Jawab: Ji Haa! Sahabiyat ki tarikh se sabit hai ke Aurat bhi Qurbani ka Janwar jibah kar sakti hai.
Abu Musa Al Ash’ari (R.A) se riwayat hai ke, “Aap ﷺ apni betiyon ko hukm dete ki wo apni Qurbani khud apne hatho se kare.”[Musannaf Abdir Razzaq 8169]
Imam Bukhari (R.A) farmate hai: “Aur Abu Musa(R.A) ne apni betiyon ko hukm diya ki wo apni Qurbani khud kare.”[Bukhari : Al Ajahi Baabu Man Jabah jahiyathu Gairahu]
Qurbani kis din karna Afzal hai? Qurbani Eid ke Din Namaz ke baad karna Afzal hai, agarche Qurbani Ayyame Tashreeq yaani 4 din tak kar sakte hai…
Qurbani kya hai ~ Qurbani Ek Baap aur Betey ki ... Hazrate Ibrahim aur Ismayeel Alaihay Salam ki Qurbaani ka Azeem Waqia Hazrate Ibrahim (Alaihay Salam) ne ek raat Khwab me Dekha ki koi Shakhs Gaib se aawaz deta hai aur kehta hai ki: "Aye Ibrahim...! Tumhe Allah ka huqm hai ki apne bete ko Allah ki raah me zibaah kar do." Nabi Ibrahim Alaihi Salam ke bare me tafseeli jankari ke liye is Hiqayat ke series ka mutala kare. Chunki, Nabiyon Ka Khwaab Saccha Aur "Wahih" ki Qism se hota…
Qurbani ke Chamde ko Bechna Jaiz Nahi hai Hadees of the Day Qurbani ke Chamde ko Bechna Jaiz Nahi hai ۞ Hadees: Rasool'Allah (ﷺ) ne farmaya, "Jis Shakhs ne apni Qurbani ka Chamda baich diya to uski koi Qurbani nahi hai." 📕 Mustadrak Hakim : 3468
Binaa kisi khas wajah se Talaaq mangne waali Aurat ka hashr Thawban (R.A) se riwayat hai ke, RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya "Jo Aurat bina koi khas wajah ke Shohar se Talaaq talab karey tou uss par Jannat ki Khushbu haraam hai." 📕 Sunan Abi Dawud 2226-Sahih थवबान (रज़ीअल्लाहु अन्हु) से रिवायत है के, रसूलअल्लाह (ﷺ) ने फ़रमाया: "जो औरत बिना कोई खास वजह के शोहर से तलाक मांगे तो उस पर जन्नत की खुशबु हराम है।" 📕 सुनन अबू दावूद 222-सहीह ثوبان رضی اللہ عنہ کہتے ہیں کہ رسول اللہ صلی…
Bhalayi aur Burayi Ek Jaise Nahi ho Sakti ... Bhalayi aur Burayi Ek Jaise Nahi ho Sakti Ismey koi Shaq Nahi ke Allah aur Uskey Rasool ka Paigaam Haq hai, Allah Ta'ala Quraan-e-Kareem ki Muabarak Aayat me farmata hai ke - ۞ Bismillah-Hirrahman-Nirrahim ۞ "Bhalayi aur Burayi Ek Jaise nahi ho Sakti tou tum Burayi ko Apne Bhale Sulook se Door kar Do, Phir kya Dekhoge ki Jis Shakhs aur Tumhare Beech Dushmani thi Unme aisa ho Jaayega jaise koi Pakke Dost hote hai." 📕 Quran 41:34 Iss Mudde…
Dikhawe ki Qurbani Allah ko Qubool nahi Allah ko Qurbani ke Janwar ka Gosht Nahi Pohochta ۞ Bismillah-Hirrahman-Nirrahim ۞ ❝Beshaq Allah Ta'ala ko na tou tumhare Qurbani ka Gosht pohochta hai aur naa hi khoon ! magar haa uss tak tumhari Parhezgaari pohochti hai.❞ 📕 Al-Quran; Surah Hajj 22:37 ✦ SABAQ: Dikhawe ki Qurbani Allah ke yaha Qabool nahi Aaj Humare Qurbaniyo ka kya aalam hai beharhaal bataney ki jarurat bhi nahi, Log Qurbani ka jaanwar bhi laatey hai tou uske saath photos khichwatey hai. Allah Reham…
MUSLIM AURAT Paiydayish Se Mout Tak - Sis. Amtul Mateen https://www.youtube.com/watch?v=3IJRIX39JIs Muslim Aurat ki Zimedariya Paidaish se lekar Mout tak kya hoti hai ? iske bare me tafsili jankari ke liye aayiye is bayan me mutala karte hai,. baraye meharbani isey jyada se jyada share karne me humara tawoon karey,. jazakAllahu khairan.
