Jo Shakhs koi cheez cheen kar le Woh hum me se nahi Hadees of the Day Jo Shakhs koi cheez cheen kar le woh hum me se nahi RasoolAllah (ﷺ) farmate hai ke: "Jo Shakhs koi cheez cheen kar le woh hum (Imanwalo) me se nahi." 📕 Ibn Majah, Hadees 3927
Jo Shakhs logon ke liye Aasani aur Sahulat paida karta hai Hadees of the Day Jo Shakhs logon ke liye Aasani aur Sahulat paida karta hai TRANSLITERATION ★ Abdullah bin Masud (R.A.) se riwayat hai ki RasoolAllah (ﷺ) ne faramya, ‟ Kya main tumko aise logon ke mutalliq na batauu jin par Dozakh ki aag haram hain aur wo aag par haram hain, har wo Shakhs jo apne qareeb ke logon ke liye aasani aur sahulat paida karta hai (un sab par dozakh ki aag haram hai)." HINDI ‟ क्या मैं…
Jis Shakhs ke paas koi ilm mehfuz go aur wo usey… 📖 Hadith (Roman Urdu) Abu Hurairah (R.A) se riwayat hai ke Rasool Allah ﷺ ne farmaya: "Jis shakhs ke paas koi ilm ho aur wo use chhupaye, to Qayamat ke din usay dozakh ki aag ki lagaam pehnayi jayegi." 📕 Sunan Ibn Majah: Arabic 272 | English 261 ✦ English Hadith It was narrated from Abu Hurairah (R.A) that the Prophet ﷺ said: "Whoever has knowledge and conceals it, will be brought on the Day of Resurrection bridled with reins…
Hadees: Jis Shakhs se kisi muamle me mashwara kiya… Hadith: 21-June: Abu Huraitah (R.A.) se riwayat hai ke, Rasool'Allah (ﷺ) ne farmaya: ❝ Jis Shakhs se kisi muamle me mashwara kiya jaaye wo us me ameen (Amanatdar) hai, lihaja Amanatdari ke sath mashwara do. 📕 Jami` at-Tirmidhi 2822
Wo Shakhs kamil iman wala nahi ho sakta ... Jo khud pait bhar ke khaye aur uska padosi bhuka reh jaye Hadees: Ibne Abbas (R.A.) se riwayat hai ke, RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya: ‟Wo Shakhs kamil iman wala nahi ho sakta jo khud pait bhar ke khaye aur uska padosi bhuka reh jaye. 📕 Shoaib Ul Iman, Hadees 5660
Jo Shakhs Sood ke Jarye apna maal badhata hai Jo Shakhs Sood ke Jarye apna maal badhata hai Hadees: Allah Ke Rasool ﷺ farmate hain: "Jo Shakhs Sood ke zariye apna Maal badhata hai, uska anjaam yeh hota hai ki uska Maal kum ho jaata hai." 📕 Sunan Ibn Maaja, Hadees: 2279-Sahih
Hadees: Jo Shakhs Jhoothi Qasam kha kar kisi ka maal le lega Hadees of the Day Jo Shakhs Jhoothi Qasam kha kar kisi ka maal le lega Ash'as bin Qais (R.A.) se riwayat hai ke, Allah ke Rasool (ﷺ) ne farmaya: "Jo Shakhs Jhoothi Qasam kha kar kisi ka maal le lega, wo Allah ke samne kodhi (leprosy) ho kar pesh hoga." 📕 Abu Dawood 3244
Allah Hates: Allah Ta'ala uss shakhs se Nafrat karta… Hadees: Abu Hurairah (R.A.) se riwayat hai ki, Rasool'Allah (ﷺ) ne irshad farmaya ke - "Allah Ta'ala uss shakhs se Nafrat karta hai jo sakht mijaz ho, Zyada khane wala ho, Bazaro me chikhne wala ho, Raat me murde ki tarah (padaa sota rehta) ho, din me gadhe ki tarah (duniyawi kaamo me zikr-e-ilahi ke bagair fansa rehta) ho, Duniya ke muamlo ka jaan'ne wala aur Aakhirat ke Umoor se bilkul jaahil (bekhabar) ho." 📕 Ibn Habban: 1/274
