko chor dein tou phir ladai chid jayegi.
Musalmano ka ek tihaii (1/3) hissa peeth dekha ker bagh jayega aur in ki touba Allah Ta’ala kabhi qabool nahi karenga.
Ek tihai (1/3) hissa ladai mein shaheed ho jayega jo Allah ke yahan afzal tareen shaheed samjhey jayenge.
Aur ek tihai (1/3 akhri) hissa fatah hasil karega jo kabhi Fitney ka shikar nahi hoga aur phir yehi Qustuntuniya ko fatah kar lega.
📕 Sahih Muslim Kitab ul Fitan 2897
Hazrat Abu Huraira (R.A) se mairvi hai ke Allah ke Rasool (ﷺ) ne irshad farmaya:
“kya tum ne aisey Shaher ke mutaliq suna hai jis ka ek hissa samandar aur dusra hissa khushki ki taraf hai?”
Sahaba (R.A) ne kaha: ji han ya RasoolAllah.
Farmaya: Qayamat qayem nahi hogi hatta ke 70 hazaar bani ishaq is ki tarf paishqadmi karenge. jab wo shaher ke paas pohanchengey tou padao kar lengey aur wo teer o talwar se ladai nahi karenge balkey wo la ilaha illallah wallah hu akbar kahienge tou is shaher ki ek janib gir jayegi phir wo la ilaha illallah wallah hu akbar kahienge tou is ki dusri janib gir jayegi. phir wo la ilaha illallah wallah hu akbar kahienge tou wo shaher in ke liye khol dia jayega aur wo is me dakhil ho kar maal e ghaneemat hasil karenge.
jab wo Maal e Ghaneemat taqseem kar rahey hongey tou ek cheekhney wala (shaitan) cheekh kar kahega: “bilashuba Dajjal nikal chuka hai tou woh log sab maal o doulat chor kar wapis chaley aayenge.”
📕 Sahih Muslim Kitab ul Fitan 2920
Note:
Qustuntuniya ka mojoda naam istanbul hai jise Shah e Room Qustunteen ne apna capital banaya aur isi ke naam se is ka naam qustuntuniya mashoor hua. Qustuntuniya aur umoriya ke darmayan 60 miles ki musafat hai.
Huzoor Nabi Kareem (ﷺ) ne qustuntuniya ki taraf paishqadmi karnay waley pehley lashkar ko jannat ki khushkhabri sunai hai jaisa ke Umm e Haraam (R.A) bayan karti hai ke Rasool Allah (ﷺ) ne farmaya:
“Meri ummat ka wo pehla lashkar (jahanum ki aag se) bakhsh dia gaya hai jo qaiser ke shaher (qustuntunia) par hamlaawar hoga.”
is pehley lashkar ka Ameer Yazeed bin Muawiya (R.A) bin Abu Sufyan (R.A) they.
Nabi Kareem (ﷺ) ne qustuntunia (istanbul) fatah karney waley lashkar aur ameer-e-lashker ko behtareen ke khatab se nawaza hai.
Qustuntunia 857 hijri ba mawafiq 1453 me Muhammad bin Murad jo Sultan Muhammad al fateh ke naam se mashhoor hai, ke hathon fatah huwa. is fatah mein Sultan ke sath 2 lakh ka fouji lashkar aur apne dour ke tamaam jadeed hathyar muyassar they lekin hadees ke mutabiq isey tasbeeh o takbeer se fatah kia jayega aur hathiyar istamal nahi hongey jis se andaza hota hai ke qustuntunia dobara kuffaron ke qabzey mein chala jayega aur phir Musalman bila hathyar isey fatah kareinge.
Tasbeeh o takbeer se fatah hone wala shaher yehi Qustuntuniya hai kyon ke hadees ki tamaam alamaat esi per chispan hote hai magar ta haal yeh paishgoyi zahir nahi hui taham turkey ki secular riyasat ke islam ke khilaf jarhana iqdamaat aur islam kashi policy isi paishgoyi ka paish khaima sabit ho rahey hain.