Kisi Momin me 2 Aadatein kabhi Jama nahi ho sakti Kisi Momin me 2 Aadatein kabhi Jama nahi ho sakti Hadees: Abu Saeed Khudri (R.A) se riwayat hai ke,Rasool'Allah (ﷺ) ne farmaya: "Kisi Momin me 2 Aadatein kabhi Jama nahi ho sakti,1) Kanjusi, 2) Burey Akhlaaq." 📕 Tirmizi, Hadees 1962
Koi Aurat Apne Shohar se kisi bhi Aurat ka huliya… ✦ Hadith: Roman Urdu Abdullah-bin-Mas’ud (R.A) se riwayat hai ke, Allah ke Rasool (ﷺ) ne farmaya: "Koi Aurat kisi Aurat se mil kar Apne Shohar se uska (Parayi Aurat ka) Huliya na bayan kare goya ke wo usey dekh raha hai." - (Sahih Bukhari; Hadith 5240) ✦ Hadith: English Narrated `Abdullah bin Mas`ud: The Prophet (ﷺ) said, "A woman should not look at or touch another woman to describe her to her husband in such a way as if he…
Qurbani ka Gosht Doosron ko bhi khilaao Hadith: Qurbani ka Gosht Doosron ko bhi khilaao ۞ Sulaiman Bin Buraidah Apne Waalid se riwayat karte hain ki,Rasool'Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) ne farmaya: “Main Pehle Tumhe Qurbani ka Gosht 3 Din se Zyada Khaane ko Manaa karta thaTa'aki Qurbaani Karne ki Taakat rakhne waale Unhe bhi Dein Jo Qurbani karaney ki Haisiat nahi rakhte.Tou Ab Jab Tak Chaaho Khaao, Doosron ko Khilaao Aur Usme se Bachaao bhi.” Jami At-Tirmidhi, Hadith no. 1510 Wajahat: 3 Din Se Zyada Qurbaani Ka…
Jummah ke Din Tamam Janwar Qayamat ke Darr se Hadees of the Day Jummah ke Din Tamam Janwar Qayamat ke Darr se Kaan Lagaye hue Allah ke Rasool (ﷺ) ne farmaya: "Jumuah ke Din Subah Hote hi Tamaam Jaanwar Qayaamat ke Dar se Kaan Lagaye Huye hote hain Yahan Tak ki Sooraj Tuloo ho jaye, Siwaye Jinnon Aur Insaano ke." 📕 Abu Dawood: 1046 (Sahih)
Insan ka Pait to Qabr ki Mitti hi bhar sakti hai Insan ka Pait to Qabr ki Mitti hi bhar sakti hai Allah ke Rasool (ﷺ) ne farmaya ke - "Agar Insaan ke Paas Maal Doulat ke 2 Baag Hain Tou Woh Teesre ki Khwahish Karega aur lsaan ka Pait tou Qabr ki Mitii hi bharegi." 📕 Bukhari, Hadees: 6436