♥ Mafhoom-e-Hadees: Nabi-e-Paak (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Farmaya –
“Qabr Aakhirat Ki Sab Se Pehli Manzil Hai, Agar Sahib-e-Qabr Ne Iss Se Najaat Paayi Tou Baad Ka Mua’mala Is Se Aasan Hai, Aur Agar Iss Se Najat Na Paayi Tou Baad Ka Mua’mla Zyada Sakht Hai.”
– (Sunan Ibne Maja Jild:4 Safa:500 Bairut)
» Qabr Ka Manzar Sab Manaazir Se Zyada Howlnaak Hai.
– (Sunan Tirmizi Jild:4 Safa:138 Hadees:2315 Bairut)
» Qabr Ki Daant : Qabr Murde Se Kehti Hai Ki,
“Aye Aadami Kya Tune Mere Halaat Naa Sune The ?
Kya Meri Tangi, Badboo Howlnaaki Aur Kidon Se Tuze Nahi Daraayaa Gayaa Tha ?
Agar Aisa Tha Tou Fir Tune Kya Taiyaari Ki ?
– (Sarhus Sudur Safa:118 119 Darul Ma’refa)