52. Room (italy) fatah hoga
Abu Qabeel farmatey hai ke hum Abdullah bin Umro (R.A) ke paas they ke in se sawal kiya gaya ke kounsa Shaher pehle fatah hoga qustuntunia ya roomiya (italy)?
Abdullah (R.A) ne ek Sandooq mangwa kar is se ek kitab nikali aur kaha ke hum Allah ke Rasool (ﷺ) ke paas baithey likh rahe they ke Aap (ﷺ) se sawal kiya gaya ke qustuntunia pehle fatah hoga ya roomiya? tou Aap (ﷺ) ne farmaya: “Harqal ka Shaher qustuntuniya pehle fatah hoga.”
📕 Masnad Ahmad 234/2
📕 Sunan darmi 486
📕 Hakim 468/4
Note:
Room ko rooma se mosom kiya jata hai jo moujuda dour mein italy ka capital hai.
Qayamat ki mazkoora nishani tahaal zahir nahi hui lekin humara iman hai ke jis tarah Allah ke Rasool (ﷺ) ki dusre paishgoyion ke mutabiq Room o iran, Misar o Shaam wagaira fatah howey esi tarah rooma bhi fatah hoga.
Roma, Qustuntuniya ki dobara fatah ke baad fatah hoga.
Haq o Batil ki kashmakash jo roze awal se shuru hui ta Qayamat jari rahegi, kisi jagah Musalman qabza payenge tou kisi jaga shikast se do-char hongey. magar duniya ki sari taqatein mil kar bhi Ummat Muslima aur Deen Islam ka isteysaal nahi kar Saktein.
Hazrat Abdullah (R.A) ne apni likhi hui hadees padh kar jawab dia jis se munkireen e Hadees ke is ghalat nazriye ki tardeed hote hai ke dour-e-nabvi me hadees likhi nahi jati thi balkey bohat se Sahaba hadees ko Zabt tahreer mein laney ka fareeza anjam detey rahey hain.
53. Kuffar Musalmano per toot padengey
Hazrat Soban (R.A) bayan karte hai ke Allah ke Rasool (ﷺ) ne farmaya:
“Anqareeb (kafir) Qomien tumhare khilaf is tarah jama ho jayengi jis tarah bhookey khaney ke bartan par jama ho jaatey hain. Hum ne daryaft kiya: kya is waqt hum tadad mein thodey hongey?
Aap (ﷺ) ne farmaya: (Nahi) balkey in dino tumhare tadad ziada hogi lekin tum Sailab ki jhaag ki tarah ho jaogey aur Allah Ta’ala tumhare dushmano ke Dil se tumhare roab o dabdaba ko nikal kar tumhare Dilon mein “Wahan” daal dega. hum ne pucha ya Rasool Allah (ﷺ) wahan kya hai? Aap (ﷺ) ne farmaya: “Duniya se mohabbat aur moat se nafrat.”
📕 Sunan Abu Dawood Kitab ul Fitan wal malahim 4297
📕 Masnad Ahmad 350/5
Note:
Kuffaron ka Musalmano ke khilaf jama ho jana Qayamat ki nishani hai.
Moujuda halaat mein yeh nishani samne aa chuki hai. puri duniya ke kafir Musalmano ke khilaf mahaz arai kar chukey hain.
54. Har Ghar me Fitna dakhil ho jayega
Hazrat Auof bin Malik (R.A) farmatey hai ke main ghazwa tabook ke mouqa par Nabi Kareem (ﷺ) ki khidmat mein hazir hua jab ke Aap (ﷺ) is waqt chamdey ke ek khaimey mein tashreef farma they.
Aap (ﷺ) ne farmaya ke: “Qayam e Qayamat ki 6 nishanian Shumar kar lo… phir ek aisa aam aur tabahkun fitna hoga ke Arab ka koi ghar bhi is ki lapait mein anay se mehfoz nahi reh sakega.”
📕 Sahih Bukhari 3176
Note:
Arab mein fitna ka phail jana qayamat ki ek nishani hai.
Fitna jismani ya rohani her 2 tarah ka ho sakta hai.
Jismani Fitney mein Qatal o Gharat, loot khusoot, danga fisad, kasaad bazari, zinakari, fahashi o uryani, sood khori, haram khori jaisey anasir shamil hai jo arsa daraz se batadreej shoro ho kar bilakhir Arab ke har ghar ko achi tarah apni lapait mein ley chukey hai hatta ke Hudood e Haram aur Haram e Madina bhi is lapait se mehfooz nahi.
Ruhani Fitney mein bedeeni, badamli, shariyat se doori shamil hain.
55. Isaion se mil kar Musalman tisre dushman se ladenge phir Isaion aur Musalmano me jung e azeem hogi
Hazrat Zimukhmar (R.A) se mairvi hai ke Nabi Kareem (ﷺ) ne farmaya:
“Tum roomion ke sath aman wali sulah karogey phir tum aur wo apne ilawa kisi aur (teesrey) dushman se ladogey aur (tum kamiyab rahoge) salamat rahogey aur ghaneemat hasil karogey phir tum ek teelon wali sarzameen par padao karogey.
(Ek riwayat mein hai ke tum roomion se maal e ghanemat wusool kar ke alag ek teelon wali sarzameen par ja kar padao karogey) tou wahan ek roomi ayega aur saleeb buland kar ke kahega: Saleeb ghalib aa gayi. is baat par (ghazabnak ho kar) ek Musalman is ki taraf badheyga aur isey qatal kar dega.
is buniyad par roomi tum se dhoka karenge aur (aman muahda tod dengey) phir jangien chid jayengi aur wo 80 jhandon ke sath tumhare taraf paishqadmi karenge jab ke har jhandey taley 10 hazar ka lashker hoga.”
📕 Masnad Ahmad 128/4
📕 Sunan Abu Dawood 2767
📕 Sunan ibne maja 4140
Hazrat Aaof bin Malik (R.A) se mairvi hai ke Nabi Kareem (ﷺ) ne irshad farmaya:
“Qayamat se pehle 6 alamtein yaad rakho…. tumhare aur bano asghar (roomion) ke Darmayan sulah hogi phir wo ghadar karenge aur 80 jhandon me tumhare taraf paishqadmi karenge jab ke har jhandey taley 12 hazar ka lashker hoga.”
📕 Sahih Bukhari kitab ul jaziya 3176
Hazrat Muaaz bin jabal (R.A) se mairvi hai ke Allah ke Rasool (ﷺ) ne irshad farmaya:
“Bait ul Maqdas ki aabadi madiney ki kharabi (ka paishkhaima) hai, Madiney ki kharabi jangon ke aaghaz (ka naqara) hai, jango ke aghaz (ka anjam) qustuntunia ki fatah hai aur qustuntuniya ki fatah Dajjal ke khurooj (ka ailan) hai.”
📕 Masnad Ahmad 309/5
📕 Sunan Abu Dawood Kitab ul Fitan wal malahim 4294
Hazrat jabar bin samra (R.A) Hazrat naf’ae bin Utba (R.A) se riwayat karte hai ke Rasool Allah (ﷺ) ne irshad farmaya:
“Tum jazeera tul Arab (walon) se ladogey aur Allah tume is ka fateh bana dega, phir tum faras (iran) se ladoge aur Allah tume is ka fateh bana dega, phir tum room se ladge aur Allah tume fateh bana dega phir tum Dajjal se ladogey aur Allah tume is par bhi fatah ata farmayega. phir Naf’ae (R.A) ne kaha: “Aye jabar! hamare ilm ke mutabiq Dajjal is waqt tak nahi niklega jab tak room fatah na ho jaye.”
📕 Sahih Muslim Kitab ul Fitan 2900
Hazrat Abu darda (R.A) ne farmaya ke Rasool Allah (ﷺ) ne irshad farmaya:
“Jung (azeem) ke din Musalmano ka khaima (camp) ghota muqam par hoga jo is shahar ke paas hai jisey damishq kaha jata hai.”
📕 Masnad Ahmad 252/5
📕 Sunan Abu Dawood Kitab ul Fitan wal malahim 4298
Hazrat Abu Huraira (R.A) se mairvi hai ke Rasool Allah (ﷺ) ne farmaya:
“jab jungein chid jayengi tou Allah Ta’ala damishq (shaam) se ek lashker bejheinga jo Azad karda ghulamo par mushtamil hoga magar wo sarey Arab ke bahtareen ghudsawar aur bahtareen hathyaron se lais hongey. Allah Ta’ala in ke zariye deen ki madad farmayega.”
📕 Sunan ibne maja Kitab ul Fitan 4089
📕 Hakim 5484
56. Darya e faraat (Euphrates River) se Soney ka Pahaad namudar hoga
Hazrat Abu Huraira (R.A) se mairvi hai ke Allah ke Rasool (ﷺ) ne irshad farmaya:
“Qayamat qayem nahi hogi hatta ke Darya e faraat (euphrates river) se soney ka pahad namodar hoga jis par log jung karenge aur har 100 mein se 99 marey jayengey jabkey har banda yeh soch (kar hissa ley) raha hoga ke shayed wo ek nijat paney wala mein hee hon.”
📕 Sahih Muslim 2894
Hazrat Abu Huraira (R.A) se mairvi hai ke Rasool Allah (ﷺ) ne farmaya:
“Qareeb hai ke faraat soney ka khazana zahir kareyga. lihaza tum mein se jo shakhs wahan moujod ho wo is khazaney mein se kuch bhi hasil na karey.”
📕 Sahih Bukhari 7119
Hazrat Ubai bin Ka’ab (R.A) se mairvi hai ke mein ne Allah ke Rasool (ﷺ) ka yeh irshad garami suna:
“Anqareeb darya e faraat se soney ka ek pahad namodar hoga jab log is ke barey mein Sunein gey tou is ki taraf chal deingey aur jo is ke paas hongey wo kaheingey ke agar hum ne yeh chor dia tou log isey ley kar chaltey baneingey. Farmaya: “Phir is ke hasool ke liye log lareingey aur har 100 me se 99 maqtool hongey.”
📕 Sahih Muslim 2895
Hazrat Abu Huraira (R.A) se mairvi hai ke Allah ke Rasool (ﷺ) ne irshad farmaya:
“Darya e faraat se soney ke ek pahad ke zahoor ka imkan hai jis ke liye log jang karenge tou har 10 mein se 9 wasal bahaq hongey.”
📕 Masnad Ahmad 345/2
📕 Musanif abdul razaq 382/11
Note:
Darya e faraat se sonay ke pahar ka namodar hona Qayamat ki ek nishani hai.
Mazkora nishani tahaal zahir nahi hui. Pahad se murad haqeeqtan pahad hee hai petrol nahi. Soney ka pahaf zahir karna Qudrat ilahi se kuch baeed nahi.
is soney ke khazanay ke hasool ke liye nihayat khatarnak jang hogi jis mein har 100 me se 99 maqtool hongey.
Musalmano ko is jang mein shamiliyat se aur is khazaney ke hasool se mana kiya gaya hai.
Sonay ke pahad ka namodar hona mojab Fitna hai aur Allah ki taraf se ek azmaish hai.
Mazi qareeb me honay wali Gulf War qat’an wo jang nahi thi jo soney ke khazaney ke hasool ke liye ladi jayegi go Petrol ko “Sayal Sona” kaha jata hai.
Bohat se Musalman Nabi Kareem (ﷺ) ki nafarmani ker ke Zaroor bilzaroor khazaney ke hasool mein Maidan jang me utar padenge magar Qatal ke siwa kuch hasil na hoga.
InshaAllah ! Series ka agla hissa kal Subah 8 baje post kiya jayega