Jab Tum me se koi Shakhs kisi Aisey Aadmi ko dekhey… ♥ Mafhum-e-Hadees: Abu Hurairah (RaziAllahu Anhu) se riwayat hai ki, Rasool'Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) ne farmaya - "Jab Tum me se koi Shakhs kisi Aisey Aadmi ko dekhey Jo Maal aur Shakal aur Surat me Uss se Badhkar hai tou uss Waqt usey aisey Aadmi ka Khayal karna chahiye jo Uss se kum darje ka hai." - Sahih Bukhari, Vol-7, Hadith 6490
Jo Allah par bharosa kare toh Allah uske liye kaafi hai ♥ Bismillahi-r-Rahmani-r-Rahim ♥ 📖 Roman Urdu "Jo Allah par bharosa kare to Allah uske liye Kaafi Hai"📕 Al-Quran: 65:03 📖 हिंदी अनुवाद "जो अल्लाह पर भरोसा करे तो अल्लाह उसके लिए काफ़ी है"📕 कुरान: 65:03 📖 मराठी अनुवाद "जर कोणी अल्लाहवर विश्वास ठेवतो तर त्याच्यासाठी अल्लाह पुरेसा आहे"📕 कुरान: 65:03 📖 English Translation "If anyone puts his trust in Allah, sufficient is (Allah) for him."📕 Quran: 65:03 👉 Lesson / Paighaam:Har mushkil me Allah par bharosa rakhna hi sabse bada…
Hadees: Jo shakhs khud ko bada samjhta hai Allah us… Jo shakhs khud ko bada samjhta hai Allah us se Naraz hoga Hadees: Abdullah bin Umar (R.A.) se riwayat hai ke, RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya: ‟Jo shakhs apne aap ko bada samjhta hai ya Takabbur ke saath akad kar chalta hai, Qayamat ke din woh Allah Taala se is haal me milega ke Allah Taala us se Naraz hoga." 📕 Al-Adab al-Mufrad, Hadees 549
Jis Shakhs ka Amalnama uski Peeth piche diya jayega Jis Shakhs ka Amalnama uski Peeth piche diya jayega Allah Ta'ala farmata hai: "Aur Jis Shakhs ka Aamaal Naama Uski Peeth Piche se diya Jayega, tou woh Maut ko Bulane Lagega, aur Bhadakti huyi Jahannam mein Daakhil hoga." 📕 Quran 84: 10-12
Hadith: Jo Shakhs tawazu (aazizi) ikhteyar karta… Hadith: 5-April: Talha (R.A.) se riwayat hai ke, Allah ke Rasool (Salallahu Alaihi Wasalam) ne farmaya: ‟Jo Shakhs tawazu (aazizi) ikhteyar karta hai, Allah Taala usko Izzat wa sarbulandi ata karta hai. -Musnad al-Bazzar 946
Jo Shakhs Allah Ta'ala ki Raza ke liye ek din ka… ✦ Roman Urdu Hadees ✦ Abu Umamah Al Bahili (R.A.) se Riwayat hai ke, RasoolAllah (Salallahu Alaihi Wasallam) ne irshaad farmaya: "Jo Shakhs Allah Ta'ala ki Raza ke liye ek din ka Roza rakhega tou Allah Ta'ala us ke aur Jahannam ke darmiyaan ek Aise Khandaq bana dega Jis ki Masaafat (distance) Aasmaan wa Zameen ke Darmiyaan ke baraabar hogi." 📕 Jami` at-Tirmidhi 1624-Hasan ✦ हिंदी हदीस : अल्लाह के लिए रखे हुए एक दिन के रोज़े की फ़ज़ीलत ✦ अबू…