Namaz ka tark karna Kufr ka Elaan hai – Namaz chornay ka Gunah

Iman aur Kufr ke Darmiyan farq karne Waali cheez Namaz hai

✦ Hadith: Jaabir (R.A) riwayat karte hain ke Rasool Allah ﷺ ne farmaya: ‘Aadmi aur Shirk o Kufr ke darmiyan fark karne wali cheez Namaz hai.’

Is ka mtalab ye hai ke Islam aur Kufr ke darmiyan Namaz deewaar ki tarha hai. Doosre lafzo’n me namaz ka tark(chorna) Musalman ko Kufr tak paho’nchane wala amal hai.


✦ Hadith: Bareeda (R.A) riwaayat karte hain ke Rasool Allah ﷺ ne farmaya: ‘Humare aur Munafiqo’n ke darmiyan ahad namaz hai. Jis ne Namaz chod’di pas is ne kufr kiya.’

Is Hadees ka matlab ye hai ke Munafiqo’n ko jawaman Haasil hai, wo Qatl nahi kiye jaate aur in ke saath musalmano’n jaisa sulook rawa rakha jaata hai to iski wajah ye hai ke wo Namaz padhte hain aur inka Namaz padhna goya musalmano’n ke darmiyan ek Ahad hai, jis ke sabab munafiqo’n ki jaan aur inka maal Musalmano’n ki talwar aur yalghaar se mehfooz hai aur jis ne namaz tark ki to isne apne kufr ka izhar kar diya.

Lihaja hume gaur karna chahiye ke kis qadr Khauf ka muqaam hai ke tark Namaz Kufr ka elaan hai.


✦ Hadith: Abdullah bin Shaqeeq riwayat karte hain: ‘Sahaaba Ikraam a’amaal me se kisi cheez ke tark ko kufr nahi samajhte the siwae namaaz ke.’


✦ Hadith: Abu Darda riwayat karte hain ke Rasool Allah ﷺ farmate hain: ‘Jo shaqs Farz Namaz jaan bujh kar chod’de to yaqeenan iske bare me Allah ka Muaaf karne ka zimma khatm ho gaya.’


✦ Hadith: Ibne Umar riwayat karte hain ke RasoolAllah ﷺ ne farmaya: ‘Jis Shaqs ki Namaz Asr faut ho jaae to goya is ka ahel aur maal halaak kar diya gaya.’


✦ Hadith: Bareeda kehte hain ke Rasool Allah ﷺ ne farmaya: ‘Jis shaqs ne Namaz e Asr chor di pas is ke amaal baatil ho gaye.’


People Also Search as:

  1. Namaz ka Aasan Tarika in Hindi
  2. Namaz ke Faide in Hindi
  3. Namaz ki Ahmiyat aur Fazilat – Bayan
  4. Namaz ki Surah aur unka Hindi Tajuma (4 Qul Hindi)
  5. Kya Baithkar Namaz padhna Durust hai ?

Discover more from Ummate Nabi ﷺ Hinglish

Subscribe to get the latest posts sent to your email.




WhatsApp Channel Join Now
Telegram Channel Join Now

Comment

